Mera Play Store kyo nahi chal raha hai To ab Kya Kare?

Kya Jab aap apne android mobile me Play store ko khol rahe hai to Play store nahi khul raha hai. To yeh aapke mobile ke liye badi problem hai. Agar mobile me Play store nahi chal raha hai to aap koi bhi app download nahi kar sakte hai aur naa hi kisi bhi app ko play store se update kar sakte hai.

Yeh problem maximum time android user dvara Google par search ki jati hai. Jab mai mobile me kisi Apps ko download karne ke liye Play store kholta hu to nahi khulta hai. Khulne ki jagah par Play store crash hone ya Phone Hang hone lagta hai.
play-store-nahi-chal-raha-hai-kya-kare
To aapko is problem ko ignore nahi karna chahiye, Balki ise fix karna hoga. Agar aap nahi jante hai ki Play store nahi khulne par kya karte hai aur ise thik kaise kare. To is post me humne iske bare me puri jankari di hai.

Play Store nahi khul raha hai? Play store in not Opening in Hindi

Friends Play Store app nahi khulne ke bahut se karan ho sakte hai. Lekin phir bhi aap ise thik karne ke liye mobile soft reset karte hai aur phir bhi work nahi karta hai. To phir aapko kya karna hai? Iiske bare me humne niche bataya hai. Esliye sabhi points ko achchhe se padhe. Kyonki inme se koi sa bhi point mobile me play store nahi khulne ka karan ho sakta hai. Sabhi points me Play store ki problem se related question aur uska answer detail se diya hai.

Technical Reason Play Store open nahi hone ke

1. Play Store version outdated 

Android mobile me kisi app ko download or update karne ke liye Play store kholte hai. To play App to khul jata hai lekin koi ap download nahi ho pata hai. To iska ek karan Google Play Store Updated nahi hona. Esliye aaj hi android mobile ke Play Store app ko update kare.

Sabse pahle Play Store ko open kare aur Left Side me show ho rahe 3 line par click kare. Jisse Menu open ho jayega. Last me aapko Setting ka option show hoga us par click kare. About vale section me aap dekh sakte hai ki current Play store ka version show ho raha hoga. Is par click kare.
play-nahi-chalne-par-update-kare
Agar play store up to date nahi hoga to permission dijiye aur update kar lijiye. Aur agar up to date hoga, To Google Play store is up to date ka notification milega.

Adhik jankari ke liye aap hamari post:- Google Play store update kaise kare padh kar detail se sikh sakte hai.

2. Reconnect Your Google ID 

Friends ho sakta hai ki proper tarike se Google Id login nahi ho pane ke karan Play store nahi khul raha ho aur naa hi Google ke duser apps like- Gmail, Hangout, Google Duo. To aapko ek bar apne mobile se Gmail Id ko logout Or remove karke bhi check kar lena chahiye.
play-store-ki-id-reconnect-kare
Agar aap Vivo, Oppo phone user hai to hamari yeh post padhe. Kyonki is phone me Gmail Id remove karne ka tarika thoda alag hota hai. Post 👉 Vivo mobile se Gmail Id remove kaise kare?

Play Store nahi khulne ka main karan

3. Cache Problem 

Hum jab kabhi koi aap ko open & use karte hai aur usme kuch search karte hai. To vah aap hamari is working ko apni Cache memory me store kar leta hai. Hum jitni bar bhi app ko phir se kholte hai aur use karte hai. To vah har bar ise Cache memory me store karta jata hai. Jisse App ki cache memory full ho jati hai aur Play store nahi khulne jesi problem hone lagti hai.

Esliye Phone ki Setting me jaye aur Cache clear kare. Cache clear karne ki steps humne niche batayi hai. 
Phone Settings>>Application>> Play Store>> open it and clear cache.

To is tarike se aap kisi bhi app ya Play store ki cache files ko delete kar sakte hai.

Yeh bhi padhe 👇
4. Wrong Date& Time 

Agar aapka play store thoda bahut bhi open hi nahi ho raha hai. So Friends, Aapko ek bar apne android mobile ki System Date check karna chahiye agar mobile ki Date & Time wrong set kiya hua hai. To is karan se bhi Play store nahi khul pata hai.
mobile-ki-date-and-time-set-kare
Esliye mobile me sahi Date aur correct time zone select kare. Ya phir automatic time zone ko On kar dijiye.

5. Clear Residual Data 

Agar upar bataye tarike kaam nahi kar rahe hai. To, aapko ek bar Play store ka data residual data delete karke bhi check karna chahihye. Isse Play store ka pura data aur setting delete ho jayega. Aur pahle jesa default play store ban jayega.
play-store-ka-data-clear-kare
Play store ka data delete karne ke liye Phone Setting me jaye. Setting me jane ke baad Applications me jaye. Yaha par aapko Play store ke name se App dikhai dega is par click kar open kare. Ab aap dekh sakte hai ki Play store ki details khul chuki hai. Tab simply Clear data button par click kare aur Play store ka data delete kar dijiye. Jiske baad aapko Play store nahi khul raha hai ya play store nahi chal raha hai ki problem ka solution ho bhi sakta hai. 

6. Hard Reset 

Guys itna sab kuch karne ke baad bhi Play store nahi chal raha hai aur naa hi khul raha hai. To, Aapko ek bar apne Phone ko Hard Reset kar lena chahiye. Hard Reset kar lene se mobile ki sabhi setting restore ho jayegi. Aur mobile pahle jesa ho jayega. Tab aap phir se Play store ko open kare aur Play store ki Id se login kare. 

Tab aapke android mobile me Play store chalu ho jayega. Agar app play store ki id kaise banaye aur Google play store kaise chalte hai to aap hamari post ko padh kar sikh sakte hai.

I hope friends, Itni sab point ko padh aur unhe follow karke. Aapke mobile me Play store nahi chal raha hai to play store chalu ho jayega. Aur agar itna sab karne ke baad bhi kisi tarah ka koi notice show hota hai. To, hume comment kar bataye hum us problem ka solution jarur karenge.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare