Memory Or Pen Drive ka Password kaise tode?

Hello guys, Aaj mai aap logo ke liye ek esi probelm ka solution lekar aaya joki aaj ke time par common si ho chuki hai. Hum log apne data ko safe and secure rakhne ke liye use password se lock kar dete hai lekin aksar ye dekha jata hai ki agar hume thode dino tak use unlock karne ka kaam nahi padta hai to hum us par lagaya password bhul jate hai. Jisse hamara Storage device- memory card, pen drive lock hi rah jata hai.

So ab aap logo ko koi chinta karne ki jarurt nahi hai kyonki aaj mai is post me aapko Pen drive ka password hataye ki complete process batane vala hu. Jise try karne ke baad aap badi hi aasani se apne kisi bhi drive ka password tod sakte hai.
memory-ka-password-kaise-tode

Password kaise hataye OR tode?

Friends, Agar data important hota hai to hum use password less kar dete hai lekin agar hum use unlock karne ka password hi bhul jaye to yeh hamare liye problematic ho sakta hai. Kyonki jab tak hamare paas password nahi hota hai ya jab tak hum uska password tod nahi det hai. Tab tak hum oos device ka koi bhi data- audio, video, file dekh ya open nahi kar sakte hai.
Iske liye aapke pas me computer/laptop ka hona jaruri hai, Kyonki hum is process ko Command Prompt (CMD) ke dvara karne vale hai. Yaha par hume Memory card ka password todne aur Pen Drive ka password todne ki process batayi hai. To chaliye jante hai ki ise kaise karte hai?

Pen Drive, Memory ka password kaise tode?

STEPS:-

STEP :-1  Sabse pahle apne Memory card ya Pen drive ko USB Plug se Computer me laga dijiye.

STEP :-2  Ab keyboard se windows key+R dabaye jisse Run program open ho jayega usme CMD type karke enter kar dijiye.
STEP :-3  Ab command Prompt open ho jayega ab isme hume one by one kuch commands dena hogi jise humne niche bataya hai.

 (i)  Firstly, diskpart type karke enter kar dijiye. Aap jese hi ise enter karenge ek new CMD windows open hogi. Agar aapko Yes no pucha jaye to Yes kare.

 (ii)  Ab is windows me list disk type karke Enter kar dijiye. Is command se aapke computer me jitne bhi disk connected hai unki list show hogi. Is image me abhi Jaisa ki aap dekh sakte hai ki Disk 0 me hard disk aur disk 1 hamari pen drive hai.
cmd-se-password-kaise-tode

 (iii)  Yaha par hamara disk number 1 hai esliye select disk 1 likh kar enter kar denge. Aapko apni Pen drive/memory card ki disk number select karna hai. Agar vo disk 2 ya disk 3 hai to vo type kar enter kare.

 (iv)  Select disk command ke baad vo disk select ho jayega phir aapko clean likh kar Enter kar dena hai.

Enter karte hi aapke disk ya pan drive ka password tut jayega. Aur disk par se lock hat jayega. So guys is tarike se aap apne kisi bhi drive par se password ko remove kar sakte hai ya hata sakte hai. Agar aapko apne kisi bhi drive ka password hatane me koi problem hai to hume comment kar jarur bataye.

Show comments
Hide comments

1 comment:

  1. Really a nice article

    Keep Motivating us writing such articles

    thank you so much it is really a piece of good information for us

    For more Information on Make Money and Technology visit our website https://techblogpoint.com/more/how-to-solve-the-api-ms-win-crt-heap-l1-1-0-dll-issue-on-windows

    ReplyDelete

Apna Comment Kare