PC/Laptop me PUBG kaise Chalaye aur PUBG Download kare?

Hello Guys, Gaming Industry kitni aage badh chuki hai. Is baat ka andaja aap Present me sabse popular Game PUBG ko dekh kar laga sakte hai. Log PUBG game ko khlene ke liye diwane huye ja rahe hai. Agar aap ese vyakti hai jo Game play karne ke addicted hai lekin abhi tak PUBG download nahi kiya hai. To aapko aaj hi PUBG game ko try karna chahiye.

Is post me hum aapko PUBG game se judi sari jankari dene vale hai. Aap mobile me to PUBG chalate hai lekin computer ya laptop par PUBG nahi khela hai. To aaj hum aapko PC me PUBG download kaise kare aur PUBG kaise khele aur  kaise chalaye sikhane vale hai.
pc-laptop-me-pubg-kaise-chalaye

PUBG kya hai?

PUBG ek Online Popular Game hai jiska pura name "Player Unknowns' Battle Ground" hai. Jo ki Japaneses Thriller movie :- Battle Royal par based hai. Is movie me 2 students ko ek Jungle me Hathiyar, Nashta ke sath chhod diya jata hai. Last tak Survive karne vala ek hi student is Land se bahar nikal pata hai. PUBG game ko 23 March 2017 ko release kiya gaya tha.

PC/Laptop me PUBG Download kaise kare?

Friends jab aap android mobile me is game ko khelte hai to aapko full controlling nahi mil pata hai. Balki PC par PUBG ko khelne me full controlling mil pati hai. Jisse aap badi hi aasani se is game ko khel sakte hai, Sabhi tools/weapons ka use bhi kar sakte hai. To chaliye dosto jante hai ki computer me PUBG kaise download kare?

STEP :-1  System me PUBG chalane ke liye hume ek Emulator Software ki help lena hogi. Jiske baad hi hum laptop par PUBG ko chala sakte hai. To sabse pahle Niche di gayi link se is software ko apne computer/laptop me download kar lijiye.


Download hone ke baad ise Online install bhi kar lijiye. Install hone ke baad Start Button par click kare. Post:- Software install karna sikhe

STEP :-2  Ab Software Open ho jayega aur self Installation karega. Abhi aapko kuch bhi nahi karna hai. Installation complete hone ke baad Ab aap dekh payenge ki PUBG ka icon show ho raha hoga us par click & open kare.
laptop-me-pubg-kaise-chalaye
STEP :-3  Open karne pa ab PC/laptop me PUBG install hona start ho jayega. PUBG ke installation me 1.3 GB ki files download hogi. Esliye internet se connectivity banaye rakhe agar Internet disconnect hota hai. To installation bich me stop ho jayega aur PUBG install nahi ho payega.
laptop-me-pugb-download-kaise-kare
STEP :-4  Jab yah files download complete ho jayegi to aapke laptop me PUBG shuru ho jayega. Ab aap badi hi aasani se computer/laptop par PUBG ko chala sakte hai.
laptop-me-pugb-kaise-chalaye-khele

PUBG khelne ke liye System Requirements

Guys aap PUBG download and install to karna chahte hai. Lekin iske pahle PUBG ke liye jaruri hardware requirements check kar lijiye. Agar isse kam hardware capacity hai to aap PC/laptop par PUBG chala nahi sakte hai.
  • CPU: Dual Core From Or Amd At 1.8 Ghz.
  • GPU: Nvidia Geforce 8600/9600 Gt, ATI/AMd Radeon HD 2600/3600.
  • Memory: 3GB (Ram)
  • Operating System: Windows 10,8.1, 8 And 7
  • Direct X: Version 9.0 C.
  • Storage: Out of 1 GB Free Storage

PUBG kaise khele?

Guys agar aapne pahle kabhi ise mobile me khel rakha hai. To ise system me chalane me koi problem nahi hogi.

✔ Game jese hi start hota hai aapko Airplane se Parachute ki help se is land par drop kar diya jata hai. Jab PUBG khlena start karte hai to aapko starting me kuch nahi diya jata hai. Vaha par aapko gharo me jaruri saman hathiyar milte hai jinhe apni jarurat ke anusar pick karna hota hai. Iske alva Enemies ko marne par unke hathiyara ko bhi pick kar sakte hai.

Yeh bhi padhe👇
✔ Is land par aapko 100 Players milte hai. Jinse aapko defend karna hota hai. Last me jo bachta hai vo Winner hota hai. Aur Winner ko Chicken Diner milta hai.

✔ PUBG ek multiplayer game hai, Aap chahe to Single Player PUBG bhi khel sakte hai ya Multi Player (4 Players) bhi khel sakte hai.

To Dosto yeh thi Computer/laptop me PUBG khelne se related kuch jankari. Agar aap bhi apne laptop me PUBG  khelna chahte hai to hamari batayi in tricks ko follow kare. Aur agar koi problem aati hai to hume comment kar bataye hum uska solution bhi batayenge. So Guys agar yeh post achchha laga ho to ise Share karna na bhule.

Tag:- laptop me pubg kaise khele, laptop me pubg kaise download kare, computer me pubg kaise khele, laptop me pubg kaise chalaye,

Show comments
Hide comments

2 comments:

  1. Hi bishal bhati sir, thanks for sharing this article now i am able to play PUBG on my laptop.
    its my pleasure if you visit my website Best PUBG Names for Boys

    ReplyDelete

Apna Comment Kare