Mi Pay Uninstall/Delete kaise kare? {Uninstall Mi Pay's Updates}

Hey guys kya aap Xiaomi ke Smartphones use karte hai. To kuch dino pahle aapke mobile me Mi Pay ke name se ek App automatically install ho gaya hoga. Aur agr aap Mi Pay App delete ya Mi Pay uninstall karna chahte hai. To humne is post me iski puri jankari di hai. Ki kis tarike se aap apne android mobile se Mi Pay delete kare? Lekin agar aap ise uninstall karna chah rahe hai to pahle iske bare me jan lijiye.

Mi Pay kya hai?

Mi Pay, Contactless NFC-based mobile payment system hai. Jo ki account me payment credit, debit, transactions ko support karta hai. Mi Pay ko Dec 2018 me ICICI bank ki help India me chalu kiya gaya hai.

mi-pay-delete-kare-or-uninstall-kaise-kare
Yeh Google pay aur Bhim App ki tarah hi UPI par kaam karta hai. Mi Pay ki hep se MObile recharge, Water, Electricity Bill, Gas, DTH, Landline, Broadband ke bills pay kar sakte hai. Saath hi aap account me payment transfer, Request kar sakte hai aur Scan karke bhi bill Pay kar sakte hai.
Xiaomi ke new updates me Mi Pay Application ko install kar diya gaya hai. Jo log already Google pay, Bhim aur PayTm jese app use kar rahe hai. Unhe yeh app pasand nahi aa raha hai. Jab pasand nahi aa raha hai to user apne mobile me rakh kar Storage ko waste nahi karna chahta hai. Esliye user Mi Pay ko Delete karna chahta hai. To chaliye dosto jante hai ki Mi Pay uninstall kaise kare?

Mi Pay Delete kaise kare or How to Uninstall Mi Pay Upadtes?

Jesa ki maine abhi upar bataya ki agar Aap already apne mobile me Google Pay, PayTm, Bhim jese UPI based payment app use kar rahe hai. To aapko Mi Pay pasand nahi aayega. Kyonki isme dusre Apps ki tarah itne features nahi hai. So Mi Pay ko delete karke or Mi Pay updates Uninstall karke apni Storage ko bachaye.

STEP :-1 Mi Pay App Delete karne ke liye sabse pahle Mobile ki Settings me jaye.
STEP :-2  Ab App Setting ki tab me Installed Apps par click kare.
installed-apps-me-jaye
Yeh bhi padhe 👇
Facebook ka Color change kaise kare?
FB me color words kaise likhe
Play Store kaise download kare?
Message nahi jaye to kya kare?

STEP :-3 Ab aapke samne Xiaomi mobile me installed sabhi Apps show honge. Aap yaha se Apps ko manage kar sakte hai. Esliye hum Mi Pay ko list me search karenge aur App mil jane ke baad us par click karenge.
 mi-pay-app-delete-select-kare
STEP :-4 Jab aap Mi Pay App par click karenge to Uninstall Updates ka Option show hoga. Tab is par click kare aur Mi Pay updates Uninstall kar dijiye.
mi-pay-delete-confirm-kare
Jese hi aap is par click karenge ek confirmation notice aayega tab isme bhi OK kare.

So guys is tarike se aapke mobile se updates uninstall ho jayegi aur Mi Pay delete ho jayega. Aur aapki Storage bhi bach jayegi. Dosto aapki hamari yah post useful lagi hai to is post ko share jarur kare. Aur Website ko Subscribe bhi jarur kare.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare