Mobile se Gmail Logout (सिग्न आउट) kaise kare?

Kya Aap ek android mobile user hai. Agar ha to aapko yeh to pata hi hoga ki Android mobile me Gmail id kitna jaruri hota hai. Agar Gmail id login nahi hai to hum Mobile me Play Store se koi app bhi download nahi kar pate hai. Lekin agar aap apna phone kisi bech rahe hai ya kisi ko de rahe hai. To aapko apne mobile se gmail id logout jarur kar lena chahiye.
gmail-id-logout-kaise-kare
Kyonki gmail id me aapki bahut sari information like- contact, photos, videos, attachments etc hote hai. Joki private hote hai agar ye sari chije kisi ke saath share ho jaye to aapke liye privacy leak problem ban saki hai.

Gmail ID/Account logout kaise kare?

Aksar log yeh galti kar dete hai ki jab kabhi vo kisi cyber cafe par jate hai aur gmail use karte hai to uske baad gmail id logout karna bhul jate hai. Lekin yeh galti unke liye musibat bhi khadi kar sakte hai. Esliye jab kabhi bhi gmail account ka kaam pura ho jaye. To aapko gmail account ko sign out jarur kar lena chahiye.

Agar aap nahi jante hai ki mobile aur computer/laptop se gmail account logout kaise karte hai. To iske liye hamari niche batayi steps ko follow kare.

Mobile se Gmail Id kaise hataye?

Agar Vivo ya Oppo mobile phone user hai to niche batayi steps ko follow nahi kare. Kyonki in phone me gmail id logout karne ki process thodi alga hai. Iske liye aap hamari Vivo se gmail id remove kaise kare post padhe.

STEP:- 1  Mobile se gmail id hatane ke liye Sabse pahle Gmail App open kare. Ab aapko left side me show ho rahe hai 3 line par click karna hai. Jisse menu open ho jayega. 
gmail-menu-me-jaye
STEP:- 2  Abhi menu me sabse upar aapko filhal me login gmail id show hogi. Ab aapko sabse niche Setting ko open karna hai. 
gmail-setting-me-jaye
STEP:- 3  Settings open karne ke baad aapko mobile me jitni bhi Gmail id login hai yaha par show hogi. Ab aapko left side me upar ki aur dikh rahe 3 dots par click kare aur Manage Account me jaye.
gmail-accoun-manage-kare
Jisse Aap mobile ki Sync settings me enter ho jaoge. Yaha par Google select karna hai. Ab phir se aap dekh sakte hai ki mobile me jitni bhi Play store id hai show hogi. Ab jis bhi id ko sign out karna hai us par select kare.

STEP:- 4  Gmail Id select karne ke baad ab aapko niche ki ek aur More likha dikhai de raha hoga ise click kare. Jisme aapko Remove account ka option hoga ise click kar dijiye.
mobile-se-gmail-id-kaise-hataye
Jab aap is option par click kar denge to selected gmail id android mobile se remove ho jayegi. Aur Gmail app, browser se gmail id logout bhi ho jayegi. Ab logout ho chuki us gmail id ka koi bhi email ya data show nahi hoga.

Computer/Laptop se Gmail Id Logout kaise kare?

STEP:- 1  Jis kisi bhi browser me gmail id hai use open kar lijiye aur Gmail ke homepage par chale jaiye. Go to 

STEP:- 2  Ab Rigt side me aapko gmail account ki profile photo show ho rahi hogi us par click kare.
computer-laptop-se-gmail-id-kaise-hataye
STEP:- 3  Jab aapne profile photo par click kara hoga to aapko gmail id likhi show ho rahi hogi aur uske just niche Sign Out ka option bhi dikhai de raha hoga us par click kare.

Ab aapke laptop/computer se gmail id sign out ho chuki hai. Ab Gmail sign page par jakar phir se kisi bhi gmail id ko login kar sakte hai. Aashar karta hu dosto ki aapko gmail id ko remove karna samjh me aa gaya hoga. Agar abhi bhi gmail logout karne me koi problem hai to hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare