CAPTCHA Code kaise banaye or Solve kare?

Friends jab kabhi bhi aap Internet par online kuch karte hai. To aapko kuch tede-mede words dikhai dete hai. Jisme aapko Type text below dikhaya jata hai. Aur as it is words ko likhne ke liye kaha jata hai. Aur agar hum un words ko galat daal dete hai. To verification fail ho jata hai. To aakhir is CAPTCHA code ko kyo bananya gaya hai. Aur CAPTCHA Code kya kam karte hai. Agar aapko iski koi bhi jankari nahi hai. To dosto is post me hum aapko Captcha kya hai, Captcha banana, Captcha kaise solve kare se related puri jankari hindi me dene vale hai.
captcha-code-kaise-banaye
Jab kabhi bhi aap kisi website par comment karne jate hai. Ya koi bhi Detail submit karne jata hai. To aapko ek tarah ka code show hota hoga. Jisme aapko ek test dena hota hai. Agar aap is test me paas nahi hote hai to aapko Re Captcha dena hota hai. Aur agar aap iski test me paas nahi ho pate hai. To aapki process vahi par ruk jayegi.
CAPTCHA code aksar online blog comment, Online payment, File download, Kisi bhi website par Account sign up, Information Confirmation, Account's Password Recovery etc karne par aata hai.

Captcha Code kya hota hai?

Captcha ko Year 2000 me banaya gaya tha. Aur sabse pahle Yahoo website par iska use kiya gaya tha. Kyonki Hackers Yahoo user ki profile par Spam commenting kar rahe the. Jisse user ki wrong activity show ho rahi thi. Aur unka account temporary ban ho raha tha. Aur yah sabhi commenting hacking robots ke dvara ho rahi thi. Aur Robots dvara Captcha banana possible nahi tha. Esliye Yahoo ne ek esa program design kiya jise Robots Read & Write nahi kar paye. Tab jakar CATCHA CODE ko banaya gaya tha. CAPTCHA ka Full form "Completely Automated Turing Test to Tell Computers And Human Apart" hota hai.

Captcha Kya hai?

Captcha ek esa online program hai. Jise robots nahi padh sakte hai aur naa hi solve kar sakte hai. Ise sirf Human (मनुष्य) hi padhkar paas kar sakte hai. Captcha user ki Test Grade batata hai. Kyonki har bar Captcha ke codes changes hote rahte hai. Aur agar robot every time fail hote hai. To process ko vahi par abort kar diya jata hai.
Ab aap soch rahe honge ki Robots captcha ko kyo nahi padh pate hai. To mai aapko bata dena chahta hu ki Robots ki fix programming hoti hai. Aur Captcha every time change hota rahta hai. Esliye robots nahi padh pate hai. Esliye Yahoo ko Captcha code banana pada. Aur aaj yah bahut useful ban chuka hai.

Yeh bhi padhe:-
Incoming call band kare?
Android Mobile hack kaise kare?
Tally me Entry kaise kare?

Captcha Code kaise Solve kare? How to Writed Captcha Code

Guys captcha code solve karna bahut hi aasan hai. Lekin ise solve karne ke pahle aapko Captcha ke types jan lena chahiye. Kyonki har bar yah jaruri nahi hai ki har bar ek jesa Captcha question hi mile.
 1.  Text Captcha:- Isme aapko kuch words as it is. Niche diye gaye box me type karne ke liye kaha jata hai. Agar koi word capital hai to capital aur small hai to small.
text-captcha-kaise-banaye
 2.  Audio Captha:- Is type ke CAPTCHA Code banane ke pahle ek audio sunai deta hai. Phir us audio ko Text format me type karna hota hai. Jo words captcha me kahe hai unhi words ko type karna hai.

audio-captcha-kaise-banaye
 3.  Image Captcha:- Is type me aapko kuch images show hoti hai. Jinme se aapko ek jesi image ko select karne ke liye kaha jata hai. Man lijiye ki agar aapko store front ki images select karne ke liye kaha hai. To sirf store fornt ki images par click karna hai.
image-captcha-banana-hai
 4.  Math Captcha:- Math captcha me aapko Math ke question puche jate hai. Jise solve karke answer type karna hota hai. Like 6+4= to aapko answer me dono digits ka total likhna hota hai. Yani ki answer 10 type kare.
math-captcha-banana-hai

 5.  3D Captcha:- Yah bhi Image captcha ki tarah hi hota hai. Lekin usse thoda difficulta hota hai. Kyonki isme words aapas me ek dusre se bahut jyada jute hote hai. Aur aapko sahi word type karna hota hai.
3d-image-captcha-banana-hai
Guys ab agar Internet par aapko kahi bhi CAPTCHA solve karne ke liye kaha jaye. To dare nahi balki use achchhe se solve kare. I hope guys ab aapko samjh me aa gaya hoga ki Captcha code kya hote hai aur sahi Captcha code kaise banate hai.

Agar abhi bhi Captcha se related koi problem hai. To comment kar jarur bataye hum aapki help jarur karenge. Aur hamari website ko Subscribe karna bhi nahi bhule.

Tags:- Captcha code kaise banaye, captcha code banana, how to write captcha code, captcha solve kaise kare,

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare