Whatsapp ki ID (Account) kaise banaye? Complete Process

Hi Guys, Kya aap apne new phone liya hai aur usme Whatsapp install karke chalana chahte hai. Lekin aapko Whatsapp ID banane ke bare me koi jankari nahi hai. Kyonki aap first time whatsapp use karne ja rahe hai. So chinta karne ki koi jarurat nahi hai, Aaj ki is post me hum aapko Whatsapp download aur install kaise kare, WhatsApp id kaise banaye, WP kaise chalaye ki puri jankari dene vale hai.

Aap log yeh to jante hi honge ki Whatsapp Play store ka sabse popular app hai. Jo hume free me messaging, audio, video, file send karne ki permission deta hai. Agar aapne abhi tak is par account nahi banaya hai to aapko yeh post jarur padhna chahiye.
whatsapp-id-kaise-banaye

WhatsApp ID Kaise banaye?

Guys WhatsApp ko January 2009 me launch kiya gya tha. Lekin us waqt yeh itna popular nahi hua. Kyonki us time India me logo ke pas itne Android Phones nahi the. Lekin jese-jese logo ke pas android mobile phone badhte gaye, Vese-Vese whatsApp user ka number dadhata gaya. Filhal India me Whatsapp ke 1.5 Billion active users hai. 

Ab WhatsApp Android, iOS, Windows phone, Computer/laptop ke liye, Jio phone ke liye, Nokia mobile ke liye bhi available hai. Agar aap inme se kisi bhi device ke liye whatsapp chahte hai to hamari post me humne iska download link diya hai. Jaha se aap ise directly download kar sakte hai :- WhatsApp Download kaise kare?
To chaliye dosto jyada time waste nahi karte huye WhatsApp ID banane ki process ko aage badhate hai. Yaha par humne step by step process di hai ise achchhe se follow kare.

WhatsApp Download & install kaise kare?

Sabse pahle to aapko apne Android mobile me WhatsApp ko download karna hoga. Ise mobile ke Play store se download kar sakte hai ya phir hamare niche diye gaye Download button se directly ise download kar sakte hai. Agar aap play store chalana aur app download karna nahi jante hai to hamari post se sikh sakte hai. :- Play Store kaise chalaye?


Ab App ko download kar lene ke baad aapko ise apne mobile me install karna hai. Agar app install hote time Permission require karta hai. To Setting>Apps me jaye aur Unknown source ko tick kar allow kar dijiye. Jisse Phone me WhatsApp install ho jayega.

Whatsapp ID banane ki Steps in Hindi.

Agar aapne upar di gayi link se app ko download & install kar liya hai. To, Ab aapko ise open kar lena hai iske aage ki process humne niche batayi hai. 

STEP :-1  WhatsApp ko open kar lijiye.

STEP :-2  Whatsapp ko open karte hi aappse Agree and Continue karne ke liye kaha jayega. Tab is par click kar accept kare.
whatsapp-id-ko-agree-kare
STEP :-3  Ab aapko County list me India select karna hai aur phir apna 10 digit mobile number dalna hai. Yaha par dalne jane vala number aapke pas hona jaruri hai. Kyonki jis number se hum Whatsapp ID bana rahe hai us par ek OTP message jata hai use hume yaha dal Verify karna hoga. Number dalne ke baad Verify button par click kare.
whatsapp-id-number-dale

STEP :-4  Verify par click karne ke baad ek Number confirmation show hoga. Jisme aapse puchha jayega ki agar number sahi hai to OK kare ya agar number galata hai aur chang karna chahte hai to Edit kare aur aage ki steps ko follow kare.
whatsapp-account-banana-number
STEP :-5  OK karne ke baad aapke dvara Enter kiye gaye Mobile number par ek OTP message aayega. Jisme 6 Digit OTP verification code hoga. Agar Enter kiye gaye number ki sim mobile me hi connected hai to OTP automatically verify ho jayega. Lekin agar sim kisi dusre mobile phone me hai to aapko type karke OTP dalna hoga.
whatsapp-number-verify-kare
Aap jese hi OTP enter karenge WhatsApp automatically verify karna start kar dega aur agar OTP galat hoga to process aage nahi badhegi jab tak ki aap sahi OTP enter nahi kar dete hai. OTP jese hi verify hoga Whatsapp ID ban gayi hai. Ab contact section me Contact select karke kisi bhi number par whatsapp message kar sakte hai.

Friends aapko hamara yeh post Whatsapp ID kaise banaye kaise laga hume comment kar jarur bataye. Aur agar kisi tarah ki koi problem hai to humse contact kare.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare