DCA ka full form aur DCA kya hai?

Friends, Aaj ke time par computer education kitna important ho chuka hai. Yah baat mujhe kisi ko batane ki jarurat nahi hai. Kyonki esi koi bhi field nahi bachi hai jisme computer ka upyog na kiya jata ho. Agar aapko private job ya government job bhi karna hai to computer require kiya jata hai.

Agar koi computer ke bare me nahi janta hai aur use computer sikhane ke liye ek Course hota hai. Jo ki Government job me require kiya jata hai. Jise hum DCA ke name se jante hai. Yeh ek course hai jisme aapko computer education diya jata hai. Aur computer se introduced kar well trained kiya jata hai. Agar aap is course ko karna ja rahe hai to iske pahle aapko DCA ka full form, DCA kya hai ke bare me jankari jaruri hona chahiye.
DCA-KA-FULL-FORM-KYA-HAI

DCA Ka full form kya hai? DCA Course ki jankari

DCA, Ek computer Diploma course hai. Jise karne ke liye minimum qualification 10+2 hai. Yani ki 12 th pass hona jaruri hai. 12 class se upar vale student ise kar sakte hai aur DCA me admission kar apni computer ki padhai start kar sakte hai. Yah 1 Year ka course hota hai. DCA ka full form Diploma in Computer Application hota hai.
Jab kabhi koi government department me computer operator ke liye job nikali jati hai. To vaha par DCA ka Certificate manga jata hai. Yah minimum computer diplomatic education course hai isse bade aur bhi course hote hai. Like:- ADCA, PGDCA, C level, O level course. India me DCA karane ke liye bahut sari university hai jo DCA me admission leti hai aur DCA certificate deti hai. Agar DCA ki fess ki baat ki jaye to sabhi university me iski fees me thoda sa difference hai. Lekin yah course phir bhi 12000 - 15,000 ke bich me ho jata hai.

Yeh bhi padhe 👇


Kuch states (Madhya Pradesh) me Government khud ke computer proficiency test leti hai aur Students ko certificate deti hai, Jo ki sirf state government me hi apply hote hai. Lekin DCA me esa nahi hai. Aap ise State Government ke saath hi Central Government, Private job me bhi use kar sakte hai.

DCA ka Syallabus Or DCA me kya padhaya jata hai?

DCA course me students ko itna train kiya jata hai ki vo future me kabhi koi personal job kare ya apna business kare to use koi software use karne me problem nahi ho. Ab iska matlab yah nahi hai ki vyakti sirf DCA karke hi computer expert ban jata hai. Isse badhe aur bhi kayi course hote hai jinke bare me bata chuka hu. Filhal DCA ka syllabus jante hai ki hume DCA me hume kya padhate hai.

dca-syllabus-kya-hai

DCA 1st Semester -

  • Fundamental of Computer
  • Ms office
  • Internet & Multimedia
  • Graphic & Designing
DCA 2nd Semester -
  • Web Designing 
  • Tally Accounting Basic
  • Spoken English
  • Personality Development (P. D.)
Jab aap itna sab padh lete hai to aapko computer ka achcha knowledge ho jata hai. Iske baad aap apni qualifications ko badha kar aur bhi bade course kar sakte hai. So I hope friends ab to aap logo ko DCA ke bare me jankari mil gayi hogi ki. DCA kya hota hai, DCA ka full form kya hai, DCA ke syllabus ki jankari mil gayi hogi.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare