Perfect English me likhane ka tarika sikhe.

Hello Guys, Do You want to write Perfect in English. Yani ki kya aap English me likhana sikhna chahte hai aur sahi English writing karna chahte hai. To hamari yeh post aapke liye bahut helpful hone vali hai. Kyonki is post me hum aapko Perfect English me Likhana sikhane vale hai. Jiski madad se aap badi hi aasani se correctly english writing kar sakte hai.
english-me-likhane-ka-tarika-sikhe

Aap sabhi achchhe se yeh to jante hi honge ki aaj ke time par English likhna aur padhte aana kitna important hai. Agar aap galat english writing karte hai yani ki wrong spelling ya Articles, Preposition ki sahi position ka dhyan nahi rakhna aapke sentence ko galat kar sakta hai.

English (अंग्रेजी) likhne ka Tarika jane.

Agar aap thik se english nahi jante hai to aaj hum aapko kuch ese tarike aur tools batane vale hai. Jinki madad se aap badi hi aasani se simple and short way me English me likhna sikha sakte hai.
Dosto English writing koyi badi baat to nahi hai par phir aapse english likhne me mistakes hoti hai. To uske pahle aapko English me sentence likhne ke kuch rules ko jarur follow karna chahiye. Jisse Aap English sentence ko galat likhne se bach sakte hai.

Perfect English Writing ke Rules

Friends jis tarah Hindi me vakya ko likhne ke liye ek kram (sequence/structure) ka use kiya jata hai. Thik usi tarah se English me bhi ek Structure ka use kiya jata hai. Taki hum sabhi words ko sahi position me rakh kar sentence bana sake.

English me Sentence likhne ka Structure 👇

Subject+Helping Verb+ Main Verb+Object

Ab in sabhi ka shabdo ko meaning jan lete hai.
Subject (कर्ता):- Subject yani ki Mukhya karta (कर्ता) jo ki kisi sentence me main hota hai jo koi kaam karta hai. Example- I, We, you, They, He, She, It, Name.
Helping Verb (सहायक क्रिया) :- Helping Verb yani ki esi verb jo kisi Sentence ko pura karne me madad karti hai. Ise short form me H.V. se likha jata hai. Sabhi 12 Tense ke hisab se alag-alag helping verbs hoti hai. Example- Is, am, are, has, have, was, were, will, shall etc.

Main Verb (मुख्य क्रिया):- Agar kisi vakya me koi kaam hota hai ke bare me batati hai. To uske liye Verb ka use kiya jata hai. Verb ke 3 form hote hai. Sentence ko dekhte huye hum verb ki I/II/III form ka use karte hai. Example- Wash, Run, Climb etc.

Object (अतिरिक्त):- English me sentence likhte vakt Jab sentence ke sabhi important words ko position par rakh dete hai. To ek last main word bachta hai jise hum Object kahte hai. Yeh kisi jagah ka name, Day, Year etc ho sakta hai.

Ab hum Hindi me ek sentence lete hai jise English me translate karenge. Agar English se Hindi Translation sikhna chahte hai to hamari post jarur padhe.

Hindi:- मोहन कल सुबह जायेगा.
English:- Mohan will Go Tomorrow.
Yaha par- Subject- Mohan, Helping verb- will, Main verb- Go, Object- Tomorrow hai.

I hope friends ab aapko samajh me aa gaya hoga ki English me sentence kaise likhte hai aur kis words ko kisi position me jamaya jata hai.

Grammarly se English me likhne ka tarika.

Ab hum aapko ek esi tool batane vale hai. Jo aapki English me likhne help karegi. Aap chahe to ise Computer ke web browser ya Mobile App ke rup me bhi use kar sakte hai. To chaliye ab is tool ke bare me bhi jaan lete hai.

Grammarly kya hai?

Grammarly ek tool hai joki english me likhne me aapki help karega. Agar aap is tool ka use karte hai to agar aap koi galat word likhte hai to yeh tool aapko us word ka sahi meaning aur synonyms bhi provide karta hai. Jisse aap apni English writing skill ko aur bhi improve kar sakte hai. Lekin iske liye pahle aapko ise computer ya mobile install karna hoga.

Computer/laptop Method:-
Agar aap computer/laptop me ise use karna chahte hai to aapko web browser me Grammarly Extension ko install and activate karna hoga. Agar aap nahi jante hai ki Correct English me likhne ke liye ise kaise install karte hai to niche humne iske bare me bhi bataya hai.

Grammarly Extension kaise install kare?

STEP :-1  Is extension ko install karne ke liye sabse pahle to apne web browser- Mozilla, Chrome etc ko open kare. Ab simply aapko jyada kuch steps ko follow karne ki jarurat nahi hai bas hamari niche di gayi link par click kar dijiye.



english-kaise-likhe

Jisse directly extension ke page par redirect ho jayega aur phir simply aapko ADD TO CHROME Ya ADD TO FIREFOX button par click karna hai.
Kuch hi der me browser me extension add ho jayega.

STEP :-2  Ab aapko ek notification receive hoga tab Add Extension par click kare. Jisse puri tarah se extension add ho jayega.
english-me-likhane-vala-extension
Extension add hone ke baad me ab aap dekh sakte hai ki Top Right side me G name se Grammarly ka extension icon show ho raha hoga. Ab jab kabhi bhi aap browser me typing karte hai aur agar koi wrong word type karte hai to aap use grammarly se correct kar sakte hai.

I hope guys, Ab aapko samajh me aa gaya hoga ki kis tarah se hum Galat se sahi English me likhne ka tarika kar sakte hai. Agar aap koi galat word likhte hai ya sentence me proper article use nahi karte hai. To aap iski madad se English writing ko improve kar sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare