Hacker Kaise bane? Hacker🐱‍💻 banne se pahle jarur padhe.

Hey guys, Welcome to the Karekaise. Aaj mai aap logo ko hacking ke bare me kuch jankari dene vala hu. Like- hacker kaise bane, hacking kaise sikhe, hacking ki padhai karne ke liye karna hoga etc. Yani ki hacker banne se related puri jankari share karne vala hu. Jisse aapko iske bare me puri jankari ho jayegi. Isliye friends is post ko pura jarur padhe.

Aap logo ne Movies, Newspaper me hacker word to suna hi hoga. Agar aapne sirf iska name suna hai. Lekin hacker kya kaam karta hai isse related koi jankari nahi hai to sabse pahle mai aap logo ko Hacker shabd ka matlab batana chahta hu.

Hacker kya hota hai?

Hacker ek esa Technical Programmer person hota hai. Jo kisi website, App, O.S. ya kisi bhi programming based chijo ki kamiyo ko Search and Repair karne ka kaam karta hai. Lekin sabhi hacker ek jaise nahi hote hai. Kuch hacker good work karte hai to kuch apni sirf apne fayde ke liye Bad work karte hai. Esliye hacker ki kuch categorizes hoti hai. Jiske bare me maine niche bataya hai.
hacker-kaise-bane
Taki aap log pahle hi samajh paye ki kis type ka hacker kaise kaam karta hai. Aur konsa hacker bane jo best hai.

Hacker kitne types ke hote hai? Hacker banne ke pahle jarur jane

Friends, Jesa ki maine abhi upar bataya ki hacker ek esa vyakti hota hai jiske kaam ke aadhar par isko alag-alag categorize me rakha jata hai. Aur agar aap bhi hacker banna chahte hai. To sabhi hacker ke bare me jaan lijiye. Yaha par humne kaise hacker bane aur iske liye kya jaruri hai bataya hai. To chaliye inke bare me jante hai.

 1.  White hat Hacker

White hat hacker ese people hote hai. Jo ki Good work karte hai. Like- kisi website, App me kisi fault ya kami ko dhund kar pura karne ka kaam karte hai. Taki us kami ka fayda koi aur na utha paye aur us chij ko koi hack na kar sake. Yeh Rules ko follow karte hai aur Government, Company me security adviser ke rup me kaam karte hai. Esliye Inhe Ethical hackers bhi kahte hai.
hacker-ke-types-hindi-me
 2.  Grey hat Hacker

Grey hat hacker, Yeh ese people hote hai. Jo kisi kami ko pura karne ka kaam bhi karte hai. Aur kabhi-kabhi kabar apne fayde ke liye kisi security issue ka fayda utha kar apna kaam bhi nikal lete hai. Esliye inhe Grey hat hacker kahte hai. Yeh 50-50 hote hai Kyonki Good & bad dono type ke work karte hai.

 3.  Black hat Hacker

Black hat, Yeh hackers bahut dangerous type of people hote hai. Yeh kisi bhi government ya company ke rules ko follow nahi karte hai. Yeh sirf apni marji ka galat kaam karte hai. Vo bhi sirf apne personal profit ke liye. Aap logo ne aksar news me dekha aur suna hoga ki kisi website ko hack kar liya gaya aur uske data ko chura liya, ATM machine hack kar li. Yani ki 99% black hat hacker sirf apne fayde ke liye kaam karte hai. Aur inka Aim dusro ki privacy ko disturb karna aur nuksaan pahuchana hota hai.

Esliye mai aapko suggest karunga ki Ethical hacker bane.

Hacker kaise bane?

Guys Agar aap Hacker banna chah rahe hai to aapko niche batayi in sabhi bato aur chijo ka acha knowledge hona chahiye. Agar aapko in sabhi chijo ka gyan hoga to hacker kaise bane ki kisi bhi steps me koi problem nahi aayegi.

 1.  Computer knowledge
Friends, Aap yeh baat to ache se hi jante hai ki aaj ke time par koi best controlling & work computer system ke bina possible nahi hai. Aur sabhi hacking se related jitne bhi work hote hai. Usme bhi hume Computer chalane ki jarurat to padit hai. Esliye aapko computer chalana jaruri rup se aana chahiye. Agar aap nahi jante hai ki computer kaise chalaye to hamari post jarur padhe.

 2.  Linux sikhe
Jab aap computer chalana sikh lete hai aur hacker banna chahte hai. To iske liye aapko Linux operating system chalana sikhna hoga. Kyonki jitne bhi hacking se related working honge sabhi Linux me hi possible hai. Aur linux me design & develop kiye jate hai. Esliye linux ke basic clear kare aur iski commands ko sikhe. Taki ek achchhe hacker bane. Read👉 Windows kya hai?

 3.  Networking Knowledge
networking-sikhe-aur-hacker-bane
 Dosto hacker banne ke liye aapki networking par bhi achchhi pakad hona chahiye. Yani ki TCP/IP, IPV4, IPV6, Topology ki better understanding hona chahiye. Kyonki isme networking ek bahut important role play karti hai.

 4.   Programming language

programming-language-sikhe
Agar aapko programming laguage ka gyan nahi hai. So sorrry friends aap hacker nahi ban sakte hai. Esliye aaj hi programming language sikhna shuru kare. Aur programming lagnauge ke short code aur unke words ka use karna sikhe. Programming lanuage me bahut sari language aati hai. Lekin ek hacker banne ke liye aapko HTML, Perl, rubbi, Python, C, C++, SQL, MySQL, Linux programming etc.
Yeh bhi padhe👇
DBMS kya hai?
Normal Form kya hota hai?

 5.  Database [SQL/MYSQL]
hacker-banne-ke-pahle-database-sikhe
Agar aap online kisi website ka data hack karne se related koi work karna chahte hai. To aapko Database creation se jude basic clear hona chahiye. Iske liye aapko Data Base Managment System (DBMS) ko samjhna hoga. Aur iske liye aapko detail me SQL, MYSQL, Oracle laguange ko sikhna hoga. Ek achchhe hacker bane ke pahle Database samjhna aana chahiye.
Read👉 SQL kya hota hai?

 6.  Cryptography
Online internte ki duniya me kisi bhi data ko private banaye rakhen ke liye. Ek method ka use kiya jata hai jise cryptography kahte hai. Is technique me data ka secure rakhne ke liye Encryption and Decryption ka use kiya jata hai. Esliye hacker banne se pahle #Cryptography jarur sikh lijiye.  
Read 👉Cryptography kya hota hai?

 7.  Cyber Law & Security Rules
hacker-ke-liye-cyber-law-rules
Friends agar aap black hat ya Ethical hacker banna chah rahe hai. To aapko Hacking ke rules, Terms, condition pata hona chahiye. Kyonki kahi esa na ho ki aap Government ke dvara nirdharit limitation se bahar hokar kaam kare. Agar aap esa karte hai to ise jurm mana jata hai. Esliye hacking ke rules bhi pata hona chahiye.

 8.  Creative Thinking
Guys yeh skill kisi bhi hacker me hona bahut hi jaruri hai. Agar aap creative thinking nahi rakhte hai. To aap hacker nahi ban payenge. Kyonki aapko hacker hone ke naate bahut naye aur alag-alag tariko se sochna padta hai.

So guys yeh kuch points hai jinhe follow karke aap hacker ban sakte hai. I hope ab aap logo ko samjh me aa gaya hoga ki kaise hacker bane aur hacker banne ke liye kya jaruri hai. Agar aapko hacking se related koi question hai to hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare