Android me Play Store App kaise chalu kare Or chalaye?

Hello Guys, Kya aap ek android OS mobile user hai to aapko Play store ki value to pata hi hogi. Ki android mobile me Play Store kitna jaruri hai. Agar Play store App nahi hai ya Play store chalu nahi hai to hum mobile me koi bhi App download nahi kar sakte hai. Kyonki yeh android ke dvara diya gaya ek Play store hai jaha se hum safe and secure app ko download kar sakte hai.
play-store-kaise-chalu-kare-in-hindi
Agar aapke phone me Play store to hai lekin Play store kaise chalate hai ke bare me jankari nahi hai. To aaj hum is post me aapko Play store chalane ki puri jankari dene vale hai.

Google Play Store kaise chalu kare?

Dosto iska use apps ko download, install and update karne ke liye kiya jata hai. Lekin agar phone me yeh avalible nahi hai to aap ise use nahi sakte hai. Esliye sabse pahle apne phone ke App menu me jakar yeh jaruru check kar lijiye ki Play store download hai bhi ya nahi. Agar phone me nahi hai to aap hamari niche di gayi link se ise download aur install kar sakte hai.

Play Store chalu karne ke liye kya chahiye?
  • Play Store App
  • Google Play Store ID/Account
  • Internet Data / WiFi Connection
Agar aapke pas Google play store id nahi hai aur new id banana chahte hai to hamari post jarur padhe. Isme aapko puri detail ke saath humne bataya hai. Play store ID banana sikhe. Ab hum yaha par aapko simple si kuch steps batane vale hai. Bas aap inhe follow karte jaye. Play store kaise chalu kare behtar tarike se samjhane ke liye humne saath me image upload bhi kiye hai.

--STEPS--

STEP :-1  Sabse pahle to Android Mobile ka menu open kare yaha par aapko Play Store dikhai dega. Ise open kare.
play-store-chalane-ke-liye-open-kare

Agar Google Id login nahi hai to pahle aapko Login karne ke liye kaha jayega phir Open hoga. 

STEP :-2  Play Store me upar ki side ek search bar dikhai de raha hoga isme click kare aur jis app ko bhi download karna chahte hai uska name yaha par type kare. Yaha par hum Amazon likh kar search kar rahe hai.
play-store-chalu-kar-amazon-download-kare
STEP :-3  Ab aapko Amazon app dikhai dega is click kare jisse new page open ho jayega jisme aapko Install button dikhai dega. Bas Install button par click kar dijiye. Kuch hi der me app download and install ho jayega.
play-store-chala-kare-amazon-download-kare
Play store se download hua App, Menu me dikhai dega aap vaha se ise use kar sakte hai. Ab simply aap whatsapp select karke amazon account banaye.

To Guys Aasha karta hu ki aap logo ko achchhe se samjh me aaya hoga ki Play store chalu kaise karte hai aur Play store se app ko download kaise karte hai. Kuch bar Play store up to date nahi hone ke karan thik se kaam bhi nahi karta hai. Esliye aaj hi apne Play store ko update jarur kare.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare