Facebook ka Photo Download or Save kaise kare?

Hello Guys, Aap Facebook to use karte hi honge aur shayad esliye aapne is post padhna chaha hai. Jisme mai aaj aap logo ko Facebook se judi ek bahut hi basic aur khas chij share karne vala hu. Dosto Internet par facebook ka upyog apne friends ke saath apni Photo, Video, Text, Emotions ko share karne aur. Dusro ke dvara share kiye ja rahe photo, video ko like, comment aur share karne ke liye kiya jata hai.
facebook-ka-photo-download-kaise-kare

Agar aap bhi ek facebook user hai to yeh sab kuch jarur karte hi honge. Lekin friends, Kabhi kabar esa ahota hai ki hamare kisi Fb friend ya Fb Page dvara esa Facebook par photo esa photo upload kar diya jata hai. Aur jab vo hamare saamne aata hai to hume bahut achchha lagta hai aur hum us Facebook ke photo ko Gallery me Save karna chahte hai.
Lekin facebook hume iski permission nahi deta hai ki Hum kisi ke upload kiye huye Facebook ke photo ko Download kare. To aaj mai aap logo ko Facebook ke kisi bhi photo ko download karna aur Facebook ka photo Save kaise karte hai batane vala hu.

Facebook ka Photo Download kaise kare?

Dosto Facebook to hume yah permission nahi deta hai ki ese hi hum kisi bhi user ki Facebook photo ko download aur Save kar paye. Kyonki yeh Privacy ki baat hai aur vese bhi abhi kuch dino se Facebook me Users ki Data Privacy ko lekar kaphi sawal uth rahe hai. To ese me Facebook par share ki jane vali chijo ke liye thoda kathor ban chuka hai.

Lekin agar aap phir bhi us Facebook ke Photo ko Save karna chahte hai. To humne iske tarike bataye hai. Jiski madad se aap badi hi aasani se Facebook ka Photo Download ya Facebook ka Photo Save kar payenge.

Tarika Number:-1 

STEP :-1  Dosto Facebook se photo download karne ke liye aapke pas Facebook account hona jaruri hai. Iske baad mobile me Play store se Facebook app download kar lijiye. Aur apne ID & password se login karke Facebook chalaye. Aap chahe to hamari niche di gayi link se bhi Facebook download kar sakte hai.


STEP :-2  Ab aap dekh sakte hai ki jo bhi friend Photo ya video share kar raha hai. Yaha par show ho raha hoga. Ab aap jis kisi bhi Facebook photo ko download karna chahte hai us click kar dijiye jisse vo full size ka ho jayega.
facebook-ka-photo-save-kaise-kare

STEP :-3  Ab aap dekh payenge ki right side me upar ki aur 3 dot show honge. Un par click kare jisme Save ka option hoga tab ise select kare.

Ab apne mobile ki Gallery me jaye aur check kare vaha par. Facebook ke name se ek folder ban gaya hoga. Jisme Facebook ka photo Save hua dikhai dega. Agar yeh tarika kaam nahi karta hai. To hamara dusra tarika try jarur kare.

Yeh bhi padhe 👇

Tarika Number:-2

Upar batayi trick ko karne ke baad bhi agar Facebook ka photo Gallery me nahi aa raha hai. To aap is second trick ko jarur try kare. Yeh ek bahut hi common method hai jisse aap Facebook to kya kisi bhi app, website se photo ko Download aur Save kar sakte hai aur apni Gallery me dekh sakte hai. Jise hum "Screenshot" ke name se jante hai.

Screenshot yani ki display ko capture karna ya uska photo shot lena. Iski madad se aap kisi bhi chij ka photo mobile me le sakte hai aur vo photo Gallery me Screenshot folder ke andar Save ho jayega.
Sabhi android mobiles me Screenshot lene ka tarika alga hota hai.

 Kisi mobile me Home button ke saath Power button press karna hota hai to kisi me Home button ke saath Volume down button, Power button + volume down. Aap to apne mobile me screenshot lena jante hi honge simply jis kisi bhi facebook ka photo ka screenshot lena chate hai open kariye aur screenshot le lijiye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare