Cryptography क्या है? Cryptography के Types in hindi

Aap logo ko yeh to pata hi hoga ki aaj ke time par privacy kitni jaruri hai. Privacy kisi bhi chij ki ho sakti hai. Kisi bat ki ho ya phir Data ki ya phir ATM pin har vo chij jisse hume nuksan ho sakta hai hamare liye khatra hai. Esliye hume apni chijo ko lock ya secure karke rakhna padta hai. Aur iske liye hum Cryptography technique ka use karte hai. Data ko secure karne ki is process ko official language me 'Cryptography' aur hindi me कूटलेख, कूटलिपि विद्या bhi kaha jata hai.
cryptography-kya-hai-hindi-me
Cryptography ke dvara hum apne Readable data ko unreadable bana sakte hai aur yeh data tab tak read nahi kiya ja sakta, Jab tak ki ise phir se ise readable nahi bana liya jata hai. To chaliye ab Cryptography ke bare me detail se jante hai.

Cryptography kya hai?

Cryptography, ek esi technique hai jiske dvara hum apne data ya information ko lock/secure kar sakte hai. Jisse vo ek Secret code me change ho jata hai aur lock ho jata hai. Ab hum jante hai ki Kaise apne data ko unreadable code me change kare. Jinhe "Cipher Text" kahte hai. Aur sirf vohi ise Decrypt karke padh sakta hai jiske paas Secret code hoga. Decrypt huye code ko "Plain Text" kahte hai.
Cryptography ka upyog email send karne, credit card aur other important information ko security dene ke liye kiya jata hai. Yah data ki security aur Integrity banaye rakhti hai. Aaj ke time par Cryptography ka upyog data ko Encrypt aur Decrypt karne me kiya jata hai.

Encryption kya hai?

Cryptography me Encryption ke esi process hai jisme data ya information ko secret code me badla jata hai.  Jise Cipher Text kahte hai. Encryption ka main aim digital data ya information ko secure karna hota hai.
cryptography-encryption-process-in-hindi
Aasan shabdo me kahe to - Plain Text (Readable) ko Cipher Text (Unreadable) me change karna Data Encryption kaha jata hai.

Decryption kya hai?

Cipher text (Unreadable) ko phir se reverse process karke phir se Plain text (Readable) data me banana Data ya information ka Decryption kaha jata hai. Data ka Decryption tab tak nahi kiya ja sakta hai jab tak ki uska code hamare paas nahi hai.
decryption-process-hindi-me
Cryptography me 2 keys hoti hai. Pahli Public key- yah key data encrypting karne ke liye hoti hai aur Private key yeh key user (sender) aur Receiver dono ke paas hoti hai. Taki dono data ko Decrypt karke Read aur Use kar paye.
Types of Cryptography in hindi
  1. Symmetric Cryptography (सममित क्रिप्टोग्राफ़ी)
  2. Asymmetric Cryptography (असममित क्रिप्टोग्राफ़ी)

Cryptography ke fayde aur upyog hindi me.

  • Cryptography technique ka upyog data ya information ko Encrypt aur Decrypt karke Data ko secure karne ke liye kiya jata hai.
  • Cryptography karne se kisi Third person dvara data read hone ke chance nahi rahe hai Jab tak ki uske pas me decrypt karne ke liye code nahi ho.
  • Cryptography ke dvara jankari secure tarike se bina leak huye receiver tak pahuch jati hai.
Ab tak to aapko yeh samajh me aa gaya hoga ki Cryptography kya hota hai hindi me jan chuke honge. Isi tarah ki post notification ke liye aaj hi hamari website ko Subscribe kare.

Tags : Cryptography kya hai, cryptography in hindi, cryptography meaning in hindi,

Yeh bhi padhe:-

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare