Jio Phone me Video Call kaise kare in hindi.

Hello guys kya aap Jio phone user hai aur apne Jio phone se video calling karna chah rahe hai. To humne yaha par iski puri jankari share kari hai. Jise padh kar aap badi hi aasani se apne Jio phone se video calling kar sakte hai. Iske liye aapko bas hamari niche batayi gayi bato ko yad rakna hai aur unhe achchhe se follow karna hai. Uske baad aap bhi apne kisi bhi friend se video call karke baat kar sakte hai.
jio-se-video-call-kaise-kare

Video call kya hota hai?

Jab hum kisi ko phone call karte hai jisme hum sirf saamne vale user ki aawaj ko sun sakte hai, Voice call hota hai. Lekin isme hum saamne vale user ki aawaj ke saath use face to face dekh bhi sakte hai. To ise video call karte hai.
Kuch time pahle video call karna itna aasan nahi hua karta tha kyonki iske liye aapko alag se charge pay karna padta tha. Lekin jab se Jio ki entry industry me huyi hai video call karna bahut hi easy aur free ho chuka hai. Jio se video call karne ke liye aapko alag se koi charge nahi dena padta hai. Bas aapke paas jio phone hona chahiye uske baad aap badi hi aasani se ise kar sakte hai. To chaliye jante hai ki ise kaise karte hai?

Jio Phone se Video call kaise kare?

Jio phone ek featureless phone hai. Ab is phone ke new software update aane ke baad isme aur bhi kayi sare features jode gaye hai. Like- Jio phone me hotspot, is option ki help se aap Jio phone ka Internet data dusre phone se share kar sakte hai. Aur saat hi isme Jio video calling ka app bhi joda gaya hai. Jiski madad se aap kisi bhi dusre Jio phone user ko video call kar sakte hai. Lekin iski kuch shart hai uske baad hi ise kar sakte hai jise humne niche bataya hai.


  • Dono Jio Phone me Jio video call app install hona chahiye.
  • Jise aap video call karna chahte hai uska number aapke Phone me Save hona chahiye.
  • Jio phone me hum direct video call nahi kar sakte hai. Esliye pahle Setting me jakar Data Connection on kar lijiye. Taki no internet access ka notice show nahi ho.

Video call karne ki Steps :-

STEP :-1  Agar aapke Jio phone me Video call app nahi to sabse pahle ise install kar lijiye.
STEP :-2  Ab is app ko open kare aur Left button se Contact list open kare. Aur jis kisi bhi contact number ko call karna chahte hai use select kar dijiye. Ab uske number bell jana start ho jayegi. Jese hi saamne vala user call attend karega video call hona start ho jayegi aur aap face to face baat kar payenge.

So friends, Is tarike se aap kisi bhi user ko Jio me video call kar sakte hai. Bas upar batayi simple steps ko follow karna hai. Agar iske baad bhi koi problem hai to hume comment kar jarur bataye. Hum aapki help jarur karenge.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare