Whatsapp Data Transfer kaise kare? GB Whatsapp to Original.

Hi Guys this is Bishal and mai aaj aap logo ke liye ek new news lekar aaya hu jise Whatsapp ne kal hi update kiya hai. Jo ki fake whatsapp use karne valo ke liye bad news hogi. WhatsApp ke Official FAQ page ne rules ko update karte huye bataya hai ki whatsapp ke unsupported aur modified version ke users ko ban kar diya jayega. Tab aapko Whatsapp data transfer kar lena chahiye. Agar aap bhi GB Whatsapp/FM whatsapp ya koi bhi modified whatsapp use karte hai to aapko hamari niche batayi chijo ko jarur karna chahiye.
Whatsapp ke FAQ page me whatsapp ke sabhi fake, modified version ki list jari ki hai. Jisme GB Whatsapp, FM whatsapp pahle, duser number par hai. Kyonki yeh original whatsapp nahi hai balki original whatsapp ki API key ko copy karke banaya gaya hai aur yeh iske users ko full permission deta hai jisse kisi ki bhi status download, blue tick unseen kar sakte the.
whatsapp-data-transfer-kaise-kare
Lekin ab esa nahi ho payega. Kuch hi dino me GB WhatsApp user ka account Temporary ban kar diya jayega. Yani ki wo ab apne mobile me kisi bhi modified version ya fake WhatsApp ko nahi chala payenge. Ab baat aati hai ki agar hamara old whatsapp band ho jayega to hamara whatsapp data bhi delete ho sakta hai. To esi condition me old whatsapp ka data new whatsapp me data transfer kaise kare?

Whatsapp Data Transfer kaise kare? How to transfer Whatsapp data?

Agar aap GB ya FM whatsapp user hai aur apne is whatsapp ko original whatsapp se replace karna chahte hai lekin pure whatsapp data- chat, image, video ke saath to yaha par humne iski sabhi steps batayi hai. Jise follow karke aap badi hi aasani se whatsapp data transfer kar sakte hai?
STEP :-1  Sabse pahle Apne GB Whatsapp ko open kare aur right side me show ho rahe 3 dot yani ki More option par click kare. Phir Settings me jaye phir Chats>Backup me jaye.

Open Whatsapp>> Tap more option> Go to Settings> Chats> Backup chats
whatsapp-data-transfer-kaise-kare
Esa karne se whatsapp data, chat, image ka backup ban jayega.

STEP :-2  Backup complete hone ke baad aapko Phone Storage me jana hai jaha par aapko GBWhatsapp ke name se folder show hoga. Isko select karna hai tab aapko Rename ka option dikhega tab ise Whatsapp name se rename kar dijiye.

Yeh bhi padhe 👇
GB Whatsapp update kare
GB Instagram download kare
Google Bolo kya hai?

STEP :-3  Ab aapko simply play store par jana hai aur original Whatsapp ko download & install karna hai aur account banana hai. Jab aap number verify kar lenge uske baad aapko Backup found ka option show hoga to Restore aur Next kare.

So guys is tarike se aapke kisi bhi fake/modified whatsapp ka data transfer ho jayega. So pahle ki tarah hi aapka whatsapp data as it is aapke paas rahega. Lekin ab aap official whatsapp ko GB whatsapp ki tarah use nahi kar sakte hai. Jo officials version me feature diye jayenge sirf unhe hi use kar sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare