UCO Bank ATM ka Green pin Generate/Change kaise kare?

Hey Guys, Kya aap UCO Bank Account holder hai yani ki kya aapka UCO bank me khata hai. To aaj ki yeh post aapke liye useful hone vali hai. Kyonki aaj ki is post me hum aapko UCO bank ATM green pin generate karna sikhane vala hu.

Dosto aap yeh to jante hi hone ki new guideline ke according sabhi purane ATM card ko band kiya ja raha hai. Aur old Atm cards ko new atm card se replace kiya ja raha hai. Aur yeh Atm cards, Bank account me diye Address par deliver honge. Agar aapka bhi atm card band ho chuka hai ya Expire ho chuka hai. Post ke jariye kuch hi dino me aapke address par new atm card mil jayega.
uco-bank-green-pin-generate-change-recover-kaise kare
Jab post ke jariye aapko new ATM receive hoga tab vo ek dam fresh hoga. Yani ki vo activated nahi hoga. Iske liye aapko apne najdiki UCO Bank Atm machine par jana hoga aur UCO bank ATM ka pin generate karna hoga.  Iske liye aap hamari niche di gayi Steps ko follow kare.

UCO Bank ATM Green Generate, Change aur Recover kaise kare?

Jesa ki abhi maine upar bataya ki agar aapka ATM expire ho gaya hai. Ya UCO Bank atm ka pin change ya recover karna chahte hai. To iske liye aapko Steps ko follow karna hoga. Lekin iske pahle mai aapko ATM se judi kuch baate batana chahta hu. Aur agar aap in point ko nahi padhan chahte hai to in dono point ko Skip kar niche ki steps ko padh lijiye.
 1.  Dosto aap logo ke dimag me yah khayal jarur aa raha hoga ki jab hamare ATM ki expiry date abhi nahi aayi. Aur ATM kyo band ho gaya hai. To iska karan yah hai ki old ATM card me Chip system add nahi tha. Lekin ab jo atm cards aa rahe hai. Unsabhi me Chip judi hoti hai. Joki security ke hisab se bahut badiya hai.

 2.  Ab dusri baat yah aati hai ki jab hamare paas ATM card receive ho gaya hai. To iske saath ATM Pin kyo nahi aaya hai aur hume UCO Bank ATM ka green pin generate kyo karna pad raha hai. To iska bhi karan hai ki jab aapko ATM envelop receive hota tha to usme ATM ke saath Pin bhi prited hota tha. Jisse vo pin sabhi ko pata chal jata tha. Lekin account holder ka verification nahi ho pata tha.

So ab is process ko change kar diya gaya hai. Ab sirf ATM receive hota hai. Aur is ATM card ka new green pin/password banana padta hai. Uske baad hi ATM card working hota hai. Ab is process me kya khas hai ise janne ke liye puri post padhe.

UCO Bank ATM Green Pin kaise Generate kare?

Agar aapke paas UCO bank ka atm hai aur iske liye new green pin banana, UCO ATM ka pin change, UCO bank pin recover karna chahte hai. To hamari niche di final steps ko padhe.
STEP :-1  ATM ka Green Pin generate karne ke liye sabse pahle apne Nearby UCO Bank ATM machine par jaye aur apna card Swipe kare.

STEP :-2  Chunki aapka card new hai. Aur iske liye hum Password banana chahte hai. To display se Generate Green Pin ko select kare.

STEP :-3  Ab aapse 14 Digit Bank account number enter karne ke liye kaha jayega dale.

STEP :-4  Bank account number dalne par ab aapke bank account me registerd mobile number par ke OTP message jayega. Jisme verification code hoga.

Yeh bhi padhe:-
OTP nahi aaye to kya kare
OTP hack kaise kare
GB Whatsapp Download kaise kare
ATM se paise kaise nikale

STEP :-5  Ab aapko phir se apne ATM card ko machine me swipe karna hai aur Validate OTP ko select karna hai. Yaha par aapko mobile number par aaye OTP ko Submit kar Ok karna hai.
STEP :-6  Ab screen par Enter new Pin display hoga. Jisme aap apni pasand ka UCO Bank ATM 4 Digit Green code dale. Aur yahi aapke ATM ka Pin hoga.

So friends is tarike se aap apne kisi bhi ATM ya UCO Bank Atm ka Green Pin generate, change kar sakte hai. Ab jante hai ki UCO ATM ka pin change kaise karte hai?

UCO Bank ATM Pin recover kaise kare?


Guys Agar aap apne ATM ka password bhul chuke hai aur pin ko recover karna chahte hai. To mai aapko bata dena chahta hu ki New pin generate karne aur UCO bank ATM pin recover karne dono ki process ek jesi hai. Pahle ke time par agar ATM pin bhul jate the to iske liye hume bank me UCO Branch me application dena padti thi. Uske baad new pin aata tha jiska hume pay karna padta tha. Lekin ab esa nahi hai hum chahe to online Ya ATM machine ki madad se hi Pin reover kar sakte hai.

Agar aapko apne UCO bank ATM ka Pin generate karne ya password banane me koi problem aa rahi hai. To hume comment kar jarur bataye. Hum aapki comment ka reply jarur denge.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare