Mobile ka Play Store (प्ले स्टोर) update kaise kare?

Hi guys, Aap sabhi log android mobile to use karte hi honge aur mobile me kisi bhi apps ko download karne ke liye Play store ka use karte honge. Play store Google dvara diya gaya App store hai. Jaha se android mobile ke liye safe & secure tarike se app download kar sakte hai. Par kabhi kabar esi problem aati hai ki app download nahi ho pate hai ya play store se new app install nahi ho pata hai. Lekin kya aapne kabhi socha hai ki play store update nahi hone se kya hota hai aur kya problems aati hai. To is post ko jarur padhe.

Tab aap log google par search karna start karte hai ki like- play store se app download nahi ho raha hai ya play store kaam nahi kar raha hai, play store is not working in hindi. To mai app logo ko iska sidha sa karan bata detna chahta hu ki yeh sab Play store ka update nahi hone ke karan hota hai. Esliye aap apne android mobile ke play store ko update kar lijiye taki aap aasaani se kisi bhi app ya game ko play store se download kar paye.
play-store-update-kaise-karete-hai

Play Store Up to date nahi hone se problems:-
  • Agar Play store up to date nahi hai to hum play store ke new features ka fayda nahi utha pate hai. 
  • Play Store ka Up to date nahi hone ke karan hum play store se new app ko download nahi kar pate hai.

Old to New Play Store me update kaise kare?

Android mobile me app download karne ke liye hum play store ka use karte hai. Par play store service update nahi hone ke karan hum new app ko install nahi kar pate hai aur na hi kisi bhi app ko update kar pate hai. Agar aap apne play store service ko update kaise karte hai janna chahte hai to hamari niche batayi steps ko follow kare.
STEP:- 1 Play store ko update karne ke sabse pahle Play store Open kare.

STEP:- 2 Store open karne ke baad Left side me dikh rahe 3 line par click kare. Jisse Menu open ho jayega.
play-store-settings-open-kare
STEP:- 3 Yaha par Settings ke name se option dikhai dega ise click kar open kare.
play-store-setting-open-kare

STEP:- 4 Ab yaha par Setting ke alag-alaga groups dikhai denge. Tab sabse last Setting vale group About me jaye. Aur Play Store Version par click kare.
play-store-update-kare
Agar aapka Play store update nahi hoga to notice- "A new version of play store will be download and installed" show hoga yani ki new play store download hona start ho jayega. Aur agar updated hoga to notice- "Play store is up to date" show hoga. Yani ki play store up to date/latest kiya hua hai. 

Play store up to date hone ke baad bhi agar app download nahi ho raha hai to yeh storage problem ho sakti hai. Jiske karan phone me new app download ya install nahi ho pa raha hoga. Aur agar phir bhi yeh problem aa rahi hai to play store ke Data and cache file ko clear kar dijiye.

Play Store se App update kaise kare?

Play store se app update karna bahut hi aasan hai. App ko update karke app me aaye new features ko use kar sakte hai. Yaha hum man lete hai ki hum YouTube ko update karna chahte hai. To chaliye jante hai ki Play store se YouTube app ko update kaise karte hai.

STEP:- 1 App ko update karne ke liye Play store ko open kare. Left side me show ho rahe hai 3 lines par click kar Menu open kare.
play-store-menu-se-youtbue-update-kaise-kare
STEP:- 2 Menu me first number par My apps & Games likha dikhai dega ise open kare. Isme aapko mobile me installed apps dikahi denge.
youtube-update-kaise-kare
Yaha hum Youtube ko update karna chahte hai isliye Youtube ke pichhe show ho rahe hai UPDATE ko click karenge.
Thik isi tarah se hum kisi bhi app ko update karna chahte hai uske pichhe show ho rahe hai Update button ko click kare.  Jisse app update hona start ho jayega aur kuch hi der me app up to date ho jayega.

To dosto ab to aapko samjh me aa gaya hoga ki Play store ka update nahi hone se kya problem hoti hai. Magar upar batayi steps ko follow karke is problem ko thik kar sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare