Perfect Email kaise likhe? Email likhna sikhe in hindi.

Hey friends, Kya aap newbie hai aur nahi jante hai ki Email kaise likhte hai. To aaj ki is post me mai Bishal Bhati aap logo ko sikhane vala hu ki kis tarah se Shandar Email likhte aur use Compose kaise karte hai. Jisme mai aap logo ko kuch chije bataunga like- Email kaise likhe, Email kaise likhna chahiye, Email address kaha par dale, Email par file attach kaise kare, CC aur BCC kya hota hai, Email send karte time kin baat ko dhyan rakhna chahiye, Email likhne ke pahle kya jaruri hai etc.

Email Kya hota hai?

Email yani ki Electronic mail address, Jaha par aap kisi bhi vyakti ko mail(message) bhej sakte hai. Email aapka online address ko show karta hai. Like:- karekaise@gmail.com Iska matlab yah hota hai ki Karekaise email hai aur ise Gmail par banaya gaya hai. Jis tarah se hamara ek unique mobile number hota hai. Thik usi tarah se har user ka unique Email address bhi hota hai.
email-kaise-likhe-hindi-me
Lekin agar aap kisi ko Email Likhna chahte hai. To aapke paas Khua ka Email Id/Address aur samne vale vyakti ka Email address hona bhi jaruri hota hai. Agar aapke pas Email address nahi hai to aaj hi apna Email Address banana sikhe.

Email likhne ke liye jaruri chije?
  • Email ID/Address
  • Computer/Laptop/Mobile
  • Internet Connection
Ek baat ka hamesha dhyan rakhe ki Email ek professional way hai. Apne message ko bhejne ke liye esliye hume isme bahut hi baato ko dhyan rakhna padta hai. Jinke bare me maine niche bataya hai. Jinhe aap Email Likhte time jarur dhyan rakhe. Kyonki Online Job and Vacancies apply karne ke liye Email hi likha aur send kiya jata hai.

Email Likhna (Writing) Tips in Hindi

 1.  Subject line

Jab aap ek Professional Email likh rahe hai to aapko hamesha apni Subject line clear likhna chahiye. Subject yah batata hai ki aapka Email kis bare me. Aur jab aap email likhna start karte hai to us time par aapko apni baate Subject line se related hi likhna hai.

 2.  Timing ka dhya rakhe

Agar aap kisi Professional work ke liye email likhna aur send karna chah rahe hai. To aapko Time ka dhyan rakhna chahiye. Sirf working time par hi Email bheje na ki kisi bhi time par. Agar aap working time par email bhejte hai to Email jaldi padhe jane aur reply aane ke chance jyada hote hai.

Yeh bhi padhe:-
Email Kaise Send kare?
Resume kaise banaye?
Play Store ki Id kaise banaye?
Message nahi jaye to kya kare?

 3.  Points by Point baat rakhe

Aksar log Email likhte time yah galti karte hai. Ki vo apni baat ko Point by Point nahi batate huye. Ek saat likh dete hai. Jisse Email reader ka email ko padhne me interest kam ho jata hai. Kyonki use email samjhne me difficulty hone lagti hai. Esliye hamesha apni important baat ko points me ek-ek karke likhe.

 4.  Shortcuts and Shouting se bache

Aap jo message send karne ja rahe hai. Vo kisi professional work ke liye na ki koi local work. Esliye jab aap Email likhna start karte hai to usme Shortcuts word like:- Thnx, Sub. etc likhne se bache. Aur agar aap Email Writing me adhik Capital words ka use karte hai. To use Shouting (चिल्लाना) kaha jata hai.

 5.  Highlight Rules

Vese to email me likhi gayi saari baate jaruri hi hoti hai. Lekin agar koi baat jyada hi jaruri hai to use Bold kar dijiye. Taki Email Read karne vale ka dhyan us point par pahuch jaye.

Email Kaise likhe? How to Write Email in Hindi.

Friends maine aap logo ko upar yah to bata diya hai ki. Email likhate time kin baat ko dhyan rakhna hai. Aur likna start karne ke liye kya jaruri hai. Agar aapne un sabhi baat ko padh aur samjh liya hai. To chaliye ab jante hai ki Gmail me Email kaise likhe aur send kare?

STEP :-1  Apne Pc/laptop/Mobile me me www.gmail.com website open kare.

STEP :-2  Website open hone ke baad left hand sim me aapko Compose button dikhai dega. Us par click kare. Jisse Right hand side me New message ke name Compose box open ho jayega.

email-likhne-ke-liye-box-open-kare
STEP :-3  Ab is Compose box me aapko Email likhna start karna hai. Yaha par aapko To, Subject, Message area dikhai denge. Ab isme details kaise dalna hai aur email kaise likhna hai jante hai.
email-likhne-ki-details
 (i)  To:- Yaha par us vyakti or company ka address dalna hai. Jise aap email send karna chahte hai. Isi ke pichhe aapko CC aur BCC ke option bhi dikhai denge jiske bare me niche bataya hai.
  • CC :- CC ka full form Carbon Copy, Agar bilkul esa hi email kisi aur ko bhi bhejna chahte hai to oos vyakti ka bhi email address dale par dhyan rahe sabhi ke email address ke bich me (,) comma ka use karna hai. Jese- abc@gmail.com, xyz@gmail.com
  • BCC :- BCC ka full form Blind Carbon copy, Agar aap email to bhejna chahte hai par oos samne vale vyakti ko aap apna email address show nahi karna chahte hai to BCC me uska email address dale.
 (ii)  Subject:- Aap email kis bare me likh rahe hai ya bhej rahe hai. Vo subject yaha par likhe. Maan lijiye ki aap yah is Email me apna Resume writing & upload rahe hai. To subject me Resume with Name likhe. Example- Resume Bishal Bhati.

 (iii)  Message Box:- Yaha aapko apna Email message likhna hai. Maan lijiye ki aap isme C.V. likh rahe hai. To unhe details se yaha par likhe. Lekin upar bataye un points ko dhayn me rakh kar.

Yeh bhi padhe:-
GB Whatsapp kaise download kare?
Computer ka Password kaise tode?
Mobile ka Pattern kaise tode?

Saath hi file ko upload and attach karne ke liye Attach button ka use kare. Words ko highlight (formatting) karne ke liye Bold, Italic, Underline ka use kar sakte hai. Aur saath hi kisi chij ko points me batane ke liye Bullets (*) & Numbering (1, 2, 3) ka use kar sakte hai. Aur jab rechecking and complete ho jaye to  (iv)  Send kar dijiye.

So friends is tarike se aap Email likhna likh sakte hai. Aur kisi person aur company ko apna email send kar sakte hai. Aap logo ko hamara yah post email kaise likhe kesa laga hume comment kar jarur bataye. Agar aapko Email Wiritng in Hindi se related koi problem hai to hum aapki help jarur karenge.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare