Mobile ka Whatsapp Update (अपडेट) karna hai?

Hello Guys, Aap sabhi Whatsapp app use to karte hi honge kyonki isme hume messaging, video call, voice call, location share etc ke sabhi option chat display me available hote hai. Aur aaye din Whatsapp me kuch na kuch new feature add hota rahta hai jaise ki filhal me iski latest update Sticker update hai. Jisme hum kisi ko bhi group ya personal me Sticker send kar sakte hai.  Jisse whatsapp use karna aur bhi aasan ban jata hai. Lekin agar aapke Phone ka Whatsapp update nahi hai to aap iske latest feature ko use nahi kar payenge.
whatsapp-update-karna-hai-in-hindi
Esliye aaj hi apne mobile ka Whatsapp update karna chahiye. Taki aap iske sabhi latest features and facility ko use kar paye.

Whatsapp update kaise karna hai?

Aagar aap nahi jante hai ki whatsapp update kaise karte hai to hamari is post me humne iski steps batayi hai. Yaha par hume android mobile aur Jio phone dono me whatsapp ko update karna sikhaya hai. To chaliye jante hai.

Android Mobile ka Whatsapp update kare?

Aap yeh to jante hi honge ki android mobile me jab hum kisi bhi new app ko install karte hai to Play store se karte hai aur aaj bhi hum play store ki madad se hi aage ki sabhi process ko pura karne vale hai.

STEP:-1  Android mobile ke Play store ko open kare aur Left side dikh rahe 3 dots ko click kare. Jisse Play store ka Menu open ho jayega.

STEP:-2  Yaha menu me My apps & Game dikhai dega ise open kare.

STEP:-3  Isme aap dekh sakte hai ki yaha par aapko 3 tabs dikhai degi. Updates, Installed, Library tab aapko Updates vali tab me jana hai aur Whatsapp ko dekhna hai.

STEP:-4  Jab aapko Whatsapp mil jayega tab aap dekh sakte hai ki iske piche Update ka option diya hua hai ise click kar dijiye, Jisse Phone me Whatsapp update hona start ho jayega.

Agar Step3 ki Update vali tab me whatsapp name dikhai nahi de raha hai to iska matlab yah hai ki phone ka whatsapp already updated hai ya phir phone me whatsapp installed hi nahi hai.

Jio Phone ka whatsapp update karna sikhe.

Jesa ki mai apni pichhli post me bata chuka hu ki Jio phone me ab Whatsapp available hai aur aap ise Jio phone me bhi chala sakte hai. Lekin Agar aapne filhal me whatsapp install kiya hua hai aur jio phone whatsapp ko update karna chahte hai to sabse pahle Menu me jaye. Yaha par aapko Jio Store ka option dikhai dega ise open kare. Yaha par Whatsapp name show aap yaha se ise update kar sakte hai. Agar aapka whatsapp up to date hai to apko iske name ke piche Right ka mark show hoga. Esliye aapko update karne ki koi jarurat nahi hai.

Agar aap nahi jante hai ki Jio phone me ab hotspot ka option avalibe hai aur ise kaise use karte hai to abhi hi hamari is post ko padhe aur jio phone me ise use karna sikhe. So Guys ab to aap sabhi ko samjh me aa gaya hoga ki kis tarike se hum apna whatsapp update karna sikh sakte hai. 

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare