Facebook par ID kaise banaye? 5 Easy Steps in hindi.

Hello Friends, Aap yah to jante hi honge ki Social media site me Facebook pahle number par hai. Kyonki kisi ka Aadhar card chahe ho ya nahi ho lekin unka Facebook id jarur hai. Esliye fb ke billions user hai. Har koi Facebook par id banana chahta hai. Taki vo bhi online apni friendship badha sake. Aur new peoples se connected ho sake.

Facebook ko Year 2004 me Mark Zuckerberg ne banaya tha. Aur iski madad se mark duniya ke 10 sabse reach peoples me se ek hai. Aaj fb ko duniya ke sabhi desho me bahut sare log use karte hai. Aur facebook hamari life ka ek jaruri hissa ban chuka hai. Esliye is post ki madad se aap janenge ki Step by Step Facebook id kaise banaye. Esliye aap is article ko pura jarur padhe. Taki aap bhi apna facebook profile/account bana sake.
facebook-par-id-kaise-banaye
Post start karne ke pahle mai aapka ek confusion dur kar dena chahta hu. Ki bahut se log yah samjhte hai ki hum Facebook par VIP id banana sikh sakte hai. Par esa kuch bhi nahi hai aur VIP Facebook account Kya hota hai ye mene niche bata diya hai.

Fb VIP ID kya hota hai?

Vese to VIP Facebook Account jesi koi chij nahi hai. Bahut sare log apane dosto ko chokane ke liye ek Simple Si trick ka use karte hai. Jisse unka Fb Account VIP lagta hai, Hume unki profile me kuch is tarah se likha dikhai deta hai :-
Facebook V.I.P account█║▌│█│║▌║││█║▌│║█║▌© official profile 2011-2019
Tab aap logo ko esa lagta hai ki ye ek VIP Facebook ID hai. Par esa kuch nhi hota hai, Lekin aap bhi Facebook id banana sikhne ke baad upar diye is text ko Copy-paste karke. Apni Fb Profile me jod sakte hai. Jisse ki aapka account bhi Official lagne lagega.

Facebook ID banana kaise sikhe?

Facebook par Account banana sikhne ke pahle aapko ek jarur jan lena chahiye. Ki aapko kin-kin chijo ki jarurat hai.
Internet connected Computer ya Mobile.
✔ Phone number jo active ho. Ya apni Gmail id.

Agar batayi chije aapke paas hai to. Aap niche batayi huyi steps ko follow karna start kar sakte hai.

Facebook Id banane ke liye sabse pahle Facebook ki website par jana hai. Jiska link niche diya hai is link par click karke Facebook home page par chale jaye.

www.facebook.com/signup

STEPS:-

 1.  Ab First name me apna name, Sur name me apna last name dale. Aur phir Next kar dijiye.
name-dale
 2.  Ab apni Date-Month-Year ke format me Birth date select kare. Aur phir Next kare.
date-of-birht-select-kare
 3.  Yaha par ab aapko Phone number dalne ke liye kaha jayega. Agar number nahi hai Ya email id se facebook id banana chahte hai. To Sign up using email address par click kar dijiye. Aur phir Next kar dijiye.
phone-number-dale

 4.  Facebook id banane ke liye ab aapko Gender (लिंग) select karna hoga. Male (पुरूष) ya Female (महिला) select kare. Aur kuch other hai to Custom select kare.
 5.  Ab apne fb id ke liye Password dale. Phir Sign Up button ko click kar dijiye.
facebook-id-ka-password-dale

Facebook ka password esa dale jiske bare me har koi soch na sake. Jisse fb account hack nahi ho payega.
 6.  Now aapke mobile number par Ek 5 Digit Code aayega. Jise yaha par confirm kare. Agar aap dale gaye number se Whatsapp use karte hai to aapke Whatsapp Number par OTP aayega. Use yaha par dale aur Confirm kar dijiye.
facebook-ka-otp-whatsapps-se-cofirm-kare
OTP confirm karne ke baad aapki facebook par ID ban jayegi. I hope guys aap samjh gaye honge ki mobile se facebook par id kaise banaye. Ab aap ise use kar sakte hai. Agar aap nahi jante hai ki ise kaise chalate hai. To hamari yah post padhe.

Fb kaise chalaye?
Fb ka Photo download kaise kare?
Facebook par Comment kaise kare?

Computer me Facebook Id kaise banaye?

Dosto upar maine bataya ki kis tarike se aap apne mobile me Facebook id bana sakte hai. Lekin agar aap computer user hai aur apne pc me fb id banana chah rahe hai. To aapko yah method follow karna hogi.

STEP :-1  Niche diye gaye link se facebook ke Signup page par chale jaiye.


STEP :-2  Ab aapke samne ek form Open hoga. Jisme aapko apni details bharna hai. First name me Name, Surname bhare. Mobile number Ya email address dono me se kuch bhi ek dal sakte hai. New Password vale box me Facebook id ke liye achchha sa Password dale jo kam se kam 8 shabdo ka ho.
computer-me-facebook-id-kaise-banaye
STEP :-3  Apna Birthday select kare aur apna Gender select kare. Facebook ki security bahot high hai isliye apni galat information na dale. Kyoki Facebook aapse kabhi bhi aapki profile ko verify karne ke liye bol sakti hai. Jab aap pura form bhar de to SignUp par click kar de.
STEP :-4  Ab aapke email ya phone jo bhi aapne dale hai. Us par ek confirmation code Facebook dwara bheja jayenga. Us code ko next page par dale aapka Facebook par account create ho jayega. Facebook chalane ke liye aap Play store se iska app download karke ise aasani se use kar sakte hai.

I hope guys ab aap samjh gaye honge ki kis tarike se hum mobile aur pc ki help se Facebook id banana sikh sakte hai. Aur internet par apni khud ki ek friends list ready kar sakte hai. Aur apne memorable photos, videos ko apne friends ke saath share kar sakte hai. 

Dosto agar post achcha laga to aap ise dusre logo ke sath share kare. Agar aapka facebook se sambandhit koi bhi sawaal hai to comment karke aap hamse puch sakte hai ham aapki madad jarur karenge.

Show comments
Hide comments

2 comments:

  1. Thank you so much bro :)
    https://101tricks.com

    ReplyDelete

Apna Comment Kare