Computer me Booting Process kya hai in hindi

Hello Guys, Agar aap computer repairing sikh rahe hai ya Computer science ke student hai. Aur Booting Process ke bare me janna chahte hai. Kyonki repairing field aur education field dono me hi iski basic jankari hona jaruri hai. Kyonki yeh hamare computer system ko load hone se start karne tak me important process hai. To chaliye dosto jante hai ki Booting Process kya hai aur windows computer system me booting process kaise kaam karti hai.
COMPUTER-BOOTING-PROCESS-IN-HINDI
In short kahe to is post me hum aapko Booting Process hindi me batane vale hai. Jisse aapko Computer Booting ki puri jankari mil jayegi. Kyonki hum isme aapko booting kya hota hai, booting process kaise hoti hai, pc me booting kitne types ki hoti hai sab kuch batane vale hai.

Boot kya hai? 

Jab kabhi bhi hum hamare computer ko On karte hai to isme booting ek important process hoti hai. Booting file hi hamare computer ko batata hai ki computer konse drive ya device se load hokar on hoga. Jis drive se sabse pahle boot file milegi computer usi drive se computer ko boot kar lega aur computer on hoga.

Booting Process kya hota hai? Booting Process in hindi.

Jab hum computer ko switch on karte hai to B.I.O.S aur C.P.U. dono milkar computer ko scan karte hai. Aur yeh pata karte hai ki computer me kon-kon se device connect hai aur connected device jaise- RAM, Hard disk, keyboard etc sahi taike se kaam kar rahe hai ya nahi. Agar connected device proper tarike se kaam nahi karta hai to display par hume uska error dikhai deta hai.

 Booting Steps in Hindi :-

 1.  Jab hum computer on karte hai to computer firstly yeh check karta hai ki memory, connected device sahi tarike se kaam kar rahe hai ya nahi. Is step ko Power on ya POST kaha jata hai.

 2.  Post checking karne ke baad control Boot Record ko transfer kar diya jata hai. Joki booting disk se related sari jankari display karta hai.

 3.  Third step me Dos Kernal, memory me load hota hai. Dos Kernal, Operating system ka central part hota hai. Jo 2 types ki special file se mil kar bana hua hota hai.

 4.  Dos Kernal load hone ke baad me computer is step me System Configuration file ko search karta hai. Configuration file ke according hi computer internal setting ko karta hai. Is file ko user dvara change kiya ja sakta hai.

 5.  Fifth step me, COM jo ki ek important file hai memory me load hoti hai. DOS ke sabhi internal command isi file ke dvara chalte hai. Is step ko Command.com kahte hai.

 6.  Ab command.com file Autoexe.bat file ko search karke chalata hai. Ise auto executable.bat file kahte hai. Aur .bat is file ka extension ya file type hai.

 7.  Upar batayi sabhi 6 steps complete hone ke baad display par Dos prompt hota hai aur yeh batata hai ki computer start hone ke liye ready hai.

Booting kitne Types ki hoti hai?

Booting 2 Types ki hoti hai. Jinke bare me humne niche bataya hai.

 1.  Cold Booting :- Jab hum computer ko on karne ke liye Power button press karte hai aur computer start hota hai to ise cold booting kahte hai.
 2.  Warm Booting :- Jab hum keyboard se Ctrl+Alt+Delete button press karke computer restart (Reboot) krate hai. Tab is tarah se computer ke restart hone ki booting ko Warm booting kahte hai.

Ab aap log samjh hi gaye honge ki windows computer me booting process kya hoti hai aur booting kaise kaam karti hai.

Tags:- booting process kya hai, booting process in hindi, cold booting kya hai, warm booting kya hai,

Show comments
Hide comments

2 comments:

Apna Comment Kare