Software Update Kaise Kare? Mobile/PC/Laptop Update karne ki janakri

Hey guys kya aapka device pahle se jyada slow chal raha hai. Aur aap chah rahe hai kyo na ise update kar liya jaye taki device me aane vali problem ka solution ho jayega. So friends aaj mai aap logo ko apne kisi bhi Device ka software update karna sikhane vala hu. Agar aap ek Android mobile user hai to mai mobile update, Agar aap PC/laptop user hai to mai Laptop software update karna details ke batane vala hu.
software-update-kaise-kare
Is post me mai aapko sabse pahle mobile, PC update se judi sari baate bataunga. Like:- Update karne se kya fayde hote hai, Update kyo karna chahiye, Update kaise check karte hai etc. So guys maine ise 2 part me likha hai. First maine PC/laptop user ke liye aur Second android mobile user ke liye. Agar aap Mobile user hai to niche ki side drag kare aur Second part ko padhe.

Software Update kyo karna chahiye?

Friends hum jo koi bhi device chala rahe hai vo ek software ki madad se chalata hai. Aur agar us software me koi problem aati hai. To software provide karne vali vo company hi use thik kar sakti hai. Aur yeh rearing software update karne se thik ho jati hai. Agar aap us company ka latest software download aur install kar lete hai. To aapke device (Mobile/Pc) me aane vali problems ka solution us downloaded package se thik ho jata hai.
Update package me sabhi problems ka solution mil jata hai. Aur jab hum us update ko install kar lete hai. To phir hamare mobile/Laptop me vah problem nahi aati hai. Ex.- Maan lijiye ki aapke mobile me sound quality se related koi problem aati hai. Aur jese hi company ko is problem ke bare me pata chalta hai. To jab kabhi bhi agar company mobile software update degi to usme sound problem ko bhi troubleshoot kar diya jayega. Jiske baad yah problem thi ho jayegi.  Esliye aapko apne mobile/computer ko update jarur kar lena chahiye.

Software Update karne se kya fayde hote hai?

 1.  Bahut se android mobile user ko yah problem face karna padti hai. Ki unka mobile hang bahut hota hai. To software update me iska solution ho jata hai. Esliye aaj hi apne android mobile ke software ko update jarur karna chahiye.

 2.  Update kar lene ke baad aapke mobile/computer me new features add ho jate hai. Like- Agar camera me kisi new feature beauty mode etc ko add kar diya jata hai, Kisi new app ko bhi install kar liya jata hai. Saath hi system apps bhi update ho jata hai. Jo ki aap Play store se kisi app ko update karke nahi kar sakte hai.

Yeh bhi padhe👇
Computer ka Password kaise tode?
Mobile hack kaise kare?
Typing Speed kaise badhaye?
Blacklist se number kaise hataye?

 3.  Phone me aane vali problems ko Bugs kaha jata hai. Agar aapke phone kharidne ke baad koi bug aata hai. To us update me iska solution pack de diya jata hai. Jisse phone normal ho jata hai.

Mobile Phone Software Update karne ke pahle kya kare?

 1.  Battery:- Friends agar aap update download karne vale hai to iske liye aapke mobile ki battery kam se kam 50% charge jarur hona chahiye. Kyonki updates download ki speed network connection par depend karti hai. Agar net speed achchhi hai to kuch hi minutes me ho jayega. Otherwise time bhi lag sakta hai.

 2.  Backup:- Aapke phone ka data bhaut important hota hai. Kyonki usme personal photo, video, files hoti hai. Esliye apne phone ka Backup jarur le lijiye Taki backup ke doran kahi vo files delete na ho jaye. Data
 3.  Wifi or Data:- Agar aap apne mobile Data se software ko update karne vale hai. To is baat ki confirmation jarur kar lijiye ki aapke pas us update ko download karne ke liye sufficient internet data hai bhi ya nahi. Aur agar data nahi hai to apne mobile ko wifi se connect karke update ki process start kare.

Software update kaise kare? Step by Step puri jankari

Mobile Method 📱

STEP :-1  Sabes pahle Mobile ki Settings me jaye. Settings me jane par sabse start/last me About Phone ke name se option dikhai dega. Ise click kar open kar lijiye.
android-mobile-software-update-kaise-kare
STEP :-2  Ab System updates par click kare ise open kare.
phone-mobile-software-update-kaise-kare
STEP :-3  Yaha par aap dekh sakte hai ki Current installed update show hogi. Jesa ki aap niche image me dekh sakte hai. Chunki abhi hamare phone ke liye latest software updates chahte hai. To hume Check for Updates button par click karna hai.
Jisse phone ke liye latest update ko search kiya jayega. Agar updates available hogi to download ka option show hoga. Aur agar phoen Up to date hoga to Already update notice show hoga. So friends is tarike se aap Mobile ka software update kar sakte hai.

PC/Laptop Method 💻
Agar aap computer user hai aur computer ka software update karna chahte hai. To mai aapko bata du ki Software ko uski official website se update kar sakte hai. Niche maine Mozilla firefox update kaise karte bataya hai. To aapko hamari niche batayi steps ko follow karna chahiye taki aapko latest update mil sake.

STEP :-1  Sabse pahle Mozilla Firefox ko open kar lijiye.

STEP :-2  Open karne par aap dekh sakte hai ki upar menu me Help ke name se option dikhai dega. Agar aapko yah option dikhai nahi de to keyboard se Alt button press kare. Jisse yah option mil jayega.
firefox-browser-update-kaise-kare
STEP :-3  Help me jane par aapko About Firefox likha dikhai dega us par click kare. Agar aapka computer/laptop internet se connected hai to latest software updates ko search karne lag jayega. Aur download kar dega. Aur agar Up to Date hai to "Firefox is up to date" show karega.
firefox-software-update-kaise-kare

Summary

So guys is tarike se aap apne computer/laptop, Mobile ka software update kar sakte hai. Agar aapko kisi bhi step ko follow karne me koi problem hai to mujhe comment kar bataye. Taki mai aapki us problem ko solve karne me help kar saku. Aur agar aap Windows update karna chahte hai. Iske liye aap hamari niche di gayi post link ko click kar padh sakte hai. Windows update kaise kare?

Agar aapko hamari yah post pasand aayi hai to hume comment kar jarur bataye aur isi tarah ki latest post updates pane ke liye aaj hi hamari Website ko Email Subscribe kare.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare