Group me Call (Conference Call) kaise kare in hindi.

Dosto call series ki post me humne call setting ke features ke bare me jana tha jisme humne- call divert, call barring ke bare me jan chuke the. Aksar aapne kabhi dekha hoga ki vyakti ek time pe ek se adhik logo se call pe bat karta hai jise Conference call kahte hai. Jiska use karke aap badi hi aasani se ek saath 2 se adhik logo se ek time par saath me baat ya conference call kare sakte hai.
conference-call-kaise-kare
Conference Call ko group call bhi kah sakte hai. Kyonki isme hum group me baat kar sakte hai. Ise use karne ke liye dusre kisi App ya software ki jarurat nahi padti hai. Yeh feature mobile me pahle se inbuilt hota hai. Iske liye extra charge dene ki bhi jaruat nahi hai. Conference karke aap sabhi log ek saath apni bate share kar sakte hai. Yeh ek tarike se kisi single person se baat karne jesa hi hai bas sabhi ki aawaj ek saath me sjnai deti hai. To chaliye jante hai ki ise kaise use karte hai.

Conference Call kaise use kare?

Jesa ki maine abhi upar bataya ki ise karke aap ek time par ek hi call par ek sath 1 se adhik logo se baat kar sakte hai. Jisse group me hone vali baat ek dusre ko sunai deti hai. Yeh ek tarah se Kisi group me chat karne jesa hai jisme aapke dvara bheje huye message ek saath group ke sabhi log padh sakte hai. Mobile me Conference call karne ke liye humne niche kuch steps batayi hai unhe follow kare.
STEP:- 1  Mobile ke dial pad me aur kisi vyakti ko call kare. Jise conference me shamil karna chahte hai use call. 

STEP:- 2  Aapne jis vyakti ko call kiya hai uske call attend karne ke baad ab aap dekh sakte hai ki yaha par aapko Add call ka button dikhai de raha hoga. Us par click kare.
conference call karne ke liye add call kare
STEP:- 3  Add call par click karne se Contact list open ho jayegi. Yaha se us dusre vyakti ka contact number select kare jise aap is group call/ conference call me shami karna chahte hai. 

STEP:- 4  Ab dusre vyakti ko call connect ho raha hoga tab esi situation me pahle vyakti ki call  automatically hold par ki jati hai. 

STEP:- 5  Jese hi vo dusra vyakti call attend karega. Tab Aap dekh sakte hai ki display me aapko Conference call ya Merge call ka button dikhai dega.
dono-calls-ko-ek-par-karne-ke-liye-merge-ya-conference-call-kare
 Us par click karke aap dono calls ko ek call pe kar sakte hai.

Yah process kisi bhi number ko conference par lane ke liye ki jati hai. Jise hum Conference call karna kahte hai. To is tarike se aap badi hi aasani se yeh kar sakte hai. Aur adhik logo ko call par connect karne ke liye phir se Add call button me jaye contact select kare aur Conference me kar sakte hai.
Tags:- Conference call kare, Conference call kaise kare, group call kaise kare, conference call kaise karte hai,

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare