Data Entry kya hota hai? Data Entry Expert kaise bane.

Hello Guys, Kya aap Unemployed yani ki berojgar hai. Aap ko kahi par apne qualification and interest ke according Job nahi mil rahi hai. To aap Data Entry Job ko apna sakte hai. Aaj ke time par lakho log is Job ya ghar bethe personal kar rahe hai aur paise kamaye. Iske liye aake koi khas qualification ka hona jaruri nahi hai. Bas aapme kam karne ka junoon hona chahiye.
data-entry-kya-hota-hai
Agar aapme kisi target ko pura karne ki kabiliyar hai aur Computer chalana jante hai. To aap badi hi aasani se Data entry karke achchhe paise kama sakte hai. Data lagbhag sabhi field mai jaruri ho chuki hai. Kyonki sabhi ko apne business ya firm ka record rakhna padta hai. Kyonki ye koi nahi janta hai ki kab aur kis time kis data ko check karne ki jarurt pad jaye. Dosto mai Data entry ke bare me bata to raha hu lekin agar aapko Data entry ke bare me jankari nahi hai. To sabse pahle iske bare me jane taki aapko samjhne me aasani hogi.

Data Entry kya hai?

Data yani ki Text, sheet, PDF, image kuch bhi ho sakta hai. Jab koi vyakti apna business run karta hai to apne data ko maintain karne ke liye vo pahle use rough me kar leta hai. Aur jab use final record ready karna hota hai. To vo use computer me entry karvata hai. Kyonki rough entry kahi bhi gum ho sakti hai. Lekin agar us record ko Soft copy (Document file) me bana liya jaye to use samhal kar rakhna aur bhi aasan ho jata hai. Is tarah ke kaam ki entry ko karne ke liye vo is work ko Data Entry operator ke paas lekar jata hai aur vo use karta hai ise hi Data entry karna kahte hai.
"In short, Jab computer operator Keyboard ki help se kisi software me data ko computer me Input karna Data entry kahlata hai."
Jab vyakti ke paas apne business ki data entry ka bahut sara kaam hota hai. To vo use khud na karke kisi Data Entry operator ke pas le jata hai jo ise ek target time me pura kar deta hai aur computer me data entry karke ek Soft File ready kar deta hai.
Yeh to ho gaya Data entry ke bare me jisme maine aapko bataya ki Data entry kya hota hai. Ab jante hai ki Data entry operator banne ke liye kya chahiye aur kaise karte hai?

Computer Data Entry Operator kaise bante hai?

Data operator yani ki computer me data ko enter karne vala vyakti jo ki kisi list, form, PDF ya image ko editable file me convert karta hai. Data Entry operator kahlata hai. Data entry karna koi badi baat nahi hai. Iske liye bas computer me MS Office ka knowledge hona chahiye. Kyonki maximum work Ms office package- Ms word, Ms power point, Ms Excel, Ms Access me hote hai.
Iske liye aapko Ms office achchhe se chalan aana chahiye. Kyonki Data entry job me aapko Hindi typing, English typing, list ya format bhi banana padta hai aur iske liye hum MS office ki jarurat lena padegi. So jante hai ki Computer Data entry operator ke liye kya aana jaruri hai.
  • Qualification
Friends iske liye aapke pas kisi koi special qualification ki jarurat nahi hai. Lekin agar aap kisi company me Data entry job ke liye apply karte hai. To aapse minimum 12th Qualification require kiya jata hai.
  • Computer Knowledge
Iske bare me to mai aapko pahle hi bata chuka hu agar aapko computer ka gyan hai tab hi aap Data entry kar sakte hai. Esliye aapko computer ki basic jankari hona jaruri hai.

English and Hindi Typing

  • English Typing Speed
Agar aap soch rahe hai ki Data Entry karne me kya badi baat hai sirf keyboard se button press karna hia aur type ho jayega to mai aapko bata dena chahta hu ki har bar yeh jaruri nahi hai ki aapko chhota entry work hi mile. Agar aapko bada tender mil jata hai to aapko speed se work complete karna hoga. Aur ye sirf tab hi ho sakta hai jab aapki Typing speed good ho.
  • Hindi Typing
Friends, English typing to har koi Entry operator kar sakta hai. Lekin computer me Hindi data typing karne vale bahut hi kam log hote hai. Jo Hindi aur English dono me type kar pate hai. Lekin agar aapme yeh kabiliyat hai to hindi data typing entry karke english typing se jyada paise kama sakte hai.

Yeh bhi padhe 👇

✔ Excel me bill kaise banaye 
✔ Wifi Connect kaise kare
✔ Normalization kya hai
✔ CNC kya hai

Computer me Data Entry kaise karte hai?

Jab aap computer me entry karenge to iske liye aapko software ki jarurat to lena hi padegi. Data entry online aur offline dono tarike se ki jati hai.
data-entry-kaise-karte-hai

 1.  Offline

Agar aapko sirf data file create karna hai to Ms office word, excel, access ka use kar sakte hai. Aur isme file ready kar sakte hai.

Typing Work:- Kayi bar kuch ese projects milte hai jisme hume ek image ya PDF me likhe words ko document editor me type karna padta hai aur file create karna padti hai. Niche maine ek image bataya hai joki non-editable and non readable hai. Yani ki agar aap ise Image to Text convert karne ki koshish karenge to yeh nahi ho payega.
Data Sheet Entry:- Agar koi business jisme product import-export ki listing banana ho to excel me uski sheet ya list ready karna padti hai jise Data sheet entry kahte hai.

 2.  Online

Lekin agar online entry karna hai to aapko online us website par jakar entry karna padegi. Jaise- Examination Form, New Enrollment,  Result Sheet Entry, Student Scholarship Form, Online Vacancies, Form Filling.

Survey forms:- Internet par kayi sari companies apne product and service ka feedback ya survey karvati hai, jiske liye vo ek form banati hai jise user tak pahucha kar Survey pura karna hota hai aur feedback lena padta hai.

Captcha solve:- Yeh kaam aaj kal bahut chal raha hai isme bas aapko question ke rup me puche ja rahe Captcha ko solve karte jana hai. In captcha code ko solve karne par aapko paise diye jate hai.
Coding:- Agar aapko Multiple coding ki jankari hai to internet par kayi sare hai jo. Ek language me likhe codes ko dusri language ke covert karvane ka word bhi dete hai.

Translator:- Translator yani ki anvad karne vala. Kayi bar Data Entry project ke rup me kuch projects ese bhi mil jate hai. Jisme hume ek language me likhe document ko dusri language me Translate karna padta hai. Agar aapki bhasha par achchhi pakad hai to aap ek Translator ban sakte hai aur earning kar sakte hai.

Email Processing:- Kuch Website apne Email subscriber users ko badhane ke liye Email marketing karvati hai. Jisme users se email address submit karvana padta hai. Jisse website ke Subscribers badhte hai. Iske liye website owner aapko achichi khasi rakam deta hai.

Online/Offline Data Entry ke liye Job kaha milegi?

Agar aap iske liye Job dhund rahe hai to mai aapko bata du ki Internet ki duniya me lakho log hai. Jo apne kaam ko pura karvane ke liye Data operator ko Online dhund rahe hai. Agar aap online job dhund rahe hai to niche batayi kuch websites isme aapki help kar sakti hai. Yaha par aapko dono option milte hai. Agar online data karna chahte hai to vo bhi kar sakte hai aur agar kisi ko higher karke karvana chahte hai to vo bhi karva sakte hai.
So Guys Ab to aapko samjh me aa gaya hoga ki Data Entry kya hota hai aur kaise karte hai aur iske liye kya qualification hoti hai, kaam kaha milega? 

Show comments
Hide comments

2 comments:

  1. Hy Sir mene 12 vi Rajasthan state open se ki he kya me data entry Joob kar sakta Hoon sir meri skills = typing 30 and 40 par mint he or sir good Hindi he English normal hai or good computer knowledge bhi hai
    Sir private job mein data entry operator ka interview Kaise De sakta Hoon upay bataiye
    Reply please sir

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aapki typing speed to achchhi hai. Agar aap Private job me data entry job karna chahte hai. To Data entry operator ki job kar sakte hai. Aur aap chahe to apne najdiki school, collage ka typing work ghar bethe bhi kar sakte hai. Aap yeh karte hai to aapko jyada paiasa milega.

      Delete

Apna Comment Kare