Kotak Debit/ATM Card Pin generate kaise kare? [Online Method]

Hey friends, Kya aap Kotak Mahindra Bank user hai. To aapke paas Kotak Bank ATM or Debit card, credit card to jarur hoga. Aur agar Aap apne Kotat debit card ke liye pin generate karna chah rahe hai. To aaj ki is post me hum aap logo ko Kotak Debit card pin generate aur Kotak Credit card pin generate kaise karte hai sikhane vale hai.

Kotak Bank ki jankari

Kotak Mahindra bank, Indian Private sector ki bank hai. Jiska headquarter Mumbai, Maharashtra me hai. February 2003 me State bank ne apne banking business ko badhane ke liye Kotak Mahindra Finance Private limited ko license issue kiya joki Public sector me payment dena ka kaam karegi. Jisse banking bussiness bhi badhega. Aur aaj yah bank achchhi position par pahuch chuki hai.
kotak-debit-atm-card-pin-generate-kaise-kare
Agar aapke pas bhi Kotak bank ka ATM card or Credit card hai to humne is post me Credi, ATM card pin generation ki process batayi hai.

Kotak Bank ATM/Debit Card Pin Generate kaise kare?

Pin Generation process start karne ke pahle mai aapko bata du ki jis ATM card ke liye pin banane vale hai. Vo ATM card active hona chahiye. Aur agar ATM card block hai to aap uske liye pin generation ki method apply nahi kar sakte hai.
 
STEP :-1  Kotak Bank ATM pin generate karne ke liye sabse pahle hamari niche di gayi link par click kare. Jisse aap Kotak Bank ki website par pahuch jayenge.
| Go To |

STEP :-2  Ab aapko Select Card type ke option show hoga. Jisme aapko Debit Card/best compliments card ko click kar select karna hai.
kotak-atm-pin-generate-ke-liye-type-select-kare
STEP :-3  Select karte hi aapke samne 3 aur option khul jayenge. Jisme aapko Card ka type select karna hai. Ki aapka konsa card hai :- Visa/Rupay, Master card, Maestro.
select-card-type-for-pin-generation

Card ka type aapke ATM card par printed hoga. Esliye ATM card check kare.
STEP :-4  Kisi bhi type ko select karne ke baad Please Enter the following Details ka box open ho jayega. Jisme aapko Details dalna hai. Ab ise kaise fill karna hai maine niche bataya hai.

Yeh bhi padhe 👇
UCO Bank ATM Pin generate kare?
ATM se paise kaise nikale
DCA ka Full form jane
Android Mobile hack karna sikhe

ATM card se related jitni bhi details yaha par fill ki jayegi. Yah sab details aapko ATM card par printed mil jayegi.

 (i)  Enter Card Number:- Is box me sabse pahle apne 16 Digit's ATM card number dale. Jo ki ATM ke front me printed hai.

 (ii)  Select Expiry Date:- Yaha par ATM card ki Expirty date select karna hai. First box me Month aur second box me Expiry Year select karna hai.
kotak-atm-pin-generate-ke-liye-details-dale
 (iii)  CVV/CVC:- IS number ke liye ATM card ko piche ki aur ghumaye vaha par aapko 3 Digits CVV/CVC number mil jayega.
 (iv+v)  Enter Pin:- Enter new pin me aapko Kotak bank debit card ka pin generate ke liye New pin enter karna hoga. Aur Re-Enter new Pin vale box me same Pin enter karna hoga.

Remember:- Enter new Pin aur Re-Enter new pin vale dono box me same pin dale. Nahi to Pin verification fail ho jayega.

STEP :-5  Puri details fill karne ke baad me aapko Confirm button par click kar dena.

Confirm par click karne ke hi Kotak bank, Online records me Card ki entry ko search karega. Aur Kotak debit card pin generate kar dega. To is tarike se aap apne ATM card ke liye Pin generate kar sakte hai. Agar aapko Kotak debit card pin generation me koi problem hai. To hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare