Email kaise bheje OR Send kare? [Mobile & PC]

Friends aaj ke time par messaging karne aur file send karne ke liye bahut se app available hai. Lekin Email aaj bhi sabse trusted hai. Kyonki isme data ki leak hone ke chance nahi hote hai. Official jagaho par hamesha email ka hi use kiya jata hai. Lekin abhi bhi bahut se Users ko Email bhejne se judi bate nahi nahi pata hai. Like:- Email kaise bheje, BCC kya hota hai, CCC kya hota hai, Email me file attach kaise karte hai etc. 
email-kaise-bheje
To aaj mai yaha par aapko email kaise bhejte hai aur email se judi sari chije detail se batane vala hu.

Email meaning in Hindi

Email yani ki Electronic Mail bhejna. Iska ka upyog message, Photo, file send karne ke liye kiya jata hai. Kisi bhi vyakti ko message, photo, document file send karne ke liye Email karna sabse sahi rasta hai. Kyonki Email me aap apni Private files ko attach karke send bhi kar sakte hai. Kyonki aap jise email kar rahe hai uske alva koi aur user aapka email nahi padh sakta hai. 


Esliye Official and secrets work me file send karne ke liye Email bheja jata hai. Agar aapko email send karne se judi koi jankari nahi hai to humne yaha par iski puri jankari share kari hai. 

Email kaise bheje? How to Send email in Hindi?

Jis tarah hum mobile se kisi user ko message bhejen ke liye kisi app ya website ka use karte hai. Thik usi tarah se email bhejne ke liye bhi hume kisi website ka use karna padta hai. Yaha par hum Gmail ka use kar rahe hai. Gmail, Google ki ek service hai jo ki hume free me Email send karne ki permission deta hai. Aur aaj ke time par Gmail sabse safe & secure email service hai. Kyonki abhi tak Gmail hack hone se related koi news nahi mili hai. Balki Gmail ke Billions users hai.


Ise sirf India hi nahi balki USA, UK, CANADA yani ki almost countries me use kiya jata hai. Aur iski popularity ka sidha sa karan hai iski security. So Guys yaha par mai aapko 2 Method se Email bhejna sikhane vala hu. Agar aap ek Computer/laptop user hai to first method ko follow kare aur agar Mobile user hai to seconds Method ko follow kare.

Email Bhejne ke liye kya chahiye?
  • Internet Connection
  • Browser or Gmail App
  • Mobile Or Computer
  • Email Website (Gmail, Microsoft)
  • Email Address
Aap jis vyakti ko email send karna chahte hai uska Email address pata hona bahut jaruri hai. Kyonki agar aapke pas email address nahi hai to aap email nahi bhej payenge.

PC/Laptop Method :-

Computer/laptop se Email kaise bheje?

STEP :-1  Sabse pahle to Web browser open kare aur Gmail ki website par jaye. Iske liye aap mail. google.com/mail/ likh kar Enter kare. Ya phir Direct Go to button se website par jaye. Go To.

STEP :-2  Website par jane ke baad apne Gmail account se log In kare. Login karne ke Gmail account ka Id password hona jaruri hai. Agar aapka Gmail account nahi to abhi Gmail account banana sikhe
email-bhejne-ke-liye-gmail-id-login-kare

STEP :-3  Ab yaha par aap dekh sakte hai ki, Left side me Compose ka option show hoga us par click kare. Isse Right side me ek Email box open ho jayega. 

STEP :-4  Isme dekh sakte hai ki Recipients, Subject, Compose email, ka box aur Attachment option hai. Tab ise kaise use karna hai, Niche humne iske bare me bataya hai.
email-bhejne-ki-details-dale

 (i)  To :- To me hume us vyakti ka Email address dalna hai. Jise hum email karna chahte hai. Email address example:- bishalbhati@gmail.com, johnysolanki@hotmail.com
 (ii)  Subject :- Subject yani ki aap kis bare me email send kar rahe hai. Uska vishay likhe. Agar mai Student's Result send kar raha hu to Example:- Result sheet. likh sakta hu.


 (iii)  Compose Email :- Subject box ke niche ek Text box milega. Jisme aap apna Text message type kar sakte hai.
 (iv)  Attachment :- Email message ke saath agar aap kisi file:- photo, document ko send karna chahte hai. To Attach button se upload kar sakte hai.

STEP :-5  To, Subject, compose email, Attachment karne ke baad Send button par click kare. Ab aap upar ki aur dekh payenge ki Email has Sent ka notice show hoga. Yani ki email send ho chuka hai.
email-send-kare


Email me CC aur BCC kya hota hai?

To me aapko CC aur BCC ke option bhi dikhai denge. Inke bare me bhi jane. 
  • CC :- CC ka full form Carbon Copy, Agar bilkul esa hi email kisi aur ko bhi bhejna chahte hai to oos vyakti ka bhi email address dale par dhyan rahe sabhi ke email address ke bich me (,) comma ka use karna hai. Jese- abc@gmail.com, xyz@gmail.com
  • BCC :- BCC ka full form Blind Carbon copy, Agar aap email to bhejna chahte hai par oos samne vale vyakti ko aap apna email address show nahi karna chahte hai to BCC me uska email address dale.
To dosto is tarike se aap computer me web browser ka upyog karke Email send kar sakte hai. Ab jante hai mobile method.

Yeh bhi padhe 👇
Mobile Method :-

Mobile se Email kaise bheje?

Friends, Mobile se email send karne ke liye aapke mobile Gmail app hona jaruri hai. Esliye Play store se Gmail download kare. Yaha par Email se file, photo kaise send karte hai batane vale hai.

STEPS:-
STEP :-1  Android mobile ke Menu me jaye Gmail App ko open kare. Agar mobile me Gmail Id nahi hai to log in karna padega. Agar aapke pas Gmail account nahi hai to Gmail account banan sikhe.
STEP :-2  App open karne par aapko Right side me dikh rahe + ke sign ko click karna hai.

email-compose-open-kare
STEP :-3  Jisse Compose khul jayega. Ab isme aapko To, Subject, Compose email, Attachment show honge. ab ise kis tarah se fill karna hai. Humne niche bataya hai.
email-send-karne-ki-detail-dale
 (i)  To:- Jis vyakti ko aap email bhejna chahte hai uska email address dale. Example:- BishalBhati@gmai.com
 (ii)  Subject:- Aap email kis vishay se bhej rahe hai vah subject dale.


 (iii)  Compose email:- Agar aap email ke saath kuch Text message bhi send karna chahte hai to apna message yaha par type kare.
 (iv)  Attachment:- Agar aap email ke saath kisi file (document, PDF) Ya photo ko upload karna chahate hai. To upar dikh rahe hai Attachment  button par click kar vaha se photo upload kare.

STEP :-4  Yeh sabhi details fill karne ke baad aapko simply Send button ➤ par click kar dena hai. Jisse email send ho jayega.
Kuch hi seconds me enter kiye gaye email address par email chala jayega. So guys humne yaha par Mobile aur computer dono se Email kaise bhejte hai sikhaya hai. Agar aapko Email bhejne me abhi bhi koi problem hai to hume comment kar jarur bataye. Hum aapki comment ka reply jarur karenge.

Tag:- email kaise bheje, mobile se email kaise bheje, email kaise kare, email send kaise kare, gmail kaise karte hai, 

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare