Phone/Mobile hang hone ki problem ka solution हिंदी में

Aaj ke time par mobile hang hona ek normal problem ban chuki hai. Kyonki aap mobile me har us apps ko rakhna chahte hai jo aapka kaam kare ya entertain kare like- Instagram, Tiktalk, Whatsapp, Facebook etc. In sabhi apps ko use karne me koi problem to nahi hai par kuch dino ke baad jab in sabhi aaps ka data store ho jata hai. To vo data phone hang hone ka karna ban jata hai. Jisse phone proper nahi chal pata hai.
mobile-hang-problem-ka-solution-hindi-me
Aur phir apni files, photo, video, apps, ko delete karte thak jate hai. Kyonki aapka mobile hang bahut ho raha hai. To aaj hum aapko apni mobile ki in sabhi problem ka solution dene vale hai. Aksar aap logo ne dekha hoga ki jab kabhi bhi hum mobile me koi app open karte hai ya games khelte hai to mobile hang hone lag jata hai. Yani ki phone chipkane lag jata hai aur uski process vahi par stop ho jati hai. Jisse mobile thodi der ke liye ruk jata hai.
Kayi bar to esa bhi hota hai ki kaphi der tak wait karne ke baad me bhi mobile thik nahi ho pata hai aur phone Restart karna padta hai. Lekin yeh phone hang phone hang hone ki problem ka solution nahi hai. So, aap is tarah ki sabhi problem se bachna chahte hai aur apne mobile ko fast rakhna chahte hai. To is post ko pura jarur padhe.

Mobile hang kyu hota hai?

Storage Problem :- Storage Problem :- Agar aapke phone ki Internal storage capacity jyada nahi hai par jarurat se adhik App install kiye huye hai. To storage problem phone hang hone ka karan ban sakta hai.

Low  Memory/Ram Problem :- Ram problem, Agar aap jyada ram use karne vale App ya games ko install karte hai jo ki phone ram capacity se bahar hai to Ram kam hone ki problem se bhi phone hang hone lag jata hai.
App Data and Cache :- Agar aap kisi app ko long time tak install rakhte hai like- whatsapp. To vah app phone me bahut data and cache memory use karta hai. Jisse mobile hang hone lag jata hai.

Rarely Used Apps :- Man ljiye kuch time pahle aapne kisi app ko download kara tha par baad me us app ko uninstall nahi kara tha to yeh Rarely use hone App Phone hang problem ka main karan ban sakte hai.

Virus :- Virus ke bare me to sabhi jante hi hai. Aur nahi bhi jante hai to mai aapko sirf itna batana chahta hu ki ek chhoti sa Virus aapke mobile ko kharab karne me capable hai aur pure mobile system ko hang kar sakta hai.

Yeh to ho gaya mobile hang hone ke karan ab jante hai ki aakir kin karan se phone hang hota hai aur apne phone ko hang hone se bachane ka solution ki puri jankari.

Mobile hang (हैंग) Problem Solution in Hindi?

Dosto niche ab jo point mai batane vala hu unhe follow jarur kare. Agar aap in sabhi points ko achchhe se padhte hai aur follow karte hai to kam ram ya kam storage vala mobile bhi kabhi hang nahi hoga. Aur mobile hang problem ka solution ho jayega.
 1.  Delete or Uninstall apps :- Vah App Jin ka mobile me koi kaam nahi hai ya jyada kaam nahi padta hai. To in Apps ko rarely use hone vale App kaha jata hai. Aapko in App ko Uninstall kar dena chahiye. Kyonki rarely use hone vale App mobile ki performance ko slow karte hai aur loading time lete hai. Jisse menu bhi kaphi der tak load nahi ho pata hai.
 2.  Clear Data & Cache memory :- Jesa ki maine upar bataya ki jin App ko hum hamesha phone me install rakhte hai. Vo App phone me bahut sara data store kar lete hai aur cache memory bhi bana lete hai. Jaise- Whatsapp. Jab hum whatsapp ko phone me use karte hai to image, audio, video download karte hai jisse Whatsapp ka database ban jata hai aur phone ki storage me save hota rahta hai. So isliye samay-samay par Apps ke Data aur cache memory ko clear kar dena chahiye.
Data clear karne se Login, audio, video files delete ho jate hai.
 3.  Move apps to External Memory :- Agar mobile ki internal storage full ho chuki hai ya internal storage kam hai. To aapko un Apps ko external storage me move kar dena chahiye. Jisse internal storage thodi free ho jayegi aur storage load thoda kam ho jayega. Jisse process karne me thodi aasani hogi.
 4.  Delete Whatsapp Media files :- Man ljiye aapne kisi ko video bheji ya usne aapko bheji aur aapne dekhne ke baad delete bhi kar diya par kya aapko pata hai. Yeh video sirf whatsapp app history se delete huyi hai na ki whatsapp ke database folder se esliye File manager me jaye aur Whatsapp me media folder se us video ko aur dusri sabhi media file jinki jarurat nahi hai unhe bhi delete kar dijiye. Taki storage free ho jayegi aur phone hang hone ki problem ka solution ho jayega.

 5.  Use Antivirus or Booster App :- Agar aap manually tarike se kisi app ke data ko delete nahi karna chahte hai ya kisi video ko delete nahi karna chahte hai to iske badle me aap kisi Mobile Booster ya Antivirus ko use kar sakte hai. Jo Rarely use hone vali file aur App ko uninstall karne ka option de dega aur antivirus app phone ko virus attack se bhi bachaye rakhega.

 6.  Update System Apps and Software :- Har bar yeh jaruri nahi hai ki Storage, Ram, Virus problem se hi mobile hang ho. Agar hum long time tak system app like- google play services etc ko update nahi karte hai to mobile hang hone lagta hai. Iske alava time-time par apne Phone ke Software ko update karte rahe. Phone software update karne se phone me aa rahe hai bugs aur unka solution update me fix kar diya jata hai.
Esliye phone os ko update kar ljiye. Phone update karne ke liye Phone setting me jaye aur About phone me Software update ko check kare agar koi latest update hoga to show hoga ise update kar ljiye.

 7.  Uninstall heavy Games :- Agar aap game lover hai par ek time par ek se adhik game ko play karte hai to esa karna mobile ke liye nuksan kar sakta hai. Big games kaphi bade hote hai aur inke installation hone par inka database aur bhi bad jata hai. Like:- PUBG.

PUBG games ki duniya me kaphi chal raha hai aur million user ise play kar rahe hai. Par agar aapke phone ki inti capacity nahi hai to is type ke Games ko uninstall kar dijiye.

 8.  Delete Duplicate copy image and files :- Jab hum Camera se photo click karte hai ya video recording karte hai to kayi bar hum kisi photo ko 2 bar capture kar lete hai. Tab esi condition me aapko duplicate image ko delete kar dena chahiye. Taki Space free ho sake aur mobile free chalega.

 9.  Disable GPS :- Jab hum phone me Google map ya kisi location share karne vale app ka use karte hai. Tab hamare mobile me GPS on ho jata hai jo ki background me work karta hai aur location ka pata lagata hai. Kuch apps hote hai joki Tab tak on nahi hote hai jab tak ki location na mil jaye to yeh service phone ki performance ko down karne ke saath me battery usage ko bhi badhati hai. Esliye kam hone par GPS ko disable/off kar dijiye.
mobile-hang-hone-se-bachane-ke-liye-gps-turn-off-kare
 10.  Stop Background services :- Jab hum new mobile/phone buy karte hai to isme kayi sare inbuilt app diye hote hai jo ki background me run karte rahe hai. like- Google drive, GPS etc. Tab jo app kaam ka nahi hai uski background service ko Force Stop kar dijiye. Apps background service disable karne par phone par se extra background process hath jayega.
Friends yeh to ho gayi android mobile hang prolem ka solution. In sabhi tips ko apna kar aap apne mobile ko ek dam naye mobile ki tarah super fast kar sakte hai. Agar itna sab karne ke baad bhi hang hone ki problem se free nahi ho paa rahe hai to ek bare mobile ko reset kar dijiye.

Jio Phone hang hone ki Problem ka Solution in Hindi?

Keypad phone me Jio phone ek featureless phone hai. Itne chhote se mobile me itne sare feature dene ke kaaran Jio phone hang bhi bahut hota hai. To chaliye jante hai.

 1.  Jio Phone ko hang hone se bachane ke liye Internal storage ko free rakhe. Internal space ko free rakhne ke liye Jio me SD card ka use kare aur usme apni photo, audio ko rakhe.
 2.  Agar Jio Phone ke software me koi bug aata hai to Update me uska solution patch de diya jata hai. Esliye Jio phone ko update kar lijiye. Jio phone ko update karne ke liye Phone setting me jaye vaha par Software update ka option mil jayega.

To is tarike se aap apne android mobile ko hang, Jio phone ko hang problem se bacha sakte hai. Bas simply upar batayi tips ko follow karna hai jiske baad mobile hang nahi hoga. aur mobile hang problem ka solution ho jayega.

Tag: mobile hang problem in hindi, mobile hang ho raha hai, mobile hang  Jio phone hang problem, How to Solve Hanging Problem of Android in Hindi, How to hang in Hindi, phone hang solution, smartphone hanging problem, android hang problem solution, Solve Hanging Problem Smartphone, android hang problem solution in Hindi, Tarike Mobile Ko Hang Hone Se Rokene ke,

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare