Google ki Search history Permanent delete kaise kare?

Friends, Agar aap nahi jante hai to mai aapko bata du ki. Google, hamari sabhi activity par najar rakhta hai. Yani ki hum kis vakt mobile me kya kar rahe hai, Kya chala rahe hai,  Kis website ko open kar rahe hai aur us par kitni der tak visit kar rahe hai. Aur agar aap is google search history ko delete karna chahte hai to yah post puri jarur padhe. History and records ke base par hi google hume personalized video, news, ads show karta hai.
Jab aap internet browse karte hai ya kisi website ko open karte hai to. Google is record ko search history ke rup me save karke rakhta hai. Ise google search history kahte hai.  Aur aap kabhi bhi Gmail id se login karke apne dvara use ki gayi google search history ko dekh sakte hai. Lekin agar aap google search history delete karna chahte hai. To aapko hamari is post ko jarur padhna chahiye.
google-search-history-delete-kaise-kare

Google Search history delete kaise kare?

Agar aap chate hai ki aapne jo kuch bhi google par search kiya hai. Vo puri google search history delete ho jaye. Aur future ki search history bhi pause ho jaye. To aapko kuch steps ko follow karna hoga. Jiske baad  search history bhi delete kar payenge aur future me browsing history ko record hone se bhi rok payenge. To chaliye iske bare me jante hai.
STEP :-1  Sabse pahle niche di gayi link se google account activity page par pahuch jaiye.
| Go To |
STEP :-2  Ab Data & Personalization tab me jaye aur My activity button ko click kar dijiye.
data-and-personlaization-kare
Yaha par aap dekh sakte hai ki jo kuch bhi search kiya hai. Yaha dikhai de raha hoga. Ab hum is google search history ko delete karenge.

STEP :-3  History delete karne ke liye Filter by Date & products par click kare.
search-history-filter-kare
STEP :-4  Chunki abhi hum sabhi google search history delete karna chahte hai. All time aur All product select kare.
all-google-history-delet-kare
Select karne ke baad 3 dots par click kare aur Delete result kare. 
google-account-ki-search-history-remove-kaise-kare
STEP :-5  Ab aapse Google search history delete confirm kiya jayega. Tab Delete button par click kare.
google-searh-history-confirm-kare
So friend is tarike se aapke google account ki search history remove ho jayegi. Ab agar aap chahte hai ki in future me search hone vali search record me save nahi ho to iske liye aapko search history ko pause(रोकना) hoga. Jiske baad agar koi bhi search karenge to vo save nahi hogi.

Yeh bhi padhe:- 
Play Store ki id kaise banaye?
Jio phone me Hotspot chalaye?
Top 20 Jio Phone trick in hindi

Google Search history record hone se kaise roke?

STEP :-1  Sabse pahle niche di gayi link par click kare.

|Go To|

STEP :-2  Search history record hone se rokne ke liye Acitivity controls tab me jaye. Aur Manager Your activity controls par click kar.

google-search-history-pause-kaise-kare
STEP :-3  Ab aap jin-jin chijo ke liye google search history ko pause karna chahte hai unhe Turn off kar dijiye.
device-and-app-history-ko-pause-kare
Yaha se aap Web & App activity, Location history, Device history, Youtube search activity etc ko pause kar sakte hai.

To dekha dosto is tarike se aap search history ko record hone se rok sakte hai. Aur google search history ko delete bhi kar sakte hai. Agar aapko in steps ko follow karne me koi problem hai to hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare