Apne Mobile me Software kaise dale ya install kare?

Hey guys kya aapka mobile kharab ho chuka hai aur mobile chalu nahi ho raha hai. To ho sakta hai ki aapke mobile ka software corrupt ho gaya ho yani ki delete ho gaya hai. To ese situation me aapk apne Android mobile me software dalna padta hai. Jab tak aap software nahi dalenge tab tak mobile chalu nahi hoga.
Mobile-me-Software-kaise-dale
Kyonki mobile me software hona utna hi jaruri hai jitna ki sharir me aatma ka hona. So aaj hi mobile me software dalna sikhe. Jab aap apne dead phone ko repairing vale ke paas lekar jate hai to vo aapse phone me software dalne ko kahta hai aur software dalne ka charge 250+Rs lagta hai. Agar aap yah paise bachana chahte hai aur saath hi apne knowledge ko badhana chahte hai. To is post ko pura jarur padhe.

Mobile me Software ke pahle jarur padhe?

Jesa ki upar maine bataya ki agar phone se OS delete ho gaya hai. Aur aap ise ghar bethe karna chahte hai. To aap ise kar sakte hai aur paise bacha sakte hai. Lekin mobile me software dalne ke pahle aapko kuch chijo ke bare me aur software install karte time kin chijo ki jarurat padegi iske bare me jan lena chahiye taki process follow karne me koi problem nahi aaye.
 1.  Stock Rom kya hota hai?

Hamare mobile Operating system ke dvara chalta hai. Aur agar operating system delete or corrupt ho jata hai. To hume phir se Stock Rom install karke new OS dalna padta hai. Yah process thik usi tarah ki hai jaise hum Computer me Windows install karte hai. Agar OS nahi hoga to mobile nahi chalega . Esliye mobile me software dalne ke liye Stock Rom (new os) file ki jarurat padegi.

 2.  Flash Tool kya hai?

Mobile me software dalne ke pahle Hamare mobile me abhi jo bhi OS install hai. Sabse pahle use delete ya clear karna hoga. Uske baad hi hume new OS install kar payenge. Aur mobile se software hatane ke liye computer/laptop me Flash tool ka use karte hai. Esliye PC me Sp Flash Tool Download & install kar lijiye.

Yeh bhi padhe 👇
Mi account delete kaise kare?
Voice to Text message kaise bheje?
Call Details kaise nikale?
Mobile hack kaise kare?
 
 3.  Android USB Driver kyo jaruri hai?

 Jab hum Mobile & Computer ko USB cable se connect karte hai aur PC/laptop us mobile ko read kar paye uske liye hume apne mobile ke liye USB drivers download karna padte hai. Agar aapke pas Mi Note 4 hai to aapko Redmi note 4 USB driver download karna hong.
 4.  Computer/Laptop and Mobile

Hume yah saari process ko follow karne ke liye Computer/laptop ki jarurat padti hai. Kyonki Stock Rom and Flash tool dono ko hum PC/laptop se use karna hota hai. Saath hi ek dead phone ki bhi jaruat hoti hai. Jis mobile me hum software dalna chahte hai.

Mobile me Software dalna sikhe in Hindi

Guys upar maine software dalne ke liye jauri chije batayi. Lekin ab hum mobile me software kaise dalte hai ki process step by step batane vale hai. Jise follow kare taki aap aasani se software install kar paye.
Notice:- Yah process sirf MTK device me work karti hai. Esliye pahle apne mobile ka Device type check kar lijiye.
STEP :-1  Friends aap jis bhi mobile ke liye software install karna chahte hai. Uske liye Stock Rom download kar lijiye. Yaha par mai Redmi Note 4 me software dalna sikha raha hu. Agar aapke pas different phone hai to Google par jaye aur apne mobile ke modal name ke pichhe stock rom download likh kar search kar lijiye aur Stock rom file download kar lijiye.
mi-note-4-stock-rom-download-kare
Stock Rom Zip file format me milegi esliye ise Extract kar lijiye.

STEP :-2  Ab SpFlash Tool ko download kar lijiye. Yah tool aapke mobile se purane software ko hatayegi aur phir mobile me new software dalne me aapki help karegi.
Download :- SP Flash Tool

STEP :-3  Ab apne mobile ke liye USB Driver download & install kar lijiye. Agar aapke pas Mi Note4  hai to Google par kuch is tarike se search kare. Example:- Mi Note4 usb driver download. Aur phir Driver ko download karke install kar lijiye.
mi-note-4-usb-driver-download-kare
STEP :-4  Ab hum software dalne ki process start karne vale hai. Esliye SP Flash Tool Open kar lijiye. Aur phir Scatter loading button ko click kare. Yaha se Stock Rom extracted folder me jaye yaha par Firmware name ke folder ko open kare.
stock-rom-open-kare
Yaha par aapko Android_Scatter name se file show hogi is par click karke Open kar lijiye.

STEP :-5  Ab Flash Tool me left side show ho rahe Download button par click kar dijiye. SP flash tool se Stock Rom file Open karne par Flash tool me, Stock rom load ho jayega. Yani ki Flash tool new software install karne ke liye ready hai.
sp-flash-tool-download-button-click-kare
100% load hone ke baad vo phir se 0% ho jayega. Tab simply mobile se battery nikale aur mobile ko USB aur PC se connect kar dijiye. USB connect karne ke kuch hi der me process 0% se badhna start ho jayegi. Aur mobile me software install karne ki process start ho jayegi.  Abhi aapko kuch der  (5-10 minutes) wait karna hai phir vo 100% ho jayega.  Software install hote hi mobile me Green led light blink hogi. Yani ki aapke mobile me successfully software dal chuka hai.

Last Word:-

Upar batayi process ko follow karke aap badi hi aasani se, Mobile me software dalne ki process complete kar sakte hai. Lekin jab aap mobile ko USB se connect kar lete hai to bich process me USB ko mobile se hatane ki galti nahi kare. Otherwis mobile me software install nahi hoga. Agar aapko mobile me software kaise dale steps me koi problem hai to mujhe comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare