Phone System Update/Latest kaise kare?

Hi guys, Aap log yeh to jante hi honge ki mobile phone companies samay-samay par apne user ko new update available karti hai. Taki vo apne phone ko update kar sake aur us operating system/software ki problem ko thik kar sake. Agar kisi hum kisi chij ko system update kar lete hai to usme new feature add ho jate hai. Aur mobile/pc ek dam naye os jesa ho jata hai. Jisse mobile/pc fast chalne lagta hai.
system-update-kaise-kare

Sabhi companies apne product ke liye update karti rahti hai taki vo new feature ko use kar sake. Jab kabhi bhi updates available hoti hai to hume uska notification mil jata hai aur phone update kar sakte hai aur mobile software update rakh sakte hai. Lekin kabhi kabar esa hota hai ki agar hum check karna chahte hai ki kya hamare phone ke liye new software update aayi hai ya nahi agar aap ise check karna chahte hai aur phone system ko update karna chahte hai. To hamari niche batayi steps ko padhe.

Android Mobile System Update kaise kare?

Android Google company dvara provide kiya gaya os hai aur yeh apne user ki security ko dekhte huye security update deta rahta hai. Agar aap bhi apne android phone system ko update karna chahte hai to steps jarur padhe.

 1.  Phone system update karne ke liye sabse pahle Phone Settings me jaye. yaha par aapko About Phone ka option milega.
ABOUT-PHONE-ME-JAYE
 2.  Ab aap dekh sakte hai ki yaha par System update ka option show ho raha hoga ise Open kare.
PHONE-SYSTEM-UPDATE-KARE
 3.  Yaha par aapko filhal me installed system ki update dikhai degi. Lekin hume new update ko check karna hai aur phone ke system ko update karna hai. Esliye update ko check karne ke liye Check for update par click karenge.

Agar update available hogi to aapko uska notice yaha par mil jayega. Ab aapko simply download and install update par click karna hai jisse phone me new system ki update download hona start ho jayegi. Download complete hone ke baad install update par click kare aur phone me new update ko install kare.

Computer/Laptop ka system update kaise kare?

Agar aap ek licence version windows user hai aur apne windows ko update karke laptop ko update karna chahte hai. Taki aap apne computer ya laptop ke drive aur system utilities ko update kar sake aur windows system secure and updated rakh sake. To chaliye jante hai ki kis tarike se hum apne computer ya laptop ko update rakh sakte hai.

 1.  Windows ko update karne ke liye sabse pahle Start Menu ko open kare aur All Program me jaye.

 2.  Yaha par aapko Windows update ka option show hoga ise click kare.
laptop-system-update-kare

 3.  Ab laptop ke liye update check karne ke liye Check for update ko click kare. Ab dekh sakte hai ki checking for update show ho raha hoga yani ki windows ne new update ko check karna start kar diya hai. Agar koi update available hogi to automatically system ke liye latest update download hona start ho jayegi.
windows-update-kare
Windows Update downloading complete hone ke baad is update ko apne computer ya laptop me install kar lijiye aur apne pure computer ko update kar lijiye. 

To dekha dosto is tarike se aap badi hi aasani se apne mobile ya laptop ke system update kar sakte hai aur up to date rakh sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare