Blacklist me Mobile Number kaise dale ya add kare?

Dosto aap sabhi log mobile to use karte hi honge aur us par kayi sari calls bhi aati hogi. Isme se kuch calls kaam ki hoti hai aur kuch calls fake ya promotional. Jaise ki aapke mobile number par kabhi call aata hai ki aap ek lakh Rs. jit gaye hai, aapke account me hajar Rs. transfer kar diye hai ya insurance karva ljiye is type ke calls aate honge jise fake ya promotional calls kahte hai.
call-block-kaise-karte-hai-sikhe
Is tarah ki fake calls hamara sirf time waste karti hai aur saath hi hume disturb karti hai. Agar aap bhi is tarike ki fake calls se pareshan ho chuke hai to aaj hum aap logo ko iska solution dene vale hai. Jisse aap apne number par aane vali fake ya promotional calls ko block ya band kar sakte hai. Lekin iske blacklist kya hai yeh janna jaruri hai. To chaliye jante hai ki Blacklist kya hai aur phir iske baad hum janenge ki mobile number par aane vali incoming calls ko block kaise karte hai?

Blacklist kya hai?

Jesa ki maine abhi upar aapko bataya ki aapke phone par kisi unknown number se koi fake aur promotional calls aati hai. Aur agar aap in calls ko attend karke pareshan ho chuke hote hai aur ab in mobile number ko block kar dete hai jisse phir kabhi aapke phone par us mobile number se call nahi aata hai. Aur jab aap kisi number ko block kar dete hai to ek list banati hai jise Blacklist ya Block list kahte hai.
To chaliye ab jante hai ki kis tarike se hum apne number par aane vali fake incoming calls ko block kar sakte hai. Iske liye humne niche kuch steps batayi jise follow kare. Jiske baad phir kabhi block number se aapke number par call nahi aayegi.
1. Call Setting Method

Kisi bhi Mobile number Block kaise kare?

Step 1:- Mobile number block karne ke liye sabse pahle Dial pad me jaye.

Step 2:- Ab Dial pad ke Right side me settings ka icon dikhai dega us par click kare.
call-bloc-karne-ke-liye-setting-me-jaye
Step 3:- Setting open karne par aapke mobile me sabhi option khul jayenge. Tab inme se aapko Call Blocking option ko open karna hai.
call-blocking-setting-open-kare
Step 4:- Ab aap jis kis bhi number ko block karna chahte hai us number ko yaha type kare
call-block-karne-ke-liye-number-dale
aur Block button par click kar dijiye. Jisse ab kabhi bhi future me is number se koi call nahi aayega.
To dosto is tarike se aap apne mobile setting ki help se kisi bhi mobile number ko Block kar sakte hai. Vo bhi badi hi aasani se. Number block karne ke liye aapko koi charge pay nahi karna hoga. Yeh bilkul free hai.

Yeh bhi padhe:-
2. App Method

App use karke Call Block karne ka tarika

(i) True Caller se number Block kaise kare?
Agar aap itni sabhi steps ko follow nahi karna chahte hai aur directly number block karna chahte hai to iske liye aap true caller ka use kar sakte hai. True caller me yeh feature bhi shamil hai jiski help number ko block kar sakte hai.
True caller se number ko block karne ke liye True caller open kare. Yaha par aapko Recent call log show honge. Ab jis kisi bhi number ko block karna chahte hai bas aapko us number ke piche dikh rahe hai i button par click karna hai.
truecaller-se-number-call-block-kare
Jisse us unknown number ki identity to show hogi saath hi yah par aapko Block ka option bhi milega. Jise click and name suggest karke Block button ko ok kare.

(ii) Agar aapke phone me true caller install nahi hai ya aap is app se call block nahi karna chahte hai. To aap kisi dusre app ka bhi use kar sakte hai. Aur incoming call ko block kar sakte hai. Niche humne in apps ke name aur unki download link di hai.
Dosto ab to samjh me aa hi gaya hogi ki call block kaise karte hai. Ab agli post me ab hum aapko batayenge ki kis tarike se hum Block number ko Unblock kar sakte hai.

Tags : blacklist kya hai, mobile number block kaise kare, number block karne ka tarika,  blocklist me number kaise dale, number block karne ka tarika,

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare