Facebook Kaise chalate hai? Facebook chalane ki Puri jankari

Hello Guys, Aap log Facebook ke bare me jante hi honge. Kyonki aaj ke time par most popular social media site hai. Facebook ko Crore log chalate hai. Yah sirf India hi nahi balki world wide level par feli huyi hai. Jis par har Billions Facebook user & pages hai.

Is post me mai aapko Facebook kaise chalate hai se related puri jankari dene vala hu. Agar aap new Facebook user hai to chalane me aasani ho esliye humne Facebook chalane ki Full Guide share kari hai.
facebook-kaise-chalate-hai

Facebook Kaise chalate hai?

STEP :-1  Friends Facebook chalane ke liye aapke mobile me Facebook app hona jaruri hai. Esliye sabse pahle Facebook app download kar lijiye.

 Download

Aur agar without Facebook App use kare Facebook chalana chahte hai. To, Web browser ko open kare aur Facebook ki official website par jaye. Go To

STEP :-2  Friends, Facebook chalane ke liye aapke pass Facebook account hona bahut hi jaruri hai. Agar Facebook account nahi hai to aap Facebook nahi chala sakte hai. Esliye sabse pahle Facebook par apna account banaye.
STEP :-3  Account banane ke baad apne Id aur Password se Login kare.
facebook-id-log-in-kare
STEP :-4  Ab aap yaha par Create Post ke name se show hoga. Yaha se aap apne words, Photos, Video ko upload & Share kar sakte hai.
facebook-par-photo-upload-kare
Agar aap sirf Words ko Share karna chahte hai to is box me jaye aur words type kare.
Agar Photo or Video ko Facebook friends ke saath share karna chahte hai to Yaha se Photo ya Video par click karke Select & upload kare. Agar Photo me koi friend hai to use bhi Tag kar sakte hai. Taki use bhi is post ki Personal notification mil jaye.

Yeh bhi padhe 👇
Saat hi agar aap Text, Photo or video ke saath feelings/Activity ko bhi Share karna chahte hai. To yaha se add karke share kar sakte hai.

Facebook par Photo/Video Share kaise kare?

Friends agar Facebook user hai aur Facebook chalate hai to aapko apni profile par Photo or Video share karna bhi aana chahiye. To chaliye jante hai ki kis tarah se hum Facebook par Photo upload kar sakte hai.
STEP :-1  Sabse pahle Facebook user name aur Password ke saath Sign In kare. Ab yaha par aapko Create Post ka box show hoga. Tab aapko Photo option par click karna hai.
fb-par-photo-upload-kaise-kare
STEP :-2  Ise click karne par Photo Browser box open ho jayega. Yaha par aapko Gallery se Photo select karke upload karna hai.
fb-par-photo-upload-kaise-kare
Aap chahe to iske saath me kuch Text ko bhi likh sakte hai. Aur feeling ya activity ko bhi jod sakte hai. Aur Facebook post par jyada comments, likes badhane ke liye Tags bhi kar sakte hai.

Facebook par Chat (Message) kaise kare?

Friends, Facebook ek social networking sites hai. Jis par maximum user chatting karne ke liye karte hai. Chatting yani ki baatchit, Is par aap apne kisi bhi friend ko message, photo send kar sakte hai. Aur bina kisi extra charge ke message kar sakte hai.
facebook-chat-kare
Agar aap bhi apne kisi Facebook friend se chatting karna chahte hai. Upar dikh rahe Chatting section par click kare aur isme jaye. Yaha par aapko friends ke name show honge. Inme se kisi ko bhi select aur message send kar chatting start kar sakte hai. Aur agar kisi friends ka name show nahi hota hai. To, Search bar se uska name search kar use find kar sakte hai.

Facebook par Comment kaise kare?

Agar aapka koi Facebook friend koi post karta hai. To aap us par apni comment (प्रतिक्रिया) kar sakte hai. Yani ki aap us post ke bare me apne vichar rakh sakte hai. Ya phir aap use Like bhi kar sakte hai. Yani ki aapko yah post achchha laga hai. Facebook kaise chalate hai yah to aap padh hi rahe hai, Lekin agar aap facebook par comment kaise karte hai detail me janna chahte hai. To hamari post jarur padhe.
Aur agar aap apni comment ko unique dikhana chahte hai to Facebook par color full comment karna sikhe.
So friends is tarike se aap badi hi aasani se Facebook par Text, Photo, Video ko share kar sakte hai. Aur apne dosto ke saath share kar sakte hai. Saath hi koi post achchha lagne par apni comment bhi kar sakte hai.

To dosto ab to aapko samjh me aa gaya hoga ki Facebook kaise chalate hai. Agar phir bhi facebook chalane me koi problem aati hai to hume comment kar bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare