Jio ka Balance or Data kaise dekhe? Jio Balance check kare.

Hello user, Hum mobile me Internet chalane ke liye sim data ka use karte hai. Aur India me mostly user Jio internet data use karte hai. Lekin kya kabhi aapne Jio number ka balance check karna chaha hai ya kabhi socha hai ki Jio ka balance data kaise dekhte hai. To aaj mai is post me aapko iski puri jankari dene vala hu jisme mai aapko Jio ka main balance aur data check karne ke 2 tarike bhi bataunga. 
jio-balance-kaise-dekhe-ya-check-kare
Mai yeh post esliye likh raha hu kyonki aaj ke time par sabhi Unlimited data ka use karte hai lekin maan lijiye ki agar hume kabhi balance ya data check karne ki jarurat pad gayi ki hamare Jio sim ka balance kitna hai ya, Jio sim me kitna data bacha hai to aap kaise check karenge. Aap Nahi jante hai na- to isiliye humne yeh post likhi hai taki jarurat padne par aap kabhi bhi apne Jio sim ka balance dekh sake.

Jio Ka Balance Kaise dekhe Or check kare?

Dosto yaha par hum aapko 2 tariko se main balance, data aur validity check karna batayenge.


1. Message send karke Balance dekhe

Agar aap message send karke jankari prapt karna chahte hai to mobile ke Inbox me jaye aur Message me BAL likh kar 199 par message send kar dijiye. Isme ek return message receive hoga jisme balance validity parpt ho jayegi.
jio-ka-balance-kaise-dekhe
Isi tarah agar aap Jio Plan ko dekhna chahte hai to Inbox me MYPLAN likh kar 199 par send kar dijiye.

2. Number Dial karke Balance check kare

Yaha par hum aapko ek number share kar rahe hai. Jisse Jio number plan ki validity etc pata kar sakte hai. Iske liye My Jio app install hona jaruri nahi hai. Bas simply aapko dial pad me jana hai aur Jio sim se call karna hai. Jab aap is number par call karenge to kuch hi seconds me call cut ho jayega aur aapko ek reply message receive hoga. Jisme Jio number Plan ki validity, Data, plan ki expiry date ke saath prapt hoga.

Jio Balance Check karne ka number:- 1299

Yeh bhi padhe 👇
Jio Phone me hotspot chalaye
Jio call forwarding kaise kare
Jio Phone me video download kare
✔ GB Whatsapp download kare

3. Jio Data kaise dekhe?

Agar aap janna chahte hai ki aapne din bhar me kitna internet data use kara hai. Aur kab kara hai to My Jio app me iski jankari mil jayegi.  My Jio app open kare, yaha par My account section me Check usage ka option milega ise click kar open kare. Tab aap yaha par din bhar me use huye Data, call, SMS balance ko dekh sakte hai.
jio-data-balance-usage-kaise-dekhe
So Guys is tarike se aap apne Jio ka balance dekh sakte hai ya Jio ka balance check kar sakte hai. Time-time par yeh number change bhi ho jate hai. Agar yeh number kaam nahi karte hai ya balance check karne me koi problem aati hai to hume comment kar bataye.
Tag:- jio ka balance kaise check kare, jio balance kaise dekhe, jio balance check karne ka number, jio data check kaise kare,

Show comments
Hide comments

1 comment:

  1. Very helpful post for me. You described this very nice.

    ReplyDelete

Apna Comment Kare