YouTube Music App kaise Download & Use kare?

Friends, Kya aap YouTube music ko download karna chahte hai. To humne yaha par YouTube music App kaise download karte hai aur YouTube Music kaise use kare bataya hai. Vese to hum YouTube ka use online Videos dekhne ke liye karte hai. Kyonki yeh ek bahut hi Popular Video app hai jisme sabhi Type ka Video content mil jata hai.
youtube-music-app-download-kaise-kare
YouTube ka upyog song sunne ke liye bhi karte hai. Lekin hum ise dusre Music App ki tarah background me nahi chala sakte hai. Jese hi hum ise background me kar dete music band ho jata hai. So YouTube ne iska solution :- YouTube Music name ke app se nikal liya hai. To chaliye jante hai yeh kya hai?

YouTube Music Download kaise kare? YouTube Music Use kaise kare?

YouTube Music kya hai?

YouTube Music, Google LLC ka hi ek App hai. Jise Specially music sunne ke liye design & ready kiya gaya hai. Isme search karke apni pasand ka koi bhi song sun sakte hai. Aur iski khas baat yah hai ki YouTube Music ko aap background me bhi chala sakte hai. Yani ki aap ise minimize kar dete hai Ya Phone screen off ho jati hai. Tab bhi song play hona band nahi hota hai.

Guys YouTube music app hume background me bhi songs play karne ki permission deta hai. Aur is par Songs ka bahut bada collection hai. Agar aap ek music lover hai to aaj hi ise apne android, i OS, windows mobile me YouTube music App download kare.

YouTube Music App for Android:-

Android Mobile ke Play Store me jaye aur Search bare me YouTube music likh kar Search kare. Tab image ke anusar aapko dikhai de raha hoga.
play-store-se-youtube-music-app-ko-download-kare
Ab simply aapko Install button par click karna hai. Jisse aapko android mobile me YouTube Music App download hone lag jayega.


YouTube Music App for iOS:-


YouTube Music App for Windows Phone:-



So Guys upar diye link se aap badi hi aasani se kisi bhi device ke liye YouTube Music App download kar sakte hai.

YouTube Music App Use kaise kare?

YouTube Music App ko Download karne ke baad ise open kare. Open karne par aapko sabse pahle Google Account se Sign In karne ke liye kaha jayega.

Sign In karne ke baad ab aap dekh sakte hai ki Aap ko ek Notification show hoga jisme aapko YouTube music App ka Basic & Premium Charge list show hoga.
youtube-music-app-member-ship-price
Aap dekh payenge ki Ya to hum ise 3 Month tak ka Trial use kar sakte hai. Aur iske baad aapko 99 Rs./Month pay karna hoga. Ya Phir Skip Free Trail kar sakte hai. Lekin Basic me aap YouTube music ko Background me nahi chala payenge. Aur naa hi music download kar payenge. Saath hi music ke bich me Ads bhi show honge.
Agar aap abhi iska Trail Version use karte hai to Membership lena padegi. Jisme aapko pahle apna Credit/Debit card add karna hoga. Uske baad hi aap iska trail version use kar payenge. Esliye ise Skip kare. Ab YouTube music app start ho chuka hai apni songs ki language select kare aur apni pasand ka gaana sune.

To Dosto is tarike se aap badi hi aasani se apne kisi mobile ke liye YouTube music app ko download kar sakte hai aur use kar sakte hai. Agar ise chalane me koi problem hai ya isse juda koi sawal hai to hume comment kar bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare