SQL क्या है? Sql in DBMS हिंदी में

Friends, Aaj mai aap logo ko ek esi programming language ke bare me batane vala hu jiska use Database creation me important role play karta hai. Mai aapko bata du ki SQL ek language hai naa ki ek software. Is post me hum Aapko batane vale hai ki SQL kya hai hindi me, SQL ka full form, SQL kaha upyog hoti hai, SQL ke fayde. Lekin mai iske pahle aapko Database ke bare me bata dena chahta hu.
sql-kya-hai-hindi-me

Database kya hota hai. 

Database collected information ka group hota hai. Jisme information hoti hai. Man lijiye ki aap kisi company me kaam kar rahe hai sabhi employs ki information jaise - name, age, aadhar number, mobile number, address etc collect kar rahe hai. Aur jab aap in sabhi details ko collect kar entry kar lete hai to ise Database kaha jata hai. Yeh information kisi bhi tarah ki ho sakti hai. Jaruri nahi ki Database me sirf Company employs ki information store ho.

SQL ki Defination

SQL paribhasha in hindi, Yeh ek Structured programming language hai jiska use Database me Data manipulation, create, edit, update, delete etc. ke liye iska use kiya jata hai. Sql language, Relational Database me use ki jane vali standard language hai. RDBMS ka full fom Relational Database Management System hai.

SQL ka full form


SQL ka full form Structured Query Language hai.
SQL ek simple programming language hai iske liye aapko khas mehnat nahi lagti hai. Kyonki yeh simple English word commands par kaam karti hai. Niche humne SQL ke commands list share kari hai.

SQL Language ki history

  • 1970 - SQL ko firstly IBM laboratory me Dr. Edgar Codd dvara 1970 me database ko manage karne ke liye kiya gaya tha. Tab iska name SQUEL tha.
  • 1974 - Year 1970 me iska name badal kar SQL kar diya gaya.
  • 1978 - IBM ne is language par kaam kiya aur System/R name se ek product release kiya.
  • 1986 - IBM ne Relational Data Type ka pahle modal develop kiya gaya joki ANSI (American National Standards Institute) dvara Standardized tha. Jise baad me Oracle ke name se jana jane laga.

SQL Type and Commands list in hindi

Yaha humne SQL language ke type bataye hai aur saat hi un language me use hone vali commands bhi batayi hai.

DDL - Data Defination Language
 Command Use
CreateNew Database banane ke liy
AlterDatabase ko modify karne ke liye
DropTable ko delete karne ke liy

DML -  Data Manipulate Language

 Command Use
SelectTable se record ko retrieve karne ke liye
InsertNew Record dalne ke liye
UpdateNew inserted data ko update karne ke liye
DeleteRecord delete karne ke liye

DCL - Data Control Language

 Command Use
GrantUser ko Special permission dene ke liye
RevokeSpecial permission ko cancel karne ke liye


    SQL Language ke fayde kya hai?

    • SQL user ko RDMS me data access karne ki permission deta hai.
    • User database table ko bana sakte hai aur drop bhi kar sakte hai.
    • SQL database create and manipulate karne ke liye standard hai.
    • SQL kisi ke bhi dvara aasani se likhi ja sakti hai.
    • SQL bahut sare DBMS software support karti hai. Jaise - Oracle, MySQL, MS Access.
    Ab tak to aap logo ko achchhe se samajh me aa gaya hoga ki SQL kya hai, SQL history hindi me, SQL ke kitne type hai, SQL ke kya fayde hai.

    Tag : sql kya hai, sql in hindi, sql hindi me, sql paribhasha hindi me,
    Yeh bhi padhe:-

    No comments:

    Post a Comment

    Apna Comment Kare