Mobile ki Blacklist se number kaise hataye | Complete Process

Hi guys, Pichhli post me humne aapko sikhaya tha ki kaise hum apne mobile number par aane vali Incoming fake number ki call ko block kar sakte hai. Agar aapne kisi mobile number ko block kiya tha aur ab aap chahte hai ki us number se call receive kar sake yani ki us number ko blacklist se hatana chahte hai.
blacklist-se-number-kaise-hataye-ya-unblock-kare
Man lijiye ki kisi karan se aapne kisi number ko block kar diya tha taki vo aapko call nahi kar sake. Par aur ab aap chahte hai ki us number ko blacklist se hata diya jaye. Block list se number hatane ke baad aap us blocked number ki calls ko attend kar payenge. Agar aap yeh sikhna chahte hai. To aap sahi post padh rahe hai is post me hum aapko blacklist se number kaise hataye ke bare me batane vale hai.
Yaha par hum aapko blacklist se number hatane ke liye 2 tarike batane vale hai. Pahla tarike maximum mobile me work karta hai. Par Vivo, Oppo, Jio phone me blacklist se number hatane ki process thodi alag hoti hai. Esliye humne is mobile ki process bhi batayi hai.
Method:-1

Blacklist se number kaise hataye?

Dosto blacklist se number hataye ki process bahut hi aasan hai bas aapko kuch simple si steps ko follow karna hai. Jisse vo number unblock ho jayega yani ki block list se number hat jayega.

Step 1:- Blacklist se number hatane ke liye sabse pahle android mobile ke Dial pad me jaye aur upar Right side me dikh rahe 3 dots ya setting ke icon ko click kare.
call-setting-open-kare
Step 2:- Settings open karne par call setting ke sabhi option open ho jayenge. Ab inmse se aapko Call Blocking option par click karna hai.
call-blocking-setting-open-kare
Step 3:- Ab yaha par aapko vo sabhi number dikhai denge joki aapne block kiye hai ya galti se block ho gaye the. Ab simply jis kisi bhi number ko blacklist se hatana chahte hai uske piche dikh rahe cross ke sign(चिन्ह) ko click kar dijiye. Ab vo number blacklist se hat jayega.

Yeh bhi padhe:-

Method:-2

Vivo me Blacklist se number hataye?

Vivo phone me blacklist se number hatane ka tarika dusre mobile se thoda alag hota hai. Vyakti kisi bhi number ko block to kar deta hai. Aur sochta hai ki jis tarah se number par tap karke rakha aur number blocklist me add kar diya tha. Thik usi tarah se number unblock bhi kar denge. Par yeh option unhe vaha nahi milta hai. To humne yaha par Vivo me number unblock karna sikhaya hai.

STEPS :-

 1.  Vivo mobile me aapko i Manager ke name se ek system App dikhai dega ise open kare.
 2.  i Manager me Call rejection ka option dikhai dega ise open kar lijiye.
vivo-me-blacklist-se-number-kaise-hataye

 3.  Ab yaha par aapko jitne bhi number block kiye hai blacklist me dikhai denge.
vivo-me-number-unblock-kaise-kare
Ab jis kisi bhi number ko blacklist se hatana chahte hai. Us number ko daba kar rakhe. Yaha par More ka option dikhai dega is par click kare aur Remove from Blacklist ko click kare. Ab aap dekh sakte hai ki vo number blacklist se remove ho jayega. Ab aap unblock number se call attend kar sakte hai aur bat kar sakte hai.

Dosto aasha karta hu ki aapko hamari batayi sabhi steps samajh me aayi hogi. Agar aapko abhi bhi blacklist se number kaise hataye samjhne me problem hai to hume comment kar jarur bataye.
Tags : blacklist se number hataye, block list se number kaise hataye, number unblock kaise kare, vivo me number unblock kaise kare,

Yeh bhi padhe:-

Show comments
Hide comments

2 comments:

  1. Kisi mobile main hamara no.block Ho to kaise hataye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agar mobile aapka hai to upar batayi steps ko follow karke Blacklist se number hata sakte hai lekin kisi aur ne aapko block kiya hua hai to aap esa nahi kar sakte hai.

      Delete

Apna Comment Kare