Mobile me Network nahi hai to sahi kaise kare?

Network problem, Yeh ek esi problem hai jo aksar hume kisi na kisi mobile phone me dekhno ko milti hai. Mobile me network nahi aane ke karan hume bahut problem aane lagti hai. Jaise ki :- mobile par incoming call band, outgoing call band ho jati hai, mobile data nahi chalta hai, message nahi aate hai aur message nahi jate hai.
mobile-network-nahi-hai-to-kya-kare
Yani ki network nahi aane ki condition me hamara phone useless ho jata hai. To aap chinta nahi kare hum yaha par kuch tips share karne vala hu jiska use karke network nahi aane ki problem ko thik kar sakte hai.

Network nahi hai Ya nahi hai to kya kare?

Yaha humne sim me signal nahi aane ke kya karan hai aur signal vapas lane ke liye kya kar sakte hai bataya hai. In me se koi bhi karan ho sakta hai esliye sabhi points ko jarur padhe.


 1.  Sim Status check

Dosto network nahi aane ka sabse pahla karan hai. Sim card off hona yani ki mobile settings se Sim ko turn off hona. Agar aapne mobile se sim card off kiya hua hai to aapko mobile me network nahi aayega. Agar phone dual sim hai aur sirf ek sim card Turn off hai to aap dekh payenge ki ek sim me network show raha hai lekin dusri sim me network show nahi ho raha hai. Yani ki aapne sim card Turn off kiya hua hai ya galti se ho gaya hoga.

 2.  Sim Temporary Deactivated

Agar aapne kaphi dino se sim number par recharge nahi karvaya hai aur naa hi sim se call karte hai ya naa hi call attend karte hai to ese me company user ki sim ko temporary deactivate ya block kar deti hai. Jisse aapke phone me network aana band ho jata hai. Esliye aap customer care me call karke bhi is bare me puch sakte hai aur jan sakte hai ki kahi company ne to aapki sim band nahi kari hai. Agar sim band ho bhi jati hai. To humne band sim ko chalu karne ka tarika bhi bataya hai.

 3.  Out of Network/Range

Agar aap kahi esi jagah jaise - village area, jungle, ghati ya pahado me, band kamare me hai to bhi network nahi mil pata hai aur hume mobile me network nahi dikhata hai. Kyonki vaha tak network ki range nahi pahuch pati hai. Jisse sim me network/tower show nahi hota hai. Iska sirf ek hi solution hai ki aap us jagah se bahar nikal jaye to automatically sim me network aa jayega.
Network nahi milne ki situation me bhi call attend ho paye esliye aap dusre phone me call divert kar sakte hai jisse call transfer ho jayegi.

Yeh bhi padhe 👇

 4.  Technical Problem

Agar aapne setting me jakar sim status bhi check kar liya hai, customer care se bhi contact kar liya hai aur vo bhi sim card ko activate hi bata rahe hai aur aap sahi jagah par hi hai jaha par sabhi ke mobile me network hai to. Iska sidha point yeh nikalta hai ki aapne mobile/phone me problem hai jiske karan mobile sim network ko catch nahi kar pa raha hai. Esliye apne mobile ko repair karva lijiye aur thik karva lijiye.
Mobile ko repair karvane ke baad me aapke mobile me network show hone lag jayega aur phir se aap apni sim ki sabhi services ka use kar payenge. To dosto is tarike se hum network nahi hai ya network aa raha ki problem ko thik kar sakte hai. Isi tarha ki post pane ke liye hamari website ko subscribe kare.

Tag : network nahi hai, network nahi aa raha hai, sim me tower nahi hai, mobile network problem in hindi, mobile me network nahi hai,

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare