SSOID kya hai? SSO ID kaise banaye in hindi.

Hey friends aaj hum aap logo ko Rajsthan SSO ke bare me batane vale hai. Ise Rajsthan Single Sign on ke name se bhi jante hai. SSO ko Rajasthan government ne banaya hai. Jaha par aapko ek hi website par bahut sari online services mil jati hai. Agar aap ise use karna chahte hai to sabse pahle aapko SSOID banana padegi. Chunki yah SSO Government website hai esliye yaha par every service verified and Secure hai.
sso-id-kya-hai-id-banaye

SSO kya hai?

SSO, Rajasthan Government ka Online Web Portal hai. Is portal se Rajsthan ke citizens bahut sare kaam ghar bethe hi kar sakte hai. Iske liye aapko kisi vibhag ke chakkar katne ki jarurat bhi nahi padti hai. SSO par maximum services online mil jati hai. Esliye ise Rajsthan All in One web portal kaha jata hai. 
SSO se aap ghar bethe apne Aadhar card update, Online Voter ID apply, Bhamashah Card banane, Vacancies like:- Rajsthan Police, Rpsc ka exam form bharne, Government email id banane ke liye kar sakte hai. To hua na yeh All in One Portal jise aap ghar bethe use kar sakte hai. To chaliye dosto ab jante hai SSO par ID banana sikhte hai?

SSO ID kaise banate hai?

Friends jesa ki abhi upar maine bataya ki yeh SSO, Rajsthan Government ka Portal hai. Jaha par aap ko dher sari online facilities milti hai. Aap ise ghar bethe use kar sakte hai. Lekin  SSO use karne ke pahle aapko Rajsthan SSOID banana padti hai. To chaliye dosto jante hai ki SSO account kaise banate hai?
SSO Id banane ke liye 4 Method hoti hai.1. Aadhar card se aur 2. Bhamash Card se Id banan, 3. Facebook/Google se. Yaha par hum Aadhar card method use kar rahe hai. Lekin ise use karne ke liye aapke aadhar card me mobile number registered hona chahiye. Kyonki us number par ek OTP aayega.
STEP :-1  ID banane ke liye sabse pahle hamari niche di gayi link par click kare. Jisse aap SSO ke Registration page par pahuch jayenge.
| Go To |

STEP :-2  Ab aap dekh sakte hai ki yaha par aapko Aadhar ka option dikhai dega. Is par click kare.
aadhar-dvara-sso-id-banaye
STEP :-3  Aadhar par click karte hi aapse Aadhar number pucha jayega. Tab niche diye box me Aadhar number dale aur Next button ko click kare.
aadhar-number-dale
STEP :-4  Aadhar verification karne ke liye aapko 2 option:- Biometric aur OTP show honge. Tab OTP ko click kare aur ओटीपी भेजे (Send OTP) button par click kar dijiye.
aadhar-otp-send-kare
STEP :-5  Ab Aadhar card me Registered mobile number par ek OTP aayega. Jise aapko yaha par SSOID banane ke liye Submit karna hoga.
ssoid-otp-verify-kare
OTP dale aur upar dikh rahe Sahmati Patra ko mark karke ओटीपी मान्य करे button par click kare.
OTP Verify karne ke baad hi aapka Rajsthan SSOID ban jayega. Ab aap upar batayi kisi bhi Citizion services ka upyog kar sakte hai. Iske liye aapko Emitra ki bhi jarurat nahi padegi. Ab aap niche bataye insturctions ko padh kar SSO Id ko use kar sakte hai.

Last Word:-

Ab SSO Account ko use karne ke liye sabse pahle SSOID ke login page par jaye. Aur account me ID and Password se Login karke kisi bhi service ko online use kar sakte hai. Duser State government like:- MpOnline ki tarah yeh bhi ek Rajsthan online portal hai. Jiska upyog aap ghar bethe Aadhar card update karne, Vacanices me apply karne, Voter Id apply karne ke liye kar sakte hai.

I hope friends aap logo ko SSOID banana aa gaya hoga. Agar abhi SSO account register karne me problem hai. To hume comment kar jarur bataye.

Show comments
Hide comments

1 comment:

Apna Comment Kare