Mi Account Permanent Delete/Remove karna hai kaise kare?

Hey guys kya aap Mi Phone use karte hai. Agar Yes! to aap logo mobile me Mi account jarur banaya hoga. Kyonki Mi cloud service, Mi phone finder, Mi Games, themes ke liye account hona jaruri hai. Aur ab agar aap apne mobile ko bechna chah rahe hai to Mi account remove kanra chahiye hai. Ya future me is Account ko use nahi karna chahte hai. To Mobile se Mi account delete kar dena chahiye.

Phone bechne ke baad Mi account remove karna esliye jaruri hai. Kyonki baad me agar phone se koi Wrong activity hoti hai. To activity me aapki Mi Account Id show hogi. Esliye phone sell karne ke pahle Mi account remove/delete kar dijiye.

Mobile se Mi Account Remove kaise kare?

Agar ab aapko Mi account ki koi jarurat nahi hai aur chahte hai ki mere mobile se linked Mi account delete ho jaye. To iske liye aapko hamare dvara niche batayi steps ko follow karna padega.

1. Sabse pahle mobile ki Settings me jaye.
2. Setting me jane par Account section me Mi Account ke name se setting dikhai degi is par click kare.
mi-account-setting-me-jaye
3. Aap dekh sakte hai ki jis name se Mi account hoga show ho raha hoga. Ab aapko SignOut ka button show hoga is par click kar dijiye.
mi-account-signout-kare
4. Ab Mi cloud par upload Sync ke bare me pucha jayega. Agar aap Accounts ke contact, message, photo etc ko phone me rakhna chahte hai. To Keep select kare.
mi-account-remove-kaise-kare
Aur agar yah sab nahi rakhna chahte hai to Remove select kare. Iske baad confirmation ke tour par kuch chije aur bhi puchi ja sakti hai. Esliye confirm and Mi account remove kar dijiye.
Guys agar aap dusra old Mi phone bech kar new Mi phone le rahe hai. To is Mi account ko delete mat kariye. Aap sirf Mi account Sign out kar dijiye.

Xiaomi Mi Account Permanently Delete kaise kare?

Friends upar to maine bataya ki kis tarike se aap mobile se Mi account ko remove kar sakte hai. Lekin ab hum Mi account delete karna sikhane vale hai. Vo bhi permanently delete karna. To ise janne ke liye niche batayi setps ko follow kare.
STEP :-1  Sabse pahle niche diye gaye delete button par click kare.


STEP :-2  Ab aap account delete page par redirect ho jayenge. Yaha par aapko Mi account Id and Password se login karna hai.
mi-account-login-kare
STEP :-3  Login hone ke baad delete page par ek confirmation agreement aayega Yes ✔ ke aage mark par click kare. Aur Delete Mi account ko click kar dijiye.
agreement-yes-kare
STEP :-4  Ab Mi account me registered Mobile number or Email par ek verification code send kiya jayega esliye Send button ko click kare.

mi-account-delete-email-verification-confirm-kare
STEP :-5  Mi account me registered mobile/email par verification code aayega. Use yaha par Submit karna hoga. Agar mobile par OTP nahi aa raha hai to hamari post padhe.

Yeh bhi padhe๐Ÿ‘‡
Mi Pay Delete kaise kare?
PayTM KYC kaise kare?
FB color code kaise use kare?
Android mobile hack kaise kare?
STEP :-6  Verification hone ke baad finally aapko Delete Account ko select kar lena hai.
mi-account-permanent-delete-kaise-kare
Ab aapa Xiaomi mi account delete ho jayega. Aur agar kahi par bhi account login hoga to logout ho jayega. Aur phone me jitna bhi Sync data hoga vah bhi delete ho jayega.

To dosot is tarike se aap badi hi aasai se kisi bhi mi mobile se mi account ko permanently delete kar sakte hai. Agar aapko account delete karne ya  Mi account remove karne me koi problem hai. To hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare