Paytm KYC kaise kare? Paytm E-KYC karne ki puri jankari

Hey Guys, Kya aap ek Paytm user hai to aapke liye yeh post bahut hi jaruri hai. Kyonki jab se Paytm bank launch hua hai. Uske baad se sabhi Paytm users ke liye Paytm KYC karvana jaruri kar diya hai. Agar aap log bhi 1 Lakh Rs. tak ka payment apne wallet rakhna aur use karna chahte hai. To aapke Paytm account E-KYC hona jaruri hai.

Agar aapne ne bhi abhi tak KYC nahi karvaya hai ya Paytm account me Aadhar card se update nahi karvaya hai. To aaj hi apne ise karvaye aur iska use kare. Lekin iske pahle mai aapko KYC ke bare me batana chahta hu.
paytm-kyc-kaise-kare


KYC kya hota hai?

KYC yani ki Know Your Customer. Bank, Insurance Company apne kisi bhi User ki Identity (पहचान) verify karne ke liye document like:- Aadhar Card, Pan card, Driving licences leti hai aur  phir aapke account ki identity ko verify karti hai. Ki aap vahi vyakti hai ya nahi jo ki is account ko use kar raha hai. E KYC karne se aapke Name. Address ki details verify ho jati hai. Aur unke pas record bhi ready ho jata hai. Ise hum PayTm account ko Aadhar card se link karna bhi kahte hai.

PayTm KYC kaise karte hai?

Friends, PayTm ki KYC karna bahut hi aasaan hai aap chahe to ise ghar bethe hi kar sakte hai. Bas iske liye aapke pas PayTm account aur Aadhar card hona jaruri hai. Agar aap soch rahe hai ki isse mujhe kya fayda hoga to aapko iske fayde jan lena chahiye.

PayTm KYC Benifit in Hindi

 1.  Agar aap KYC update karva lete hai to PayTm account Temporary deactivate hone se bacha sakte hai. Kyonki KYC nahi hone par account deactivate ho jata hai Transaction nahi ho pata hai.

 2.  KYC process complete hone par PayTm Saving account open kar sakte hai.

 3.  KYC hone ke baad aap apne PayTm wallet me 1 Lakh Rs. tak add kar sakte hai aur. Every month 20 Rs. tak kharch kar sakte hai.

 4.  Online Shopping me Cash Back ka fayda utha sakte hai.

 5.  Agar aapne  new PayTm account ki KYC karva li hai to aap usi time par Transcation start kar sakte hai. Lekin vahi dusri aur agar kisi new user ne KYC nahi karvayi hai. To vo starting ke 3 din me payment send nahi kar sakta hai. 

PayTm KYC ki Process Hindi me

KYC 3 types ki hoti hai. 
  • Min KYC
  • Self KYC Aadhar Based
  • Full KYC
Supreme court ne Aadhar Based KYC par rok laga di hai. Esliye aapko Full KYC ko hi update karvana hoga. Iske liye aap hamari Step by Step PayTm KYC kaise kare? post ko pura padhe.

STEPS:-

Steps start karne ke pahle aapko bata du ki aapke pas Paytm account hona jaruri hai. Agar Paytm par account nahi hai. To pahle PayTm account create kare uske baad me Steps ko follow kare.

 1.  Mobile me PayTm App ko Login karke apna account open kar lijiye.

 2.  Log In karne ke baad aap dekh sakte hai ki upar ki side me Nearby KYC ka option show hoga is par click kare. Jisse aapko najdiki Authorized agent ki location pata chal jayegi uske pas jaana hai.

Yeh bhi padhe 👇

 3.  Agent ke paas jate time aapko apne saath Government ID proof Like:- Aadhar card, Passport, Pan Card, Driving license me se koi Ek document lekar jana hai. Jisme aapka mobile number registered hai.

 4.  Ab Us authorized agent ke paas jana hai aur apni PayTm KYC ko updae karne ke liye kahna hai. Vo apni Paytm Verified & authorized Id se login karega aur aapke account ko KYC update ki process start kar dega. Sabse pahle vo aapki Id ka photo click karega aur phir Father, Mother name, Address puchega aur App me Submit kar dega.

 5.  Ab vo aapke Aadhar number ko App me Enter karega jisse aadhar card me registered mobile number par ek OTP (Message) verification code aayega jise PayTm agent ko batana hoga aur phir vo ise submit kar dega. Agar OTP nahi aa raha hai to hamari post padhe.

Successfully, Ab aapka PayTm account aadhar card se link ho chuka hai. Yani ki PayTm KYC complete ho chuki hai. Ab aap badi hi aasani se apne PayTm wallet me Rs. 1 Lakh tak rakh sakte hai aur PayTm se payment kar sakte hai. 

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare