PC/Laptop me Windows 7 kaise install kare ya dale?

Aap sabhi computer ka use to karte hi honge aur samay-samay par. Usme new windows ko install Or reinstall. To karte hi honge, Aur agar aap phir se computer ko format karke new OS install karne vale hai. To aapko ek bar windows 7 install jarur karna chahiye. Kyonki yeh Microsoft company ka bahut hi popular Operating system hai. Jise aap bhi users dvara bahut adhik number me use kiya jata hai.

Agar aap iske bare me nahi jante hai ki Windows 7 kya hai aur computer ya laptop me Windows 7 install kaise karte hai. To aapko hamari is post ko pura jarur padhna chahiye. Yaha par humne iske installation se related puri jankari Hindi me share kari hai.

Windows 7 Kya hai?

Windows 7 ek O.S. (Operating system) hai joki Microsoft company dvara banaya gaya hai. Ise Year 2010 me launch kiya gaya tha. Windows XP ke baad agar sabse adhik successful aur popular OS agar koi hai to vo hai Windows 7.
windows-7-kaise-install-kare
Windows 7 operating system user ko diye jane vale Explorer transparency, feature, speed ke liye jana mana hai. Jo ki windows computer user ko bahut achchha lagta hai. Filhal me windows 7 ko install huye 9 saal ho chuke hai. Aur inhi 10 salo ke bich me Microsoft ne apne 2 aur OS :- windows 8 aur windwos 10 bhi release kiye the. Phir vo windows 7 jitne popular nahi huye. Aaj bhi windows 7 O.S. computer system me sabse adhik number me use hone vala O.S. hai. Agar aap windows 10 install karna sikhna chahte hai to post padhe.


Esliye mai Aapko computer me windows 7 install kaise kare batane vala hu. Windows 7 O.S. install karne ke liye aapke paas kuch chije hona jaruri hai. Jiske bare me maine niche bataya hai.
Yadi yeh tino chije aapke paas hai to aap badi hi aasani se computer me windows 7 ko format kar sakte hai. Agar aapke pas windows 7 installation ki file hai aur use DVD me burn karna nahi jante hai. To hamari post Windows DVD kaise banaye jarur padhe.

Computer me Windows 7 install kaise kare?

Agar upar batayi sabhi chije aapke paas hai. To badi hi aasani se apne computer ya laptop me windows 7 install kar sakte hai. Simply aapko hamari batayi steps ko follow karna hai. Lekin iske pahle aapko Boot Device ka kram change karna hoga taki aap DVD se boot kar paye.
DVD ko computer me lagaye aur Computer start kare. Start hote time par keyboard se Delete button 2 bar dabaye jisse Boot Menu open ho jayega. Ab Boot section me jaye aur Boot Device priority ke First boot Device/Drive me :- CD/DVD select kare aur F10 bada kar setting ko Save kar dijiye. System restart hoga.

STEPS:-

STEP :-1  System Restart hone par aap dekh sakte hai ki Press any key to Boot from CD_DVD dikhai dega. Tab keyboard se Enter daba kar windows 7 ka installation start kare.
windows-install-start-kare-enter-press-kare
STEP :-2  Ab aapko windows 7 ka logo dikhai dega. Yani ki Windows ke installation ki process start ho chuki hai. Ab computer ke liye language and Region select kare aur Next kare.
language-select-kare
STEP :-3  Windows 7 ka installation Setup start hone par ek dialog box dikhega usme Install now par click kare.
windows-7-install-kare
STEP :-4  Ab windows ke license agreement ko Accept kare aur Next kare.
windows-7-license-accept-kare
STEP :-5  Next karne ke baad windows ke installation ke 2 tarike show honge. Tab Custom(advanced) ko select kare.
custom-select-kare
STEP :-6  Ab jis drive me Windows install karna chahte hai us drive ko select karna hai. Hume Local Disk C ko click & select karna hai. Aur Format button se drive ko clear karke Next karna hai.
select-drive-format-and-next-kare
STEP :-7  Ab installation k process start ho chuki hai, Installation pura hone tak wait kare.
windows-7-install-ho-raha-hai
Kuch hi der me full setup install ho jayega.

Yeh bhi padhe:-
STEP :-8  Windows installation hone ke baad me system restart hoga. Tab aapko user account ki detail dena hai :-

 1.  Sabse pahle User name & Password set karke Next kare.

 2.  Next screen me Windows activate karne ke liye kaha jayega. Iske liye aapke pas Windows 7 ki product key hona jaruri hai. Agar filhal me Product key nahi hai. To Skip kare agar aap nahi jante hai ki windows kaise activate karte hai to hamari post padhe.
 3.  Ab windows update setting confirm karega. Tab isme Install important update only select kare. Aur agar aap chahte hai ki sabhi important software download & update ho to:- Use Recommended Setting ko click kare.

 4.  Iske baad apni Location ke anusar Timing Zone select kare. Agar aap India me rahte hai. To UTC+5:30 select & Next kare.

 5.  Select your Network location me Home/work place/ public select kare aur next kare.

STEP :-9  So friends Ab Aapke laptop ya computer me windows 7 dal chuka hai. Yani ki installation complete ho chuka hai.

So dosto ab aapke computer or laptop me windows 7 install ho chuka hai. Ab to aap logo ko samjh me aa gaya hoga ki Windows 7 install kaise kare aur windows 7 kaise dalte hai. Ab apni jarurat ke anusar Desktop ko customize kare, Required software ko install kare. Agar aapko virus ke infection se bachana hai to antivirus bhi install kare.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare