Ganna Parchi Calendar 2019 kaise dekhe? [Kisaan.net]

Kisaan.net 's Ganna parchi:- India ek esi country hai jaha par alag-alag tarah ki fasal ugayi jati hai. Jisme Ganna ki fasal bhi important hai. Kyonki ganne se hi Sugar, Gud aadi bante hai. Aur Ganna (गन्ना) production ke liye Uttar Pradesh sabse pahle number par hai. UP state ke 42 Lakh log ganna ki kheti karte hai. Jab itne saare log ek saath ek hi fasal ki kheti karenge to utpadan bhi bahut jyada hoga. To ese me Up sarkar ki yah jawabdari banti hai ki sabhi kisaano ki fasal bike aur sabhi ko Ganna parchi mile. Taki sabhi ko fayda mil sake.

Apna Topic Choose kare
Kisaan Net kya hai?
Fasal Satta ki jankari
Apni Ganna Parchi kaise dekhe?
Ganna Mile ki Website list
Ganna HelpLine Number

Jab 42 lakh log Ganna ki kheti karenge to inhe stoke bhi karna hoga. Aur yah kaam kisi ek Ganna mil (Factories) ke bas me nahi hai. Esliye Goverment ne Sugarcane farmer ke najdik me hi ek Ganna mil banayi taki iski fasal karne vale farmer ko apni fasal ke liye jagah-jagah bhatkna na pade. Iske liye unhone kisano ke liye Ganna parchi banayi taki kis kisaan ko konsi mil par aur kitni ganna lekar jana hai pata chal sake. Ganna parchi milne se kisaan ko kisi bhi factory ki chakkar lagane ki jarurat nahi hai. Vo kabhi bhi online Ganna parchi 2019 dekh sakta hai.
Ganna-Parchi-Calendar-2019-kaise-dekhe-Kisaan.net




Ganna factories ke data ko online dikhane ke liye Government ne www.Kisaan.net website banayi. Jiski madad se sabhi Ganna kissan apne ganna supply se related jankari check kar sakte hai. Aur Ganna parchi Calendar 2019 dekh sakte hai. Kisaan.net se Ganna calendar dekhne ke liye aapke bas Mobile ya Yomputer me Internet hona chahiye. Aur Aap apne Village (गाँव) ka code aur apne code dal sari jankari dekh sakte hai.

Yeh code aapko apni Ganna Passbook, Ganna rasid/receipt Ya Ganna Parchi purana calendar aadi par printed mil jayega.

Kisaan.net Kya hai?

Kisaan.net ek Online portal hai jaha se koi bhi Sugarcane farmer apni Ganna parchi (गन्ना पर्ची)/ calendar nikal sakta hai. Farmer ko Ganna parchi milne se us vyakti ko yah pata chal jata hai ki Kab, Kaha aur kis Mile me use apna ganna fasal lekar jana hai. Apni Ganna fasal bechne ke liye use kisi bhi adhikari ya Mile ke chakkar nahi katna padte hai. Balki sidha uska Ganna ek fix rate par bik jata hai. Jisse kisaan ko kisi bhi problem ka samna nahi karna padta hai.

Kyonki farmer ko pahle hi yah pata chal jata hai ki use kab apni fasal leke jana hai aur kis mil me jana hai jisse uska fijul bhada bhi nahi lata hai. Aur baat rahi Ganna Payment ki to isme kisi tarah ka koi ghotala nahi ho pata hai. Kyonki farmer jitni ganna fasal vaha par leke jayega uski Ganna slip di jayegi. Jisme uski fasal ki puri jankari (Weight, Quality, Rate, Date) sab kuch printed hota hai. Aur ganna bechne ke kuch hi dino me Kisaan ke account me directly payment credit kar diya jata hai.

Fasal Satta kya hota hai?

Jo kisaan apni fasal ko regular Ganna mile ko bechta hai. Samiti ke member uski Jamin aur fasal ka jayja lete hai aur iski quality ke base par unka Satta fix karti hai. Satta yani ki- Kisaan, Ganna Mile ko kitna Ganna dega. Is tarah se samiti sabhi Sugarcane farmers ki fasal ko analyze karte hai aur kitna ganna collect hoga yah pata kar pate hai.

Yeh bhi padhe:-
Jab ek area ka ganna stock complete ho jata hai to use ek parchi de jati hai jisme farmer ko yah instruction de diye jate hai ki apna Ganna parchi lekar use kis mil me jana hai. Is tarah se sabhi kisaan ko alag-alag Sugarcane mile milti hai jo ki area wise hoti hai. Agar aap is area wise Ganna calendar check karne ki website janna chahte hai to humne 113 Ganna mile ki puri list di hai. Jisme aap apne Area ke according website use kar sakte hai.


Online Ganna parchi kaise dekhte hai? [www.kisaan.net]

Aap apni Ganna sambandhit jankari janne ke liye hamari niche batayi steps ko follow kare. Humne niche bataya hai ki kis tarike se aap kisaan.net se Ganna parchi check kar sakte hai. Aap chahe to website ke dvara Ya Kisaan.net Android App ke dvara bhi ise dekh sakte hai.


 1  Sabse pahle to aapko web browser me www.Kisaan.net type karke Search karna hai. Search result ke pahle number par aapko Sugarcane Farmers likha dikhai dega ise click karke website open kar lijiye.


 2  Website open hone par Log In ka box dikhai dega. Tab is box me aapko upar dikhaye ja rahe code ko as it is yani jesa likha huya hai vesa hi dal dena hai. Jesa ki abhi image me mujhe FEIWS4 dikhai de raha hai. To mujhe niche box me bhi FEIWS4 hi dalna hai. Phir पुष्टि करे par click kare. Ab aap log in ho chuke hai.
online-ganna-parchi-kaise-dekhe
 3  Ab Kshetra (क्षेत्र) aur Factory ka name select kare.
kisaan.net-se-ganna-parchi-calendar-2019
 4  Jese hi aap factory ka name select karenge to ek new page open ho jayega. Tab us page ke Right (दायीं) side me Login(लॉग इन) dikhai dega is par click kare. Jisse phir ek new page open ho jayega.
ganna-calendar-2019-kaise-dekhe
 5  Is page me aapko phir se 2 option dikhai denge tab aapko Kissan LogIn (किसान लॉग इन) par click karna hai.
kisaan.net-login-kare



 6  Ab aapko jis kisi ka bhi receipt nikalana hai uska Year select kare aur data enter kare. Yaha par aapko receipt nikalne ke liye 2 option dikhenge.
sugarcane-miles-ki-factroy-details-dale
Pahla to Manual method aur dusra code search. Data enter kare aur Ganna parchi related suchna praprt kare (गन्ना सम्बंधित सुचना प्राप्त करे)  button par click kare.

Yeh Data Sugaracane mile se liya gaya hai, Yadi aapka Ganna Mile upar option list me nahi hai to. Apne Society sachiv ya Jila Ganna adhikari se contact kare. To is tarike se aap Kisaan.net ki madad se online Ganna parchi 2019, Ganna calendar dekh sakte hai. Check karne me koi problem hai to hume comment kar jarur bataye.

Sugarcane Miles ki Website List

Yaha par humne 113 Janpad ke anusar unki Chini mile aur unki website ki full detailed list di hai. Saath thi piche un website ke link bhi diye hai. Website par jakar aap Ganna parchi dekh sakte hai.
सं०नाम जनपदनाम चीनी मिलवेबसाईट
1सहारनपुरदेवबन्दwww.kisaan.net/
2
सरसावा (सहकारी)www.upsugarfed.org
3
ननौता (सहकारी)www.upsugarfed.org
4गागनौलीwww.bhlcane.com
5
शेरमऊwww.kisaan.net
6मुजफ्फरनगरमन्सूरपुरwww.krishakmitra.com
7
खतौलीwww.kisaan.net/
8
रोहानाwww.kisaan.net
9
मोरना (सहकारी)www.upsugarfed.org
10
तितावीwww.kisaan.net
11
टिकौलाwww.kisaan.net
12
बुढानाwww.bhlcane.com
13
खाईखेडीwww.kisaan.net
14शामलीऊनwww.kisaan.net
15
थानाभवनwww.bhlcane.com
16
शामलीwww.kisaan.net
17मेरठसकौतीwww.kisaan.net
18
दौरालाwww.kisaan.net
19
मवानाwww.kisaan.net
20
किनौनीwww.bhlcane.com
21
नगलामलwww.kisaan.net
22बागपतरमाला (सहकारी)www.upsugarfed.org
23
मलकपुरwww.kisaan.net
24गाज़ियाबादमोदीनगरwww.kisaan.net
25हापुड़सिम्भावलीwww.kisaan.net
26
ब्रजनाथपुरwww.kisaan.net
27बुलन्दशहरअनूपशहर (सहकारी)www.upsugarfed.org
28
अगौताwww.kisaan.net
29साबितगढwww.kisaan.net
30बिजनौरधामपुरwww.krishakmitra.com
31
स्योहाराwww.kisaan.net
32
बिजनौरwww.wavesuger.com
33
चान्दपुरwww.pbsfoods.in
34
स्नेहरोड (सहकारी)www.upsugarfed.org
35
बहादुरपुरwww.kisaansoochna.dwarikesh.com
36
बरकतपुरwww.kisaan.net
37
बुन्दकीwww.kisaansoochna.dwarikesh.com
38
बिलाईwww.bhlcane.com
39अमरोहाचंदनपुरwww.kisaan.net
40
धनुराwww.wavecane.in
41
गजरौला (सहकारी)www.upsugarfed.org
42मुरादाबादरानीनागलwww.kisaan.net
43
बिलारीwww.shreeajudhiasugar.com/
44
अगवानपुरwww.dewansugarsindia.com
45
बेलवाडाwww.kisaan.net
46संभलअसमौलीwww.krishakmitra.com
47
रजपुराwww.krishakmitra.com
48रामपुरबिलासपुरwww.upsugarfed.org
49
मि.नरायनपुरwww.kisaan.net
50
करीमगंजwww.kisaan.net
51पीलीभीतपीलीभीतwww.lhsugar.in
52
बीसलपुर (सहकारी)www.upsugarfed.org
53
पूरनपुर (सहकारी)www.upsugarfed.org
54
बरखेडाwww.bhlcane.com
55बरेलीबहेडीwww.kisaan.net
56
सेमिखेरा (सहकारी)www.upsugarfed.org
57
मीरगंजwww.krishakmitra.com
58
नवाबगंजwww.oswalsugar.com
59
फ़रीदपुरwww.kisaansoochna.dwarikesh.com
60बदायूँबिसौलीwww.kisaan.org
61
बदायूँ (सहकारी)www.upsugarfed.org
62कासगंजन्योलीwww.kisaan.org
63शाहजहाँपुररोज़ाwww.kisaan.net/
64
तिहार (सहकारी)www.upsugarfed.org
65
निगोहीwww.kisaan.net
66
मकसूदापुरwww.bhlcane.com
67
पुवायां (सहकारी)www.upsugarfed.org/sisl-india.com
68हरदोईरूपापुरwww.dsclsugar.com
69
हरियावाwww.dsclsugar.com
70
लोनीwww.dsclsugar.com
71लखीमपुरगोलाwww.bhlcane.com
72
ऐराwww.kisaan.net
73
पलियाwww.bhlcane.com
74
बेलराया (सहकारी)www.upsugarfed.org
75
सम्पूर्नानगर (सहकारी)www.upsugarfed.org
76
अजबापुरwww.dsclsugar.com
77
खम्भारखेडाwww.bhlcane.com
78
कुम्भीwww.bcmlcane.com
79
गुलरियाwww.bcmlcane.com
80सीतापुरहरगाँवwww.kisaan.net
81
बिसवाँwww.gannakrishak.in
82
महमूदाबाद (सहकारी)www.upsugarfed.org
83
रामगढwww.kisaan.net
84
जवाहरपुरwww.kisaan.net
85फर्रुखाबादकरीमगंजwww.upsugarfed.org
86बाराबंकीहैदरगढwww.bcmlcane.in/kisaan-suvidha
87फैज़ाबादरोजागांवwww.bcmlcane.in/kisaan-suvidha
88मोतीनगरwww.kisaan.net
89अम्बेडकरनगरमिझोडाwww.bcmlcane.in/kisaan-suvidha
90सुल्तानपुर (सहकारी)सुल्तानपुरwww.upsugarfed.org
91गोण्डादतौलीwww.bcmlcane.in
92
कुन्दरखीwww.bhlcane.in
93
मैजापुरwww.bcmlcane.in
94बहराइचजरवलरोडwww.kisaan.net
95
नानपारा (सहकारी)www.upsugarfed.org
96
चिलवरियाwww.kisaan.net
97
परसेंडीwww.parlesugar.com
98बलरामपुरबलरामपुरwww.bcml.in
99
तुलसीपुरwww.bcml.in
100
इटईमैदाwww.bhlcane.in
101बस्तीबभनानwww.bcmlcane.in
102
वाल्टरगंजwww.bhlcane.com
103रुधौलीwww.bhlcane.com
104महाराजगंजसिसवाबाज़ारwww.kisaan.net
105
गडोराwww.jhvsugar.in/
106देवरियाप्रतापपुरwww.bhlcane.com
107कुशीनगरहाटाwww.kisaan.net
108
कप्तानगंजwww.kisaan.net
109
खड्डाwww.kisaan.net
110
रामकोला (पी.)www.kisaan.net
111
सेवरहीwww.kisaan.net
112मऊघोसीwww.upsugarfed.org
113आजमगढ़सठिओं (सहकारी)www.upsugarfed.org

Ganna Parchi related HelpLine kaha milegi?

Agar aap ek Ganna vyapari hai aur apne mobile par ganna parchi dekhna aur fasal ki jankari mobile par dekhna chahte hai. To aapke android mobile me  Kisaan net Application jarur hona chahiye. Taki yaha se aap online status to check kar sake. Saath hi aap koi bhi complaint ho to online kar sake.

Lekin aapko kisi tarah ki guideline ki jarurat hai ya phir Adhikari se baat karna chahte hai. To aapko Ganna kisaan adhikar se baat karna chahiye. Jo ki aapki sabhi problems ka solution denge. Jiska Toll Free helpline number 1800-121-3203 hai. Jaha par baat karke apni problem ko solve kar sakte hai. Aur agar payment related ya kheti se related koi bhi query ho to aap yaha se uska jawab pa sakte hai.

Kisaan.net Android App kaise download kare?

Niche humne Kisaan net website ka Official Android App diya hai. Jise aap apne Android mobile me Download & install karke Online App se bhi use kar sakte hai.


Agar aapko is post padhne ke baad bhi koi problem hai to hume comment kar jarur bataye. Hum aapki comment ka reply jarur karenge.

Show comments
Hide comments

3 comments:

  1. well ranked article. Read mine I have plenty of more information here in my ganna parchi calendar blog

    hope you will like the information...

    ReplyDelete

Apna Comment Kare