Play Store ki Setting kaise kare? [Setup Your Google App Store]

Hey guys kya aap Play store ki setting karna chahte hai. Taki aap Auto Apps update, Notification, Privacy ko control & manage kar sake. To aap ek dam correct post padh rahe hai. Is post me mai Bishal Bhati aap logo ko play ki kuch esi internal settings ke bare me batane vala hu. Jise change karke aap phone ko apne anusar setup kar sakte hai.  Lekin agar aap nahi jante hai ki Play Store kya hai to iska short description padhe.
play-store-ki-setting-kaise-kare

Play Store kya hai?

Play Store ek esa App store hai. Jise Google LLC ne develop kiya hai. Jaha se hum apne kisi bhi Android Mobile ke liye New apps ko download aur Play store se apps update kar sakte hai. Play Store par hume Apps, Games etc aasani se mil jate hai. Yaha par Free & Paid dono types ke Android apps available hai.
To chaliye dosto adhik samay na lete huye. Jante hai ki Play store ki Setting kaise karte hai. Agar aap bhi iske bare me janna chahte hai.  To is post ko pura jarur padhe.

Play Store ki Setting Change karna sikhe

Friends jesa ki maine abhi upar bataya ki Play store ek esa store hai. Jaha se hum apne mobile ke liye Apps like:- Whatsapp, Facebook, Games (PubG Download) kar sakte hai. Lekin jab hum in apps ko install kar lete hai. To hume Play store ki settings bhi kar lena chahiye. Taki aapka phone decide kar sake ki aap kin-kin Apps ko auto updates karna chahte hai. Iske alava aur bhi settings hoti hai jiske bare me maine niche points bataye hai.
Friends sabse pahle to Mobile me Play store Open kar lijiye. Aur Left Side me 3 line par click karke Menu open kar lijiye. Phir Yaha par aapko Settings ka option dikhega is par click kar dijiye. Agar aap Play store kaise chalate hai janna chahte hai. To hamari post jarur padhe.

Notification Tab:- 

(i) Updates:- Sabse pahle hum baat karte hai Apps notification ki. Agar aap chahte hai mere phone me installed kisi bhi App ka Update aaye aur mujhe pata chal jaye to. Notification me jaye aur is setting ko On kar dijiye. Taki jese Newly update found ho aapko upar Tray me notification mil jayega. Aur agar aap App update ki notification nahi chahte hai. To ise click kar Turn off kar dijiye.
(ii) Auto-Updates:- Agar aap chahte hai ki Apps agar automatically update hona start ho bhi jaye. To mujhe Tray me notification mil jaye to ise On rakhe otherwise Auto-Update ko off kar dijiye.
Auto-update Apps Yaha se Apps ki update setting ko change kar sakte hai. Agar aap chahte hai ki Apps sirf tab update ho jab mai kisi wifi se connect rahu to Over wifi only select kare. Aur agar Mobile Data ya wifi dono me se kisi se bhi connect rahu to bhi update ho jaye. To Over any network select kare. Aur agar aap manually apps ko update karna chahte hai to Don't update ko select kare.
Ise select karne ke baad se ab koi bhi aap automatically update nahi hoga. Jab aap manually Play store se Apps update karenge sirf tab hi hoga.

Play Store ki Setting karke Parental Control Setup kare?

Agar Aapka phone ghar me koi bachcha(Children) bhi chalata hai. Aur uske Apps downloading ko limited karna chahte hai. To aap Parental control ki help se esa kar sakte hai. Iske liye aapko 4 digit code set karna hoga.

Play Store Setting me Parental code set karne ke liye User Control section me 👉Parental Controls me jaye.
Abhi Parental control Off hai. So hum iske pichhe vale button par click karke ise On karenge. Ab aapko Pin type karna hoga aur OK kare.
Ok karne ke bad same Pin enter karke Pin confirm kare. Ab Apps & Games, Films, Music par click kar Parental Control set kar sakte hai. Jiske baad se agar children koi selected rating se kam ka App download karta hai. App download nahi ho payega, Jab tak ki Parental code enter nahi kiya jaye.

So guys yeh thi Play store ki setting jiska use karke aap Play store ko setup kar sakte hai. Aur auto updates ko turn on/off, Notification ko manage kar sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare