Facebook ka Password Reset/Forgot kaise kare?

Hey Guys, Kya aap apne Facebook account ka password bhul chuke hai. Aur ab Fb id ka password reset karna chahte hai. Taki aap phir se apne Fb account ko use kar sake. Jab tak aap new password bana kar Login nahi kar lete hai. Tab tak aap Facebook chala nahi sakte hai aur na hi facebook par comment kar sakte hai. Aur bina login kare Facebook ka Photo bhi Gallery me Save nahi kar sakte hai.
facebook-ka-password-reset-kaise-kare
Esliye aapke Facebook account ka Password reset karna bahut hi jaruri hai. Agar aap nahi jante hai ki Facebook Id ka password reset or forgot kaise kare. To hamari is post ko pura jarur padhe. Yaha par maine images ke saath me detail se bataya hai.

Facebook ka Password Reset kaise kare?

Dosto aaj ke time par maximum users Facebook App ka use karte hai. Aur is app me ek bar login karne ke baad me hume phir se password ki jarurat nahi padti hai. To log  aksar Facebook ka password bhul gaya hu likh kar Google par search karte hai. Aur phir yaha par is problem ka solution jante hai. To chaliye dosto jante hai ki kis tarike se hum Facebook password reset kar sakte hai.

STEP :-1  Sabse pahle to Facebook ke Log In page par jaye. Yaha par aapko Forgot button show hoga is par click kar dijiye. | Go To |
facebook-password-forgot-kare
STEP :-2  Ab ek Search bar open hoga. Aap jis kisi bhi facebook account ka password bhul chuke hai. Ya jis facebook account ka password reset karna chahte hai. Uska Email, Phone likh dijiye. Aur phir Search button par click kar dijiye.
email-se-account-search-kare
Agar aapne Fb account me email registered kiya hua tha. To email se search kare taki search karne me aasani hogi. Aur agar nahi hai to Mobile number se search kare. Ab jis bhi Fb account me mobile number linked hoga. Vah sabhi Fb account show honge. Tab profile pechan kar Account select kar lijiye.

STEP :-3  Ab  agar aapne email dvara search kiya hai. To is page (Reset your password) me Use my Google account ko select kar lijiye. Aur Continue kar dijiye.
gmail-select-and-continue-kare

Agar aapne Text me a code to reset password option yani ki Mobile number OTP se verify select kiya hai. To OTP dalkar fb account verify kare. Phone me OTP nahi aa raha hai to post jarur padhe.

Yeh bhi padhe:-
Fb Account delet kaise kare?
Fb Color code kaise likhe
Facebook account hack kaise kare?

STEP :-4  Continue par click karne ke baad ek Popup windows open hogi. Jisme aapko Fb account me registered Gmail account ko login karna hai. Login karte hai account verify ho jayega.
gmail-login-and-confirm
Phir aapko Fb ki aur se Email verification complete ka notice show hoga.

STEP :-5  Ab ek new page open hoga. Jisme apne Fb account ka new password banaye. Aur Continue kar dijiye.
facebook-password-reset-forgot-kare
Aap jese hi continue karenge aapke Facebook ka password reset ho jayega. Agar abhi kahi par bhi aapka account login hai. Aur login se hatana chahte hai to logout from other device par click kar dijiye. Ab jab kabhi bhi aapko facebook account login karna ho ya chalana ho to. Is new password se login kare.

I hope guys ab aapko samjh me aa gaya hoga ki kis tarike se aap Facebook password bhul jane par bhi fb password forgot kar sakte hai. Agar aapko password reset karne me koi problem hai to mujhe comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare