PC/Mobile me Wifi (Internet) Connect kaise kare?

WiFi, Aap sabhi wifi ke bare me to jante hi honge ki wifi kya hota hai aur yeh kya kaam karta hai. Lekin agar aap yeh nahi jante hai ki wifi connect kaise karte hai. To Aaj hum aapko sabhi device jaise:- computer/pc, laptop, mobile me wifi connect kaise kar sakte hai. Iske pahle hamari ek post me Bluetooth se internet kaise chalaye bhi share kari thi jo users ko kaphi pasand aayi thi.

WiFi kya kam karta hai?

Wifi device iski range me available networks ko join karke computer, mobile me Internet chalu kar deta hai. Jisse hum browsing kar pate hai. Wifi, Mobile internet ki tulna me jyada powerful hota hai aur fast download and uploading speed deta hai. 
wifi-connect-kaise-kare

Wifi Connect kaise kare? Wifi connect in hindi.

Yaha par hum aapko wifi kaise connect karte hai iske bare me detail se batane vale hai. Saath hi humne wifi connect karne ki steps image bhi di hai. Jisse aapko aasani hogi.

Computer/laptop me WiFi connect kaise kare?

Dosto sabse pahle to mai aapko bata dena chahta hu ki computer me wifi connect karne ka feature avalible nahi hota hai aur laptop me inbuilt available hota hai. Lekin agar computer me WiFi finder device ke driver install kar dete hai. To iske baad me aap mobile hotspot on karke computer me bhi wifi connect kar sakte hai. Laptop aur computer wifi connectivity ki process same hi hai.
STEP:-1  Sabse pahle Computer ya laptop Task bar ke Right side me dekhe yaha par network icon show ho raha hoga is par click kare.
computer-laptop-me-wifi-connect-kaise-kare
STEP:-2  Network icon par click karne ke baad wifi ki range me available networks show honge. Ab jis bhi network ko join karna chahte hai use select kare aur Connect button ko select kare.
computer-me-wifi-connect-kaise-kare
STEP:-3  Ab wifi ke password dale aur Next ko click kare.

Ab network icon mark mouse ko le jaye yaha par Internet access likha dikhai dega. Yani ki computer/laptop me wifi network join ho chuka hai.

Mobile me WiFi connect kaise kare?

Android Mobile me wifi connect karne ki process bahut hi aasane iske liye jyada kuch karne ki jarurat nahi hai.
 1.  Mobile Setting me jaye yaha first number par WiFi ka option dikhai dega ise Open kare. Yaha par available network dikhai denge.
mobile-wifi-connect-kaise-kare
 2.  Jis kisi bhi network ko join karna chahte hai use select kare aur Password dal kar Connect ko click kare.

Ya phir aap chahe to directly upar notification bar se WiFi ko open karke bhi wifi network join and connect kar sakte hai.

Jio Phone me WiFi connect kare?

Dosto Jio phone ke bare me to aap log jante hi honge kyonki yeh keypad featureless phone hai. Jisme aap Whatsapp, Facebook, YouTube chala sakte hai aur saath hi is phone me wifi bhi connect kar sakte hai. Jio phone me wifi connect karke kaise chalaye janne ke liye hamari post padhe.
To dosto ab to samjh hi gaye honge ki WiFi kaise connect karte hai aur connect karke internet kaise chalate hai.

Tags : wifi connect kaise kare, mobile me wifi connect kare, hp laptop me wifi connect kaise kare, wifi kaise chalaye, 

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare