MP Board 10th/12th Result kaise Check kare Ya Dekhe?

Hello Students, Kya aapne abhi-abhi hi Mp Board 10 th ya MP Board 12th ka Exam diya hai. I hope ki sabhi exam papers achche gaye honge. Aap logo ne jitni preparation kari hogi. Aap logo ko utne marks jarur milenge. Aaj mp board 10th ka result aur mp board 12th ka result 11 Am par declare hoga.
mp-board-result-kaise-dekhe-10th-12th
So adhik time na lete huye mai aapko batana chahunga ki vese to hum is Website par Technical Post share karte hai. Lekin maine notice kiya hai ki Maximum students ko apna MP Board Result check karna nahi aata hai.
Esliye aaj mai aap logo ko Mp Board 10th result aur MP Board 12th result dono ka parinam check karna sikhane vala hu. Saath hi yah bhi batane vala hu ki Result dekhne ke liye kya-kya chije hona jaruri hai.

MP Board Result check Kaise Kare?

Friends MP Board hamare State ka Education Board hai. Jise hum MPBSE (Madhya Pradesh Board of Secondary Education) ke name se bhi jante hai. Yah Madhya Pradesh ka Education Board hai jo students ke liye exam organize karta hai aur unke result dikhata hai. Aur aaj 15 May 2019 ko 10th, 12th board ka result 11:00Am dikhane vale hai. Jise check karna niche bataya hai. Agar aap bhi MP se hai aur 10/12th Board Result check karna chahte hai. To yaha par hum with image se aapko Board result dekhna sikhane vale hai.
Saath hi result check karne ke pahle aapke paas Mp board ka Roll number aur Application number hona jaruri hai. Agar aapke paas nahi hai to aap result nahi dekh payenge. Application number aapko apne Admit Card par mil jayega.

Result Check karne ki Steps:-

Chunki aap MP me padh rahe hai esliye sabse pahle aapko MP Board ka portal open karna hoga. Iske liye sabse pahle mobile ka browser ko open kare aur Google par MPBSE type kar search kare. Agar aap direct MPBSE ki website par jana chahte hai to hamare niche diye button par click kar sakte hai.

Go To 👉 MPBSE

STEP :-2  Jese hi aap click karenge aapko HSC (Class 10th) Examination 2019 aur HSC (Class 12th) Examination dikhai denge. Tab aapko apni Class select karna hai.
class-select-kare

STEP :-3 Simply ab pahle box me Apna Roll No. aur dusre box me apna Application No. dalna hai. Aur phir  Submit  kar dena hai.
10th-12th-result-dekhne-ke-liye
Apne Roll number aur Application number dalne ke baad Mp board 10th aur Mp Board 12th ka result check ho jayega ya dhik jayega. Agar aapko Result dekhne me koi problem aa rahi hai to niche hume comment kar jarur bataye.

Show comments
Hide comments

3 comments:

Apna Comment Kare