Computer chalu/on nahi ho raha hai to kya kare? [Top 9 Reason]

Hey guys, Kya aapka Computer chalu nahi ho raha hai. Aap bar-bar power button press kar rahe hai. Lekin phir bhi System on nahi ho raha hai. Kuch sound bhi sunai de raha hai aur naa hi Windows loading ka icon show ho raha hai. To ab esi situation me kya karna chahiye. Agar aapko koi work nahi hai us time yah problem hoti hai. Tab to koi baat nahi lekin jab aapko koi important kaam karna hai. Aur computer start nahi ho to yah problematic ho sakta hai.
computer-chalu-nahi-ho-raha-hai-kya-kare
Guys computer bahut hi small components and devices se milkar bana hota hai. Aur kis samay CPU me kya problem ho jaye. Esliye esi situation me kya kiya jaye jisse aapka computer chalu ho jaye. To friends is post me mai Bishal Bhati aapko is problem ka complete solution dene vala hu.

Computer Chalu nahi ho raha hai? [Karan aur Upay]

Part-1
 1.  No Display

Guys computer chalu nahi ho raha hai. To iske liye hum bahut sari chije check karenge. Lekin sabse pahle Display ko check karna chahiye. Kyonki kahi esa na ho ki hum sari chije check kare aur last me display problem nikale. Esliye check kare ki display me proper way me power in ho raha hai. Ya nahi aur kahi display ki koi cable (Power cable, VGA cable) unplugged to nahi hai. Agar pin disconnect nahi to use connet kare.

 2.  Check PC Power Cable

Monitor ki cables check karne ke baad bari aati hai. System or CPU se connect hone vali cable proper tarike se connected hai bhi ya nahi. Ho sakta hai ki Voltage problem ke karan shot circuit hua ho. Jisse cable jal gayi hai. Esliye aap is cable ki working ko bhi check kar lijiye.
power-nahi-aa-raha-hai
Credit:- 123rf

 3.  Beep Sound

Aap system se Power button press kar rahe hai. Phir bhi computer chalu nahi ho raha hai. Balki aapko Beep sound sunai de raha hai. To iska matlab yah hai ki RAM proper tarike se RAM Card slot me connected nahi hai. Esliye RAM ko slot se nikale kapde se saaf karke phir se connect kar dijiye. Uske baad computer on karke dekhiye. Aur RAM clean karne ke baad bhi sound sunai deta hai. To iska matlab yah hai ki RAM me problem hai.
 4.  CMOS Problem

Guys CMOS, Yah computer ki battery hoti hai. Jo ki Boot menu ki settings aur computer me Date and Time ko yaad rakhne ka kam karti hai. Aur agar isme koi problem aa jaye to bhi computer on nahi ho pata hai. Tab hume CMOS Setting ko clear/Default par set karna hota hai. CMOS settings clear karne ke liy System cabinet ko open kare aur CMOS battery ko 5 minute ke liye nikal dijiye. Aur phir se connect karke Pc on kijiye.
cmos-battery-nikale
Credit:- Noroton Community
Ya phir aap chahe to F12 press kare Boot Menu me jakar. Boot Setting ko Load Optimal Defaults par Enter karke Save & Exit kar dijiye.

Computer On nahi ho to kya kare?

Part-2
 5.  Check All Cables

Cabinet system ke andar bhi bahut si cables hoti hai. Agar inme se koi ek bhi cable loos (ढीली) hai. To system on nahi ho payega. Aur saath hi HDD + - aur Power + - , Led wires ko bhi check kar lijiye. Agar Power wires vo kisi dusre point par connected hai to computer start hi nahi ho payega.
 6.  SMPS Problem

SMPS iska pura name Switched Mode power supply hota hai. Yah computer me electricity ko supply karta hai. Aur computer ke every part tak power le jata hai. Aur agar SMPS work nahi kar raha hai. To aapke CPU me power supply hi nahi ho payegi. Jisse computer on nahi ho payega. SMPS check karne ke liye Motherboard me light on hai ya nahi. Aur power button press karne par CPU fan run hota hai bhi ya nahi. 
smps-check-kare
Agar Power button press karne ke baad bhi computer chalu nahi ho raha hai. To ho sakta hai ki SMPS me problem hai. Kyonki voltage problem ke karan aksar SMPS jal jata hai. Jisse computer me power supply nahi ho pata hai.

 7.  Unplug USB Device

Aksar dekha jata hai ki jab hum system on karte hai windows loading ka icon bhi show jata hai. Lekin system start nahi hota hai. To isme USB device bhi responsible hai. Kyonki agar USB Device (Computer, Mouse, Pandrive) me koi problem hai. To yah device system ko proper load nahi hote hai. Esliye inhe disconnect karke System on karne ka try kare. Jab on ho jaye to phir se connect kar dijiye.
Connected Pan drive corrupted hai to use repair karna sikhe.

 8.  Check Processor

processor-nahi-chal-raha-hai
 Processor, Ise hum computer ka Mind (दिमाग) kahte hai. Agar yah Motherboard par proper connected nahi hai. To bhi computer start nahi ho payega. Processor work kar raha hai ya nahi. Check karne ke liye Processor par se CPU fan ko hata dijiye. Aur power on kijiye. Agar prcessor normal garm ho raha hai. To koi problem hai. Lekin jyada hi heat mar raha hai. To System Repair karne vale ko check karva lijiye.

 9.  Windows Problem

Windows, Yah hamare computer ka Operating system hota hai. Jis tarah agar hamare Mobile ka software corrupt ho jata hai. Aur phir mobile me Software dalna padta hai. Thik usi tarah se agar Windows me koi problem aati hai. To hume Computer me Windows Reinstall karna padta hai. Aap system ki compability ke according Windows install kare. Maine Windows 7 install karna, Windows 10 install karna hai to ise karne ki steps batayi hai.

I hope frieds, Upar bataye point ko padhkar aapko pata lag gaya hoga ki Computer chalu kyo nahi ho raha hai. Aur uska solution bhi mil gaya hoga. Agar kisi dusri tarah ki problem hai to mujhe comment kar bataye. Ya phir computer technician se Contact kare.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare