Android Mobile ko Computer kaise banaye? Step by Step jankari

Hi guys, Agar aap apne old fashion android phone ka chala ke thak gaye hai. Aur ab aap chahte hai ki kyo na apne android phone ka look and features ko change kar diya jaye. Aur ise computer me change kar diya jaye. Ya esa kahe ki android phone ko Windows O.S. me badal diya jaye. Jesa chahe vesa kahiye.
mobile-ko-computer-kaise-banaye
Aaj hum aap logo ko is post me android mobile ko computer kaise banaye batane vale hai. Jiski help se hum apne mobile ka look change kar payenge. Aur mobile ko computer ki tarah chala payenge. Mobile ko computer kaise banate hai janne ke liye post ko end tak jarur padhe. Taki sabhi steps aasani se samajh me aa jaye.

Android Mobile ko Computer kaise banaye?

Generally, Android Phones me Android OS install hota hai. Jiske update to aate rahe hai. Lekin uske look se related jyada koi changes nahi aata hai. Agar aap is limitation ko todna chahte hai aur mobile ko computer ki tarah banana chahte hai.. To hamari niche batayi steps ko follow jarur kare.
Android mobile ko computer me badlne ke liye aapko apne mobile me ek Application download karna hoga. Jiska link humne niche diya hai.

STEP :-1  Sabse pahle niche diye gaye link se app Download and install kar lijiye.

STEP :-2  App download karne ke baad ise apne android phone me install kar lijiye. App install karne ke liye aapko pahle setting me jana hoga aur Unknown source application ko mark karna hoga. Jiske baad hi yeh app install ho payega. Agar yeh setting pahle se apply ki huyi hai to aap direct app install kar payenge. Aapko kisi tarha ka notice nahi milega.
STEP :-3  App permission dene ke baad mobile me app install ho jayega. Jese hi aap pura install ho jayega aapke mobile ka look badal jayega. Aur ab aapka mobile computer me badal chuka hai. Ab yah Windows 7 ke look me change ho chuka hai.

Install hone ke baad update ko notification show hoga. Tab aap ise update jarur kare taki is app ke new features bhi aapko mil sake. Ab aap iske look ko apne anusar custmoize kar sakte hai.

Yeh bhi padhe 👇
Ab aap android mobile ko computer ki tarah use kar sakte hai. Kyonki isme PC ki tarha My computer, Recycle bin etc diye huye hai. Jo ki aapko ek computer operate jesa fill karvata hai. I hope guys aapko hamara yah post pasand aaya hoga. Agar steps ko follow karne par koi problem hai to hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare