Kisi bhi Mobile ko Update kaise kare:- Complete Process

Hi friends, Kya aapka mobile phone hang ho raha hai aur aap apne mobile ko update karne ka soch rahe hai taki phone ke sabhi features up to date ho jaye. Aur phone me aane vali problems ka solution automatically ho jaye to aapko yeh jarur karna chahiye.

Aaj hum is post me aapko mobile ko update karne se related sabhi points ke bare me batayenge taki aapko kisi bhi chij ko karne ya samjhane me problem nahi ho. Better traike se samjhane ke liye humne sabhi steps ke saath jaruri photo bhi attach kiye hai. Chunki abhi hum iski process ko karne vale hai. Lekin iske pahle aapko iske kuch fayde jarur padhna chahiye.
mobile-update-kaise-kare

Mobile Update karne ke liye kya chahiye aur iske fayde?

Yaha par hume update karne ke kuch fayde bataye hai jin par ek najar jarur dale.

Requirement:-
  1. Device update karne ke pahle apne phone ko 30% se jyada charge jarur rakhe. Agar update ki process hote huye phone band ho gaya to updates cancel ho jayegi. Esliye phone ko achchhe se charge kar lijiye.
  2. Fast way me update karne ke liye Wifi ka use kare lekin agar aapke pas WiFi nahi hai. To, 4g mobile data ka use kar lijiye. Taki updates jaldi download ho jaye.
Update karne ke Fayde:-
  1. Phone hang hone ki problem ka solution ho jata hai. Jaise koi app bahut der tak load ya open nahi hona.
  2. Saath hi system apps bhi updates ho jate hai. Jisse mobile system proper tarike se kaam karne lag jata hai. Esliye update karne ke baad bhi agar system apps ke updates notification aaye to unhe update kar ljiye.
  3. Up to date kar dene se mobile me new O.S. Installed ho jata hai. Jisse system ke sare bugs, error fix ho jate hai aur proper way me kaam karne lag jate hai.

Dosto yeh to huye system update karne ke fayde, iski jarurat lekin iske pahle aapko apne phone ka backup bhi jarur le lena chahiye.Kyonki ho sakta hai backup ke doran koi important file bhi delete ho jaye. Vese to esa hota nahi hai lekin data ki safety ke liye aapko backup jarur le lena chahiye.

Mobile Update kaise kare?

Yaha par humne android mobile aur keypad phone dono ke liye update ki process batayi hai. Niche batayi process ko follow karke aap kisi bhi company ke android mobile ko up to date kar sakte hai. Chahe vo kisi bhi company ka ho ya koi bhi model ho.

Android Mobile ko update kaise kare?

Android mobile ko update karna bahut hi aasan hai. Android mobile ko update karne par system apps ya phone me aa rahe bug ka solution patch de diya jata hai. Jisse problems thik ho jati hai aur phone pahle ki tarah boost ho jata hai. Agar bar-bar aapka phone hang ho raha hai, Kam apps me RAM full ho jati hai, apps not responding ho jate hai to aapko apne mobile ko update jarur karna chahiye. Android mobile ko update karne ki steps maine niche batayi hai.
STEP :-1  Mobile ko update karne ke liye sabse pahle Phone Settings me jaye. Yaha par aapko About Phone ka option milega ise open kare.
android-mobile-update-kare
STEP :-2  About Phone open karne par aap dekh sakte hai ki mobile ka model name, version, RAM yani ki sabhi jaruri details show hogi. Tab sath hi aapko System Update or Device Update ka option bhi milega, ise open kare.
android-mobile-update-kare
STEP :-3  System Update open karne par aapko last time hua device update name show hoga. Tab aapko ise latest update karne ke liye check karna hai. Esliye Check for updates par click kare. Ise karne se mobile ka latest update check hoga.
Agar aapka mobile ke liye koi updates hogi to update version ka option dikhai dega use click kare, taki mobile update ki process start ho jaye. Aur agar mobile up to date hai to aapko Your device is up to date ya No updates found ka notification milega. Iska matlab yah hai ki device up to dated hai. So guys is tarike se aap apne kisi bhi android phone ko update kar sakte hai aur bugs ko fix kar sakte hai.

Yeh bhi padhe:-

Keypad Mobile kaise Update kare?

Aaj ke time par vese to keypad phone bahut kam use hote hai. Lekin abhi bahut se user ke pas yeh phone hai so hum yaha par iski bhi process bata rahe hai.
Phone ki Setting me jaye. Yaha par aapko Phone update ka option dikhai dega. Ise open kare aur check for Download phone software select kare.
keypad-mobile-update-kaise-kare
Agar aapke keypad phone ke liye updates available hogi to new update found show hoga aur phone update hona start ho jayega.

So guys is tarike se aap badi hi aasani se kisi bhi android mobile ya keypad mobile ko update kar sakte hai. I hope guys aapko yeh post pasand aaya hoga. Isi tarah ki aur bhi post ke liye hamari website ko subscribe kare.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare