Direct Selling kya hai? Direct Selling (IDSA) ki jankari

Direct Selling, Digital India me sabse teji se badhta hua ek business jise hum Direct Selling ke name se jana jata hai. Direct Selling ek socha samjha aur Pre plan business hota hai jisse company apne product ko ghar-ghar tak kam price par pahuchane ka kaam karti hai.

Aaj ke time me Direct selling bahut hi teji se badh raha hai aur sath hi Network marketing ke Member aur customer dono ko fayda pahuch raha hai. To is post me hum aapko step by step Direct selling kya hai ke bare me ki puri jankari share karne vale hai. Jisme hum batane nich likhi kuch chije batane vale hai.
  • Direct Selling kya hai?
  • IDSA kya hai?
  • Direct Selling kaise kaam karta hai?
  • Chain system kya hai?


To chaliye ab jante hai ki Direct selling kya hai, Direct selling ka uddeshya kya hai, future of direct selling in hindi aur yeh kaise kaam karta hai?
direct-selling-kya-hai

Direct Selling kya hai?

Direct Selling pahle se hi Plan kara hua business hota hai. Har kisi Direct Selling company ka uddeshya hota hai ki products ko sell karke adhik se adhik customers ko apni company se joda jaye aur unhe market price se kam price me quality based product available karva jaye. Taki customer aapki company ko Bye nahi kar de. Direct Selling ko Chain system Business ya Multi Level Marketing (MLM) ke name se bhi jante hai.

IDSA kya hai?

India me offline product selling companies ke liye koi rule nahi hone ke karan MLM companies ko bahut si problem ko face karna padta tha. Jisse market ki companies ko bahut hi jyada nuksan dekhna padtha tha. Esliye in sabhi companies ne milkar Indian Direct Selling Association (IDSA) ko establish kiya jo ki direct selling ki sabhi companies ke liye kuch rules and regulation ko banaya hai. Jise sabhi company ko manna padta hai. Uske baad hi ise join kar sakte hai. 

Direct Selling kaise kaam karta hai?

Market me bahut saari companies hoti hai jo ki apne products ko manufacture karke launch karti hai. Phir market me seller ko deliver karti hai aur phir last me Shop keeper us product ko bechta hai. Lekin tab tak is product ka price manufacturing rate se kaphi jyada badh chuka  hota hai. Jisse customer ko us product ka value bahut jyada lagta hai aur ise kharidne se pahle ek bar sochta hai.

Direct Selling ne iska solution nikal liya hai. Man lijiye ki Raj store ke name se ek Direct Selling Company hai jo ki direct product manufacturing company se product kharid leti hai aur phir use apni company ke members jisne us company ne join kara hua hai. Unse Door to Door marketing karke Market price se kam price me us product ki selling karvati hai. Jisse product sale karne vali company aur product kharidne vale customer dono bich me mediator ke rup me kaam kar rahe User dono ko fayda pahuchta hai.

Multi Level Marketing ya Chain System kya hai?

Direct Selling companies apne product ka promotion karne aur product ko vyakti ke ghar tak pahuchane ke liye logo ko apni company Join karvati hai aur unki product selling record ko dekhte huye unhe ek Level deti hai. Isliye ise Multi Level Marketing bhi kahte hai. Jo seller sabse jyada product sell karega use Top par rakha jata hai phir usse kam product bechne vale ko dusri level aur phir sabse kam product bechne vale ko last level par rakha jata hai. Aap jitna adhik product sell karoge aapki rank utni hi badhti jati hai aur aapko iska fayda bhi milta jata hai.
Sell ka percentage aapko sirf tab hi milta hai jab kisi vyakti ne aapke under/Reference par selling join kiya hai.
Yeh sab to thik hai agar aap apni Id ke under kisi vyakti ko apne reference par jodte hai aur phir vo vyakti product ko aap se kharid kar dusro ko sell karta hai. To aapko 2 tarike se fayde milte hai, Ek to usne aapka product buy kiya uska percentage ya commission aur dusra yeh ki jab vo is product ko kisi ko sell karega to us sell ka bhi kuch percentage aapko milega.
Offline Product selling ke liye Oriflame, ModiCare kaphi famous hai. Jo ki minimum rate par quality based product sale karti hai. 

Thik isi tarha yeh system sabhi Direct selling user ko milta hai jinhone is IDSA company ko join kar rakha hai aur isi ko Direct Selling chain system kaha jata hai. Jisme agla vyakti agar kisi aur ko add karega to use bhi isi tarha ka fayad milta jayega aur company me member badhenge aur product selling bhi adhik hogi.

Ab to aap log samjh hi chuke honge ki Direct Selling kya hai aur Direct Selling kaise kaam karta hai. Aasha karte hai ki aapko hamari yeh post Direct Selling ki jankari useful lagi hogi.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare